Page 1 of 1
TARAHI MiSraA - -- - (GUZ.17) by: ABDULLAH NAZIR.
Posted: Sun Apr 30, 2006 7:45 pm
by Abdullah Nazir
MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-sukhan,
PurkhulooS Tasleemaat,
GUZ.5. May 1, 2006:
Aek naya TaraHi miSraA kulliyyaat-e-yaganah changezi yaas, se pesh karrahaa hooN.
"ab aek saans bhi lenaa muHaal houtaa hei"
Radeef = houtaa hei.
Qawaafi = (Haal, muHaal, paayimaal, saal, khayaal, iAtidaal, jamaal, iHtimaal, sawaal, baHaal, ma'aal, jaal, wabaal, malaal) waghairah.
Yeh beHr-e-mujtac makhboon meHzoof / maqTooA hei:
Is ka vazn hei:
mufaa'ilun....fa'ilaa'tun...mufaa'ilun...fe'lun
//0//0…….///0/0…….//0//0……./0/0
=1212……..1122………..1212……….22
ijaazaat:
aakhiri rukn koe "feAlun" ki bajaaye "fa'ilun"
Ummeed ke aap TabAaazmaayi farmaakar khaaksaar ko shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Posted: Wed May 03, 2006 11:06 am
by zmufti
Mohtaram Abdullah Nazir Saheb
tasleemat
Mushaira # 17 k liye aap ne behr ke naam ke saath digital wazn likha hai jo maiN samjhne se qasir hoN
aap ne likha hai
Yeh beHr-e-mujtac makhboon meHzoof / maqTooA hei:
kyaa is ke afaeel yeh haiN?
mufaailun...failaatun...mufaailun..felun
jawab k liye mamnoon hoN gi
waslaam
zmufti
shukriyah
Posted: Wed May 03, 2006 12:22 pm
by Abdullah Nazir
MuHtaramah
zmufti SaaHibah,
PurkhulooS tasleemaat,
Aap Haqjajaanib hei ke maiN ne is baar afaaAeel ke vazn nahiN likhkhe. Isi TaraH se TaraHi miSreA ki bajaaye ghalaTi se TaraHi ghazal likhdiyaa thaa.
Edit karke maiN ne ghalaTiyhaaN durust kardi heiN.
MufaSSal tashreeH ki zaroorat nahiN hei.
Is beHr kaa vazn hei:
mufaa'ilun.....fa'ilaa'tun....mufaa'ilun.....fe'lun
Ummeed ke tashaffi bakhsh javaab de sakaa.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Posted: Wed May 03, 2006 2:57 pm
by zmufti
MohtaraM Abdullah Nazir Saheb
Tasleemaat
Aap ka behad shukria aap ne meri uljhan door kar di
wasalaam
zmufti