Page 1 of 1

jin dinooN daur-e-qamar thaa, voh zamaanaa kyaa hoova

Posted: Thu Apr 20, 2006 5:23 am
by Raji
Azeezan-e-bazm:
Aadaab-o-tasleemaat,

aaj yahaN par apnii voh ghazal pesh kar rahii hoN jo mah-e-january meN urduduniya ke taraHee mushaire meN post kee thee.

yahaN post karne kee vajah aap sab kee raYe aur aap sab se rehnumaYii lene ke liye hai.

umeed kartee hooN keh is silsile meN maaYoos naheeN kareNge. :-)

mamnoon-o-taalib-e-dua

Zahida Raees :Raji:


Ghazal:
~~~~~

1. har naye mausam meN ghar aangan sajaanaa kyaa hoovaa?
gungunanaa, muskuranaa, geet gaanaa kyaa hoovaa?

2. Khwaab raahooN se guzarne kaa fasaana kyaa hoovaa?
chaahatooN ke mausomooN ka voh zamaanaa kyaa hoovaa?

3. gham ghalat karne ka voh ik ik bahaanaa kyaa hoovaa?
dard-o-gham kee bh'eeR meN bhi muskuranaa kyaa hoovaa?

4. waqt-e-raftah kee HaSeeN yaadooN se aaYii hai Sadaa!
apne bachpan kaa HaseeN voh aashiyaanaa kyaa hoovaa

5. roushnii ke silsiloN meN, teergii aaYii hai kyoN?
pyaar ke jalte diye they, ab bujhanaa kyaa hoovaa?

6. shab amaavas kee yeh pooche HasratooN se dekh~ kar
jin dinooN daur-e-qamar thaa, voh zamaanaa kyaa hoova *****

7. HasratooN kee dhoop meN jhulse badan ne dee Sadaa
aarzooN kaa naam letaa, ik diwaanaa kyaa hoovaa

8. jis kee Khaatir choR aaYaa thaa koyii sab baam-o-dar
uskaa us, :eHsaas: se ab door janaa kyaa hoovaa

9. pyaar ke jalte diye kee roushnii kyoN gul hoovii?
zindagi kyoN bujh gayii, aisaa fasaanaa kyaa hoovaa?


Zahida Raees :Raji:

Posted: Thu Apr 20, 2006 9:48 pm
by Mahtab Qadr
Bahut khoob Raji sahiba
Bahut haseen aur dardangaiz ghazal ishaad farmai hai aapne . shukria
MQ

Re: jin dinooN daur-e-qamar thaa, voh zamaanaa kyaa hoova

Posted: Sun Apr 23, 2006 5:55 am
by yasir shah
behn Raji!
assalamOlaikuM

meraa tabSirah darjzel hay ,, mulaaHizah farmaaiye




[quote="Raji"]




1. har naye mausam meN ghar aangan sajaanaa kyaa hoovaa?
gungunanaa, muskuranaa, geet gaanaa kyaa hoovaa?

bahut khoob !

2. Khwaab raahooN se guzarne kaa fasaana kyaa hoovaa?
chaahatooN ke mausomooN ka voh zamaanaa kyaa hoovaa?

yeh bhi aChChaa hay

3. gham ghalat karne ka voh ik ik bahaanaa kyaa hoovaa?
dard-o-gham kee bh'eeR meN bhi muskuranaa kyaa hoovaa?

behn ! mujhe bhi naheeN ma'loom kiyaa hu.aa

Gham Ghalat kartay rahay, haNstay rahay, haNstay rahay
kabhee ham jeet ga.ay to kabhee Gham jeet ga.ay


4. waqt-e-raftah kee HaSeeN yaadooN se aaYii hai Sadaa!
apne bachpan kaa HaseeN voh aashiyaanaa kyaa hoovaa

pehlaa miSra' kamzor saa lag rahaa hay,,,aik yeh Soorat kesee hay ??:

dor-e-maaZee kee HaseeN yaadoN ne dee hay yeh Sadaa
tere bachpan kaa HaseeN woh aashiyaanah kyaa hu.aa


5. roushnii ke silsiloN meN, teergii aaYii hai kyoN?
pyaar ke jalte diye they, ab bujhanaa kyaa hoovaa?

doosraa miSRa' ulajh gayaa hay ,, Phir deKh leejiye



6. shab amaavas kee yeh pooche HasratooN se dekh~ kar
jin dinooN daur-e-qamar thaa, voh zamaanaa kyaa hoova *****

khoob !




8. jis kee Khaatir choR aaYaa thaa koyii sab baam-o-dar
uskaa us, :eHsaas: se ab door janaa kyaa hoovaa

yeh maZmoon aap hi samajh saktee heN :-)

9. pyaar ke jalte diye kee roushnii kyoN gul hoovii?
zindagi kyoN bujh gayii, aisaa fasaanaa kyaa hoovaa?

bahut khoob !




aap ne Ghazal meN saadgee se apne dilee jazbaat kaa u'mdgee se izhaar kiya hay,,zyaadah.tar ash.'aar meN furqat kaa dukhRaa hay liHaazaa isay Ghazal-e-musalsal kehnaa bejaa nah ho gaa,meree taraf se daad qubool keejiye,,,laiken yeh to bataatee jaaiye keh us mushaai're kaa nateejah kyaa hu.aa ? :grin:



khush rahye
du'aago
yasir

Posted: Tue Apr 25, 2006 12:11 pm
by Raji
Mahtab Qadr wrote:Bahut khoob Raji sahiba
Bahut haseen aur dardangaiz ghazal ishaad farmai hai aapne . shukria
MQ

moHtaram janab-e-Mahtab Qadr SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemaat,

Aap ka Khat dekh kar Khushii hoovii.

Ghazal ko itne KhulooS se sarahne ke liye dil kee ghehrahiyoN se aapkii shukrguzaar hoN.

mamnoon-o-taalib-e-dua

Zahida Raees :Raji:

Re: jin dinooN daur-e-qamar thaa, voh zamaanaa kyaa hoova

Posted: Sat Apr 29, 2006 6:31 am
by Raji
yasir shah wrote:behn Raji!


assalamOlaikuM

meraa tabSirah darjzel hay ,, mulaaHizah farmaaiye

[/color]
Walaikum Assalam, Yasir Bhai:

aap ka Khat dekh kar be-hadd Khushii hoovii vernah tu mujhe youN lag raha thaa keh maiN ne is meHfil meN apnii Ghazal post kar ke koyii Ghalatee hee kee. :(


yasir shah wrote:
Raji wrote:

1. har naye mausam meN ghar aangan sajaanaa kyaa hoovaa?
gungunanaa, muskuranaa, geet gaanaa kyaa hoovaa?

bahut khoob !

bohat shukriya

2. Khwaab raahooN se guzarne kaa fasaana kyaa hoovaa?
chaahatooN ke mausomooN ka voh zamaanaa kyaa hoovaa?

yeh bhi aChChaa hay

iske liye bhi shurkiyah :-)


3. gham ghalat karne ka voh ik ik bahaanaa kyaa hoovaa?
dard-o-gham kee bh'eeR meN bhi muskuranaa kyaa hoovaa?

behn ! mujhe bhi naheeN ma'loom kiyaa hu.aa

Gham Ghalat kartay rahay, haNstay rahay, haNstay rahay
kabhee ham jeet ga.ay to kabhee Gham jeet ga.ay


dekhiye please... jab pata chal jaaYe tu mujhe zaroor batahiye gaa

4. waqt-e-raftah kee HaSeeN yaadooN se aaYii hai Sadaa!
apne bachpan kaa HaseeN voh aashiyaanaa kyaa hoovaa

pehlaa miSra' kamzor saa lag rahaa hay,,,aik yeh Soorat kesee hay ??:

dor-e-maaZee kee HaseeN yaadoN ne dee hay yeh Sadaa
tere bachpan kaa HaseeN woh aashiyaanah kyaa hu.aa


aap ka mashvarah tu acha hai lekin mujhe dor-e-maazii kee niSbat waqt-e-raftah kehnaa ziyadah acha lag raha hai.
aap ke aur apne Khayaal kee khichree banane kee koshish kartee hooN shayed keh baat ban jaaYe:

waqt-e-raftaah kee HaseeN yaadoN ne dee hay yeh Sadaa
tere bachpan kaa HaseeN woh aashiyaanah kyaa hu.aa



5. roushnii ke silsiloN meN, teergii aaYii hai kyoN?
pyaar ke jalte diye they, ab bujhanaa kyaa hoovaa?

doosraa miSRa' ulajh gayaa hay ,, Phir deKh leejiye

jee aap durust keh rahe heN iskee babat mujhe bhi yahii Khayal hai. isee liye kisee kauna-mashq yaa ustaad ke mashvare ke liye ise rehne diyaa hai shayed keh koyii mujhe is kee koyii behtar Soorat bata de.


6. shab amaavas kee yeh pooche HasratooN se dekh~ kar
jin dinooN daur-e-qamar thaa, voh zamaanaa kyaa hoova *****

khoob !
bohat shukriyah



8. jis kee Khaatir choR aaYaa thaa koyii sab baam-o-dar
uskaa us, :eHsaas: se ab door janaa kyaa hoovaa

yeh maZmoon aap hi samajh saktee heN :-)

aap kee samajh meN kyoN naheeN aayaa :(

9. pyaar ke jalte diye kee roushnii kyoN gul hoovii?
zindagi kyoN bujh gayii, aisaa fasaanaa kyaa hoovaa?

bahut khoob !

bohat shukriyah ...:)

aap ne Ghazal meN saadgee se apne dilee jazbaat kaa u'mdgee se izhaar kiya hay,,zyaadah.tar ash.'aar meN furqat kaa dukhRaa hay liHaazaa isay Ghazal-e-musalsal kehnaa bejaa nah ho gaa,meree taraf se daad qubool keejiye,,,laiken yeh to bataatee jaaiye keh us mushaai're kaa nateejah kyaa hu.aa ? :grin:

daad aur tafseelii tabSare ke liye dil kee ghehrahiyoN se apa kee shukrguzar hooN.

Durust keh rahe heN aap. insaan apne jazbaat meN apnee soch ko dh'aal kar jo likhtaa hai vohii us Ghazal kee pechaan ban jaatee hai. ab is Ghazal kaa miSrah-e-taraH hee dukhRe waala thaa (jis ne mujhe dukh sochne par majboor kar diyaa thaa ) tu maiN kyaa kartee? :-) weise bhi ham " do as directed" ke Usool par chalte heN :-)

mat poochiye bradaram.. .us mushaire ka anjaam.. .mabadault bohat shaandaar numbarooN se nakaam ho gaye... :-) lekin koyii baat naheeN hamaree nakaamii kisee doosre kee kamyaabii bhi tu ban gayii hai naaN :)


aap bhi khush rahye aur apnee dua'oN meN yaad rakhiye


mamnoon

Zahida Raees :Raji:




Bahut khoob, waah waah

Posted: Sat Apr 29, 2006 10:20 am
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
Raji SaaHibah,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki mandarja-e-zeil ghazal nazar navaaz houi:

1. har naye mausam meN ghar aangan sajaanaa kyaa hoovaa?
gungunanaa, muskuranaa, geet gaanaa kyaa hoovaa?

2. Khwaab raahooN se guzarne kaa fasaana kyaa hoovaa?
chaahatooN ke mausomooN ka voh zamaanaa kyaa hoovaa?

3. gham ghalat karne ka voh ik ik bahaanaa kyaa hoovaa?
dard-o-gham kee bh'eeR meN bhi muskuranaa kyaa hoovaa?

4. waqt-e-raftah kee HaSeeN yaadooN se aaYii hai Sadaa!
apne bachpan kaa HaseeN voh aashiyaanaa kyaa hoovaa

5. roushnii ke silsiloN meN, teergii aaYii hai kyoN?
pyaar ke jalte diye they, ab bujhanaa kyaa hoovaa?

6. shab amaavas kee yeh pooche HasratooN se dekh~ kar
jin dinooN daur-e-qamar thaa, voh zamaanaa kyaa hoova *****

7. HasratooN kee dhoop meN jhulse badan ne dee Sadaa
aarzooN kaa naam letaa, ik diwaanaa kyaa hoovaa

8. jis kee Khaatir choR aaYaa thaa koyii sab baam-o-dar
uskaa us, :eHsaas: se ab door janaa kyaa hoovaa

9. pyaar ke jalte diye kee roushnii kyoN gul hoovii?
zindagi kyoN bujh gayii, aisaa fasaanaa kyaa hoovaa?


Mashaa'allah, bahut dilkash ghazal hei jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Wed May 03, 2006 10:45 am
by Raji
moHtaram Janab-e-Abdullah Nazir SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemaat,

Ghazal par aap kee raseed dekh kar be-Had Khushii hoovii.
varnah maiN tu muntaZir baiThee thee keh ab keh tab do chaar ghalatiyaN highlight hoNgii aur maiN unheN durust karne aahoNgii.
lekin aap ne Ghazal ko itne bharpoor tareeqe se sarahaa hai keh mera saaraa Khauf ek dam se ghahib ho gayaa :-)

Ghazal kee pasandeedgii aur daad ke liye dil kee ghairahiyouN se aap kee shukrguzaar hooN.
umeed kartee hooN keh aahindah bhi aap meree taKhleeqaat par youNhii hoSla-afzaii (rehnumahii ke saath) farmaate raheNge.

mamnoon-o-taalib-e-dua

Zahida Raees :Raji:

Posted: Wed May 17, 2006 9:47 am
by Raji
sara_j wrote:Dear Raji,

dair se aane ke liye ma'azarat, ghazal bohat pasand aayi

khaas girah ka misra behad khoobsurat hei.

daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

sara
Sara Jee:
Aadaab-o-tasleemaat,

taKheer se ataKheer se aane ka gilaa naheeN bas yahii bohat hai keh aap aa gayeN.
ghazal kee pasandeedgi aur Khat ke liye bohat shukrguzaar hooN umeed kartee hoN keh aahindah bhi aap apnii qeemtee aaraa se meree HoSlah-afzaii kartee raheNgee.

mamnoon

Zahida Raees :Raji: