Page 1 of 1

ziya hai dil ke sulagne ki baam-o-dar ke qareeb

Posted: Wed Apr 26, 2006 8:39 am
by Shafeeq
arbaab-e-zauq ki khidmat meiN eik ghazal pesh hai.
Shafeeq

ziya hai dil ke sulagne ki baam-o-dar ke qareeb
shab-e-firaaq khinch aayi hai ya sehr ke qareeb

yeh haal hai mire dil ka tiri nazar ke qareeb
ho jis tarah se nasheman koi sharar ke qareeb

gali gali meiN woh phhirta hai aaj aawara
kabhi jo aa ke basaa thha tumhare ghar ke qareeb

hinaai haath uThhe thhe salaam karne ko
hai aanch unki hamare dil-o-jigar ke qareeb

na jaane kab koi is raaste pe aa nikle
jalaye baiThhe haiN ik shama rehguzar ke qareeb

hai dhoop gardish-e-dauraaN ki tez kuchh aisi
ke apna saaya bhi aata nahiN hai Dar ke qareeb

woh hum nahiN ke jo bhhaageN bahaar ke peechhe
bahaar aati hai chal kar hamare ghar ke qareeb

ada-e-dilbari se ya kabhi Kham-o-cham se
lubhana dil ka hai ik khel ashwagar ke qareeb

gale milenge huzoor aap se magar kahiye
chhupa ke rakha hai kya aap ne kamar ke qareeb

hazaar hum ne kaha thha Shafeeq bach ke raheN
na aayeN bhool ke bhi ishq ki Dagar ke qareeb



Shafeeq Ahmed
Post Box : 174
G.P.O.
Hyderabad-500 001
India

Bahut khoob

Posted: Wed Apr 26, 2006 3:16 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Shafeeq SaaHib

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal bahut si giraaNqadr khoobiyaoN ki Haamil hei jiske liye maiN apni dili daad aur mubaarakbaad pesh kartaa hooN.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Thu Apr 27, 2006 5:59 am
by Raji
moHtaram Shafiq SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemaat,

aap se yeh meree pahlee mulaqaat hai isliye is meHfil meN meiN khush aamdeed kehnaa chahtee hoN.

aap kee Ghazal mashAllah bohat hee dilkash hai tamaam hee ashaar pasand aaYe.
meree jaanib se dilee daad aur mubarakbaad qubool keejiye.


wassalam

Zahida Raees :Raji: