Page 1 of 1
...ham huwe khaamosh kyaa , meHfil hay khaamosh....
Posted: Sun Apr 23, 2006 7:15 am
by yasir shah
HaaZreen-e-meHfil ki khidmat meN meraa salaam!
apnee aik taazah Ghazal ke saath phir HaaZir-e-khidmat hooN,,,umeed hay pasand aa.ay gee laiken agar pasand nah bhee aa.ee to is ke liye bhi izhaar Zarooree hay -
paRhye :
Ghazal
moj saakin , beHr chup ,saaHil hay khaamosh
ham huwe khaamosh kyaa, meHfil hay khaamosh
kon doshee hay yahaaN aur kon nir.dosh ?
ho gayaa maqtool chup qaatil hay khaamosh
haath uThaa kar maaNg looN kab hay magar hosh
bin kahay de gaa sakhee saa.i.l hay khaamosh
fikr-e-fardaa meN bhulaa beThaa Gham-e-dosh
ho ga.ee muddat shikastah dil hay khaamosh
meN to hooN mad.hosh O mast O khud.faraamosh
naaSiHaa ! too bhee niraa Ghaafil hay , khaamosh !
pur.acar heN yeh tire ash.'aar-e- pur.josh
ik Ghazal kyaa CheR dee meHfil hai khaamosh
aah ! ik naadaaN keh bhartaa thaa mire gosh
meN huwaa barbaad to woh dil hay khaamosh
waa.ay naakaamee keh ai kamzarf mai.nosh !
ho gayaa mad.hosh ,kyaa HaaSil hay ! ,khaamosh !
tujh se kehtaa thaa nah mil teraa woh hamdosh
maan meree us se jaa kar mil ! , hay khaamosh
bazm-e-ehl-e-dOl meN ai :shaah:-e-khush.posh
sab samajhtay heN keh too qaabil hay ,, khaamosh !
----------------------------------------------
Kuch seekhne ko mil raha hei
Posted: Sun Apr 23, 2006 8:40 pm
by Abdullah Nazir
MuHtarami o Azeezi
Yasir Shah SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki ghazal aek aisi beHr meiN hei jis se maiN waaqif nahiN hooN.
Bajaaye teHqeeq meiN waqt ZaayeA karne ke, aap se iltimaas kartaa hooN ke is beHr kaa naam uske arkaan ke saath likhkar mere ilm meiN iZaafah kareN. Agar yeh mustazaad hei asl arkaan ke saath mustazaad ke arkaan bhi likh deN.
Iske baAd khaaS Taur per mandarja-e-zeil miSraoN ke auzan bhi likh deejiye:
kon doshee hay yahaaN aur kon nir.dosh ?
haath uThaa kar maaNg looN kab hay magar hosh
fikr-e-fardaa meN bhulaa beThaa Gham-e-dosh
meN to hooN mad.hosh O mast O khud.faraamosh
aah ! ik naadaaN keh bhartaa thaa mire gosh
waa.ay naakaamee keh ai kamzarf mai.nosh !
bazm-e-ehl-e-dOl meN ai :shaah:-e-khush.p
Ummeed ke jald javaab dekar mustafeed houne kaa mauqaA denge.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Posted: Sun Apr 30, 2006 6:16 pm
by yasir shah
muHtaram janaab
Abdullah Nazir SaaHib
assalamOlaikuM!
ma'zratkhwaah hooN keh der se jawaab de rahaa hooN, qasam khaa rakhee hay keh papers tak siwaa.e itwaar ke login naheeN hooN gaa
MuHtarami o Azeezi
Yasir Shah SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki ghazal aek aisi beHr meiN hei jis se maiN waaqif nahiN hooN.
Bajaaye teHqeeq meiN waqt ZaayeA karne ke, aap se iltimaas kartaa hooN ke is beHr kaa naam uske arkaan ke saath likhkar mere ilm meiN iZaafah kareN. Agar yeh mustazaad hei asl arkaan ke saath mustazaad ke arkaan bhi likh deN.
Iske baAd khaaS Taur per mandarja-e-zeil miSraoN ke auzan bhi likh deejiye:
kon doshee hay yahaaN aur kon nir.dosh ?
haath uThaa kar maaNg looN kab hay magar hosh
fikr-e-fardaa meN bhulaa beThaa Gham-e-dosh
meN to hooN mad.hosh O mast O khud.faraamosh
aah ! ik naadaaN keh bhartaa thaa mire gosh
waa.ay naakaamee keh ai kamzarf mai.nosh !
bazm-e-ehl-e-dOl meN ai :shaah:-e-khush.p
Ummeed ke jald javaab dekar mustafeed houne kaa mauqaA denge.
Aapka MukhliS,
Nazir.
aap ke saare sawaalaat kaa jawaab yahee hay keh Ghazal in arkaan par kahee ga.ee hay:
faa-'i-laa-tun,, faa-i'-laa-tun,,faa-i'-laa-tun
ya'nee
2122-2122-2122
beHr konsee hay?, mujhe naheeN patah- ho saktaa hay beHr-e-ramal hi ki koi shakl ho, laiken jo bhee hay aChChee hay, mutarannam hay, mujhe pasand hay taba'.aazmaaee kartaa rehtaa hooN, agar wujood naheeN rakhtee to kam se kam meN yahee samajhtaa hooN keh ab yeh wujood meN aa ga.ee hay-
shukriyah
khush rahye
du'aago
yasir
Bahut bahut Shukriyah
Posted: Sun Apr 30, 2006 7:27 pm
by Abdullah Nazir
MuHtarami o Azeezi
Yasir Shah SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapke javaab ke liye beHad shukrguzaar hooN. Aapke kehne ke muTaabiq yeh BeHr-e-ramal hei jo bilkul SaHeeH hei. Uski koii doosri shakl nahiN balke Ramal musaddas hei yani do miSraoN meiN 6 martabah aek hi rukn duhraayaa jaarahaa hei.
Yeh Arabi meiN to raayij hei jaise:
ghazzat-il-aHdaacu-minnaa anfusan
lam yazidhal-unfu illa unfuaanan.
faa'ilaa'tun...faa'ilaa'tun...faa'ilaa'tun
faa'ilaa'tun...faa'ilaa'tun...faa'ilaa'tun
= /0//0/0........../0//0/0........../0//0/0
= /0//0/0........../0//0/0........../0//0/0
=2122.................2122...........2122
=2122.................2122...........2122
Maulana Abdul-Haq ne apni kitab QawaaAid-e-Urdu ke SafHe 262 per likhkhaa hei:
beHr-e-ramal ka aSl vazn "faa'ilaa'tun....faa'ilaa'tun...taa'ilaa'tun....faa'ilaatun" hei magar saalim urdu meiN bahut kam kehte heiN, balkeh nahiN kehte.
Chaliye, maiN yeh maan letaa hooN ke ramal musaddas meiN mazkoora-e-baala Arabi ke vazn per baAz aHbaab ne koushish ki hougi aur uske aahang meiN dilchaspi rakhte hounge.
Agar aap kisi kitab kaa Hawaalah deN to meri maAloomaat meiN iZaafah hougaa kiyunkeh is silsileh meiN "aahang aur Arooz" ki kitaab jo Kamal Ahmed Siddiqui ki murattab kardah hei us meiN bhi is beHr ki koii sanad nah mil saki. Peshgi shukriya.
Aapka MukhliS,
Nazir.
aapki ghazal
Posted: Wed May 03, 2006 5:39 pm
by Abdullah Nazir
MuHtarami o Azeezi
Yasir Shah SaaHibah,
PurkhulooS Tasleemaat,
Apne saabiqah tabSireh meiN likhkhaa thaa:
Maulana Abdul-Haq ne apni kitab QawaaAid-e-Urdu ke SafHe 262 per likhkhaa hei:
beHr-e-ramal ka aSl vazn "faa'ilaa'tun....faa'ilaa'tun...taa'ilaa'tun....faa'ilaatun" hei magar saalim urdu meiN bahut kam kehte heiN, balkeh nahiN kehte.
MaiN souchtaa hooN ke Ramal Mucamman Salem meiN to achchaa khaaSaa aahung hei:
Macalan:
faa'ilaatun....faa'ilaa'tun.....faa'ilaa'tun.....faa'ilaa'tun
apna aek miSraA kehkar pesh karrahaa hooN:
(souchte heiN...ham ne paayaa...kyaa bhalaa is....zindagi meiN)
Patah nahin is beHr ko isteAmaal karne se kiyuN gurez kiyaa hougaa.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Re: aapki ghazal
Posted: Sun May 07, 2006 6:10 pm
by yasir shah
WEBMASTER wrote:
MuHtarami o Azeezi
Yasir Shah SaaHibah,
PurkhulooS Tasleemaat,
Apne saabiqah tabSireh meiN likhkhaa thaa:
Maulana Abdul-Haq ne apni kitab QawaaAid-e-Urdu ke SafHe 262 per likhkhaa hei:
beHr-e-ramal ka aSl vazn "faa'ilaa'tun....faa'ilaa'tun...taa'ilaa'tun....faa'ilaatun" hei magar saalim urdu meiN bahut kam kehte heiN, balkeh nahiN kehte.
MaiN souchtaa hooN ke Ramal Mucamman Salem meiN to achchaa khaaSaa aahung hei:
Macalan:
faa'ilaatun....faa'ilaa'tun.....faa'ilaa'tun.....faa'ilaa'tun
apna aek miSraA kehkar pesh karrahaa hooN:
(souchte heiN...ham ne paayaa...kyaa bhalaa is....zindagi meiN)
Patah nahin is beHr ko isteAmaal karne se kiyuN gurez kiyaa hougaa.
Aapka MukhliS,
Nazir.
muHtaram janaab
Abdullah Nazir SaaHib!
aap kaa yeh mukhtaSar khat mere liye baRee masarrat kaa baa.i'c banaa ,,aap ne mujhe aik sanad faraaham kar ke mere i'lm meN iZaafah kiyaa ,,yaqeen maaniye meN naabald thaa aap ke peshkardah hawaalaajaat se ,,mere liye yeh bas yeh teen arkaan kaafee kashish rakhtay heN ,,jaise aik she'r paish-e-khidmat hay:
aainay meN jab bhi apnaa a'ks deKhaa
Shah meN ne ajnabee ik shakhS deKhaa
go mere liye yeh nayaa aahang thaa laiken bahut aChChe tajirbaat waabistah heN is se---mere paas is sawaal ke Hawaale se koi sanad naheeN keh kyaa yeh beHr urduadab meN musta'mil hay -
aap kaa bahut shukriyah