Page 1 of 1

Posted: Sun Apr 23, 2006 3:04 pm
by Nadir Sir'giroh
Mausam kii tarah badalta hai mizaaj

Ye ek ANMOL ghazal hai.

Nazir Sahib Daad ke mustahiq hai-N ke chund lamho-N mei
Chhe Rango-N waalii ye dhanak URDHUBANDHAN ke aasmaan par taan dii.

achchi ghazal hei

Posted: Sun Apr 23, 2006 7:20 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
Saara SaaHibah,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal to meri nazar se guzarchuki hei jisko pahle hii maiN ne saraahaa thaa keh bahut achchi kaavish hei.

Leejiye Nadir Sarguroh SaaHib ne saari daad kaa mustaHiq mujhko qaraar dekar aapki ghazal ki qeemat aur bhi baRhaadi hei.

Is liye maiN dobaarah aapko is ghazal per mubaarakbaad pesh kartaa hooN.


Nazir.


Posted: Sun Apr 23, 2006 7:43 pm
by Mahtab Qadr
saara jee bahut khooob , aapne ghazal kia kahi hai lagta hai ghazal ki zaban mai guftagu ki hai. aap ye andaaz bhi pasand aaya.
shukria
MQ

Posted: Sun Apr 23, 2006 8:02 pm
by zmufti
sara jee
aap ki ghazal buhat pasand aayii
aisa lagta hai meray hi dil ki awaaz hai
sabhi asha'ar achey haiN
meri janib se dilli daad qabool kijye
regards
zmufti

Posted: Sun Apr 23, 2006 8:43 pm
by Nadir Sir'giroh
Nazir Sahib Shukriya jo aap-ne me-ra naam bilkul sahi likha. jaesa ke Farsi aur Urdu Lughat mei darj hai. Mai sahi pronunciation ke liye SAR likhta hoo.
Jaha-N tak mazkoora baala ghazal ka sawaal hai tou paaNchwe she'ar ke misra-e-thaani ke alaawa ek bhi se'ar ae-sa nahi hai jo mujhe pasand...............................................naa .....................................
aaya ho.
Note: Mujhe afsous hei ke maiN ne aapka nam likhte houe sirf uski Sauti adaayagi ko zehn meiN rakhkha. MaiN ne apne jafvab meiN edit karke usko aapki kitaabat ke muTaabiq kardiyaa hei. Apni bhool per bahut maAziratkhwaah hooN. Nazir.

Posted: Mon Apr 24, 2006 6:57 am
by Raji
Azeezah Sara Sis,
Aadaab,

aap kee taKhleeq par bohat taKheer se naZar paRee hai.
mashaAllah bohat Khoob hai. Urdustan ka program sunne se meHroom rahii hooN vernaa aapkee madh~ur aawaaz meN zaroor sun letee aur waheN par apne taacuraat kaa izhaar bhi kar letee.
aap kee Ghazal ke tamaam hee ashar ache heN.
meree jaanib se dilee daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

Wassalam

Zahida Raees :Raji:

Posted: Mon Apr 24, 2006 7:45 am
by Nadir Sir'giroh
App-ne Dhanak mei saatwei-N rang kii kamii poorii kar dii. lekin ye rang zaraa tursh thha. Neeli siyaahi mei ghusse waali surkhi saaf jhalak rahi thhi.

muhtarma saara jabeen ne ek registered member ko ( yaani mujhe ) naam bigaad. kar mukhaatib kiya isiliye mai. Ehtijaajan...............dil-bardaashta ho-kar nahi.............................Ehtijaajan is website ki rukniyat se DASTBARDAAR HO RAHA HOO.

Posted: Mon Apr 24, 2006 2:33 pm
by Mahtab Qadr
sara sahiba ,aapki ghazal par nadir khan sahib ki daad ne jo ghalatfahmi paida ki thi vo darasl tarseel ka almia tha ke baat sahi tareeqe pahoNch na paai. sara jee aap ne ghazal ki tamheed mai likha tha ke aap ne Amnol sahiba ki khawhish par ye ghazal likhi aur sath hi Abdullah Nazir sahib ki mashkoor haiN , shukria ki wajah aapne bayan nahi ki shayed isi lye ye mughalita huva ho Nadir Khan sahib ko Abdullah Nazir sahib ka taaun aapko hasil raha ,isi ly ye ghazal chand lamhoN mai ho gai. baharhal jaisa ke ham sab jante haiN Abdullah bhai Aap ke ustaad haiN isilye aapka shukria ada karna koi ghalat nahi tha. baharhal itni si baat ko lekar diloN mai ranjisheiN achi nahi lagtieN wazahatoN se chote chote masayel hal ho jate haiN. waise aap ne Nadir khan sahib ko dosri posting mai mukhatib karte huve sarfiro likha jis ka vo bura maan gaye , ho sakta hai ye typo ho . aap bhi iski wazahat farmadeiN. aur dil ko saaf rakheiN.
shukria
MQ