Page 1 of 1

Sarwar SaaHeb ki "Durr-e-shehwaar: ek qaari kee nazar m

Posted: Mon Apr 17, 2006 6:03 am
by Raji
Image
Image
Image
Image
Image
Image

Posted: Mon Apr 17, 2006 6:16 pm
by Jibraan Khalil
:grin:

Posted: Thu Apr 20, 2006 5:43 am
by Raji
MoHtaram Janab-e-Jibran Khalil SaaHeb:

Aadaab-o-tasleemaat,

aap ka Khat dekh~ kar mujhe waaqaii meN Khushii hoovii keh buzugooN ka ek ek lafz bachooN ke liye rehumahii ka Khazanaah liye hoove hota hai.

aap ne bilkull durust farmaYaa keh MoHataram janab-e-Sarwar A. Raz SaaHeb jahaN ek shafeeq aur muKhliS insaan heN vaheN unkee shaahiree bhi apnii azmat kee bulandiyoN par hai.

Apne taacuraat meN unkee ShaKhSiyat ke tamaam macbat pahlohooN ko naZar andaaz karne kee vajah yeh thee keh maiN unkee kitaab par apnee aaraa poorii deyanatdaarii se de sakoN.

Uncle, aap ka yeh kehnaa keh aaj ka taKhleeq kaar apnee ta'areef hee sunnaa chahataa hai yeh baat 99 feeSad tu durust hai
lekin sau feeSad durust naheeN isliye keh Zahida Raees jo ek percent ke bhi sauveN HiSSe meN aatee hai apne buzurgooN kee tanqeed-o-rehnumayii se hee adab meN apnii taraqii ka safar aahistah aahistah tae kar rahii hai. :-)

aap ko meree yeh kawish pasand aaYii yahaN par apne taacuraat post karne ke paise vaSool ho gaye :-)

Allah(swt) aap ko SeHat-o-tandurustee aur daraz u'mr ataa farmaaYe (Aameen)

mamnoon-o-taalib-e-dua

Zahida Raees :Raji:

Re: Sarwar SaaHeb ki "Durr-e-shehwaar: ek qaari kee nazar m

Posted: Thu Nov 13, 2008 5:46 pm
by aabarqi
S.A.Raaz.gif
S.A.Raaz.gif (27.14 KiB) Viewed 765 times