Page 1 of 1
Posted: Mon May 01, 2006 3:35 pm
by Mahtab Qadr
Dunya sahiba
Aap ki shaksiat jahaNdeeda hai balke(duniyadeeda) hai.aap ne sach farmaaya ke Taar e anfaas e Ghazal mai kai aik khamiaN maujood haiN. beyAib khuda ki zaat hai aur Abdullah Nazir sahib bhi bhi bashariat ke taqazoN se mustansa nahi haiN. aur iska aiteraaf khud mausoof ne hamare samne kia magar ghalatiaaN Abdullah Nazir Sahib ki nahi proof readers ki haiN. intekhaab aur retyping mai baaz khamiaaN ho gai haiN. baharhaal aapne Mohatram Abdullah Nazir sahib ko yaad dihaani farmai , ham aapke mashkoor o mamnoon haiN ,inshaallah ainda ishaat mai maujooda khamioN ka izaala kardia jayega.
shukria
Mahtab Qadr
Shukriyah
Posted: Tue May 02, 2006 2:13 am
by Abdullah Nazir
MuHtaramah
dunyaa SaaHibah,
aur
MuHtaram
Mahtab SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aap donouN kaa tah-e-dil se shukrguzaar hooN ke aap ne aek bahut hi dilchusp mauZooA ki Taraf meri tavajjuh mabzool karwaayi hei.
Meraa pahla majmooAa-e-kalaam "Gauhar-e-shab-tab" to bahut aasani se shaayeA hougayaa thaa lekin "taar-e-anfaas-e-ghazal" bahut si sahoolateN muhayya houne ke baavajood aur bahut se mukhliS doustaoN kaa taAavun HaaSil houne ke bavajood mujh per baar-e-giraaN ban gayaa.
JahaaN tak ghalatiyaoN kaa taAlluq hei, naashireeN ki Taraf se to her deewaan ki TibaaAt ke waqt bahut si ghalaTiyaaN houjaati heiN. Mere saath bhii yehi houa. Is ke ilaawah computer per urdu meiN, kitabat, taSHeeH wagahirah meiN saare kaam ki zimmehdaari mujh per houne ki vajah se bahut si zabaan o bayaan ki ghalaTiyaN rehgayi heiN jinka mujhe ilm hei. Go ke kisi ne nishandehi nahiN ki hei lekin mujhe maAloom hei keh bahut si faash ghalaTiyaaN rehgayi heiN. MaiN apni ghalatiyaoN kaa iAtiraaf karne se nahiN jhijaktaa agar shakhSi tauheen se gurez kiyaa jaaye to.
Nateejeh ke Taur per:
1- agar maiN kitaab kaa jaayizah lene ki koushish karuN to yeh aek ya do din kaa kaam nahiN hougaa. Is liye souch rahaa hooN ke qisTaoN meiN saari ghalaTiyhaoN aur kamzouriyaoN ka zikr karuN.
2- aayindah kabhi nashr o ishaaAkt ke baare meiN nahiN souchoongaa kiynke maiN wazeefah-yaab houne ki wajah se maali istiTaaAat nahiN rakhtaa.
3- Agar kisi doust ne HauSlaH afzaayi kii to doosre deewaan ke baAd jo bhi site per pesh karsakaa hooN jamA karke tarteeb dooNgaa aur photocopy karwaake do chaar jildeN apne paas Hifaazat se rakh loongaa.
Koushish karungaa ke "Taar-e-anfaas-e-ghazal" ki ghalatiyaoN ke baare meiN tafSeel se likhkhuN.
Rahaa iAtiraaf kaa mas'alah to maiN khud ko aek Taalib-e-ilm samajhtaa hooN aur sao baar bhi apni ghalaTi kaa iAtiraf karnaa paRe to peeche nah haToongaa.
Aapka MukhliS,
Nazir.