Page 1 of 3

lafz "zabaan" per sheAr likhiye

Posted: Sat Apr 15, 2006 12:55 pm
by Abdullah Nazir



miri zabaan se be-shak hei usko pyaar bahut

nah jaane phir bhi hei kiyuN wo gurez paa mujh se.


Shaayher: Abdullah Nazir


Nazir.


Posted: Sat Apr 15, 2006 7:26 pm
by ummassad
wahi ak khamoosh nagmaa hay shkeel jan.e.hasti
jo zabaan tk na aaye jo kalaam tk na pounchey

"zabaan"

Posted: Tue Apr 18, 2006 5:44 pm
by Abdullah Nazir



Shab-e-vaSl aa nah jaaye miri aarzoo zabaaN tak

yehi souch kar wo shayad mire naam tak nah pahouche.


Shaayher: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Wed Apr 19, 2006 1:04 am
by Mahtab Qadr
ham bhi moNh mai zabaan rakhte haiN
kaash poocho ke maajira kia hai

Posted: Wed Apr 19, 2006 2:16 pm
by Abdullah Nazir



agar yeh sach hei keh meri zabaaN se ho waaqif

to phir bhalaa mujhe andesha-e-jafaa kiyuN ho..


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Wed Apr 19, 2006 9:32 pm
by ummassad
kisi ko dey ke dil koi nawasanj.e.fugan kyun ho
na ho jb dil hi seene main tu phir mouh main zabaan kyun ho

"zabaan"

Posted: Thu Apr 20, 2006 12:20 am
by Abdullah Nazir



agar moNh meiN zabaaN houti to shab bhar guftgoo houti

nah wo yooN pherte nazreN, nah ham un se judaa houte.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Thu Apr 20, 2006 7:00 pm
by zmufti
zabaa.N suKhan ko suKhan baa.Nkapan ko tarasegaa
suKhan_kadaa merii tarz-e-suKhan ko tarasegaa

zabaan

Posted: Sat Apr 22, 2006 2:27 am
by Abdullah Nazir



kis TarH se rakhkhooN maiN alfaaz ko qaaboo meiN

jab teri zabaaN akcar talvaar si chalti hei.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sat Apr 22, 2006 8:12 pm
by zmufti
payaam bar na mayassar huaa to Khuub huaa
zabaan-e-Gair se kyaa shar kii aarazuu karate

zabaaN

Posted: Sat Apr 22, 2006 11:01 pm
by Abdullah Nazir



kisi se shikwa-e-bedaad kis TaraH kartaa

zabaaN hilaane ki furSat nahiN mili mujhko.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sun Apr 23, 2006 7:27 am
by Nadir Sir'giroh
BE-ZUBAANI

Jaa-ne kis zabaan mei kahOO-N wo ek SHE'R

Zahen mei tou hai par ZABAA-n pe nahi aata.


labb aazaad hai-N me-re...
magar

SHAA'ERI mei mai BE-ZUBAAN hoo-N.



Posted: Sun Apr 23, 2006 2:49 pm
by Nadir Sir'giroh
confused.........

soch le-N.............

Be-wafaa hai, Bezubaa-N hai, kya hai?
Ek be-zubaa-N kabhi bewafa ho nahi sakta

Posted: Sun Apr 23, 2006 6:31 pm
by Mahtab Qadr
acha khyal hai :)
MQ

Posted: Mon Apr 24, 2006 7:58 pm
by zmufti
meraa jii hai jab tak terii justajuu hai
zabaan jab talak hai yahii guftaguu hai