jis qadar shikwe th`e sab Harf-e-du,a'a hone lage!
Posted: Mon Apr 17, 2006 4:31 am
yaaraan-e-meHfil: aadaab-o-tasleemaat!
ek muddat ke ba'd ek nayee Ghazal le kar HaaZ^ir ho rahaa hooN. wajh wohee puraanee hai:
Gham-e-Habeeb, Gham-e-aarzoo, Gham-e-dunyaa!
aur in se kaun aazaada hai? Khair! Ghazal kehte waqt yeh andaazah huwaa keh is kee zameen "du,a'a hone lage, kyaa hone lage" KhaaSee meHnat chaahatee hai. yeh is liYe keh rahaa hooN keh ba'Z auqaat dekh`ne meN zameen aasaan ma'loom hotee hai lekin Ghazal kehne baiThiYe to kuch` aur hee iHsaas hotaa hai. aap is kaa tajribah karnaa chaaheN to isee zameen aur beHr meN fikr keejiYe. seekh`ne sikh`aane ke liYe aisee mashq se behtar aur kyaa ho saktaa hai?
maiN Ghazal ke mushkil alfaaz^ ke ma'nee bh`ee likh` rahaa hooN. shaayad kisee ke kaam aa jaaYeN!
Ghazal par apnee raaYe se aagaah farmaa kar mujh` ko surKhroo keejiYe. shukriyah!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
==========================
GHAZAL:
jis qadar shikwe the, sab Harf-e-du,a'a hone lage
ham kisee kee aarzoo meN kyaa se kyaa hone lage!
be-kasee ne be-zabaanee ko zabaaN kyaa baKhsh dee
jo nah keh sakte th`e ashkoN se adaa hone lage!
ham zamaaneh kee suKhan-fehmee kaa shikwah kyaa kareN?
jab Zaraa see baat par tum bh`ee Khafaa hone lage!
raNg-e-meHfil dekh` kar dunyaa ne naz^reN ph`er leeN
aashnaa jitne bh`ee th`e, naa-aashnaa hone lage!
har qadam par manzileN katraa ke door hone lageeN
raazhaaYe-zindagee yooN ham peh waa hone lage!
sar-bureedah, Khastah-saamaaN, dil-shikastah, jaaN-ba-lab
a'ashiqee meN surKhroo, naam-e-Khudaa! hone lage!
aagahee ne jab dikh`aayee raah-e-i'rfaan-e-Habeeb
but th`e jitne dil meN, sab qiblah-numaa hone lage!
a'ashiqee kee Khair ho "Sarwar" keh ab is shehr meN
waqt woh aayaa hai, bande bh`ee Khudaa hone lage!
=============
Sarwar A. Raz "Sarwar"
------------------------------------------------------------
suKhan-fehmee = baat kaa samajh`naa
shikwah = shikaayat
ashk = aaNsoo
waa honaa = kh`ulnaa, z^aahir honaa
sar-bureedah = jis kaa sar kaT gayaa ho
Khastah-saamaaN = pareshaan Haal
dil-shikastah = jis kaa dil TooT gayaa ho
jaaN-ba-lab = jis kee jaan hoNToN par aTkee huyee ho
aagahee = i'lm honaa, jaan-kaaree
i'rfan = poNhach, rasaayee
Habeeb = meHboob, pyaaraa
but = moorat
qiblah = jis t^araf musalmaan namaaz paRhte haiN, Ka'bah
qiblah-numaa = Ka'bah kee Khabar dene waalaa
surKhroo = kaamyaab