Tarahi Guz#16
Posted: Fri Apr 21, 2006 10:39 am
Ahl-e-Bazm
aadaab
apni aik adna si ghazal mushairey maiN pesh kar rahi hoN
umeed hai aap sab apni aaraa se aagaah karieN ge
regards
zmufti
1. soz jab dil maiN nahiN aah bhee dilgeer nahiN
Kyaa ajab hai keh tirre naaloN maiN taaceer nahiN
2. kyoN tirri nazroN maiN meri koi tauqeer nahiN
“kyaa mire dil meiN tire Husn ki taSveer nahiN”
3. soch pehroN maiN hai go paaoN maiN zanjeer nahiN
be basi apni magar laaiq-e-tasheer nahiN
4. dil pe nakaam umeedoN ke andheray chaaye
aarzoo ki lau nahiN aas ki tanveer nahiN
5. goonge behray saayoN se kaise kahieN ham haal-e-dil
Qaid-e-tanhaai se barh kar koi taazeer nahin
6. ik shahar apney haseeN khawaboN se aabaad kiyya
ab mirre naam wahaN koi bhee jaageer nahiN
7. kyoN khata kaar huay jo rah-e-ulfat pe chale
kyaa muhabbat se bari duniya maiN taqseer nahiN
8. ham khushi se maut ke pehlo maiN so jaate magar
Maut bhee beemari-e-dil maiN to akseer nahiN
9. Zulm ki chakki maiN ham piste rahieN sadioN talak
loh-e-mehfooz pe aisi koi tehreer nahiN