Page 1 of 1

tarahi #16

Posted: Wed Apr 26, 2006 3:54 pm
by zaamin
tarahi 16 pe merii yeh adnaa koshish pesh hai;umiid hai aap apnii ara se niaaz denge;shukren:
+++++++++++++++++

raho aankhon ke muqaabil yeh to taqdeer nahin
kyaa mire dil meiN tire Husn ki taSveer nahiN?

dil-e-khush-fehm ko maqsood thii zulfon pe qadr
yeh na thaa waajeH na thaa maa’il-e-taskhiir nahiN

jis pe aa jaaye usii ka hai, ho sarwar ki gadaa,
dil to bas dil hai kisii shah ki jaagir nahin

ho ki bas baar-e sukooN dil-taraf ik nazar-e-niaaz
gar nahiin hai na sahii da’awaa-ye-ikseer nahiN

bar-sar-e-raah-e-talab jaana k manzil hai saraab
kab tirii raah-guzar per maiN thaa raahgir nahiiN

kahtii hai khoon-e-qabaa gha’o tirii aankh ka faiz
dil TaTola to kahiiN aayaa nazar teer nahiN

sar-ba-kaf phirte hain bante nahiiN ahdaaf-e- nigaah
'azm ho qatl-talab haajat-e-shamsheer nahin

naseeb mera nahiiN laa’ek-e- niaaz-o-karam
fida’a hooN tujh pe yahii baa`ic-e-tauqeer nahin?



zaamin

achchi kaavish hei

Posted: Sat Apr 29, 2006 6:15 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Zaamin SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki is kaavish per aapko dili daad aur mubaarakbaad pesh kartaa hooN.

Is meiN bahut sii khaamiyaaN jin per tafSeeli Taur per nazar Daalne se maAzoor hooN.

Aap qaabil-e-daa is liye bhi heiN ke urdu ke maaHaul se door rehne ke baavajood is qadar dilchaspi se apni adabi SalaahiyataoN ko ujaagar karne ki koushi karte heiN.


Aapka MukhliS,
Nazir.