Page 1 of 1

ghazal-"hum ne aisa na koi deeda-e-beena dekhaa"

Posted: Mon May 01, 2006 2:18 pm
by Daanish
ehl-e-bazm,
aadaab
hazrat Jigar moradabadi ka misrA hai--"tire dhhoke meiN khud apna hi tamaasha dekha" . is zameen meiN apni haqeer kaavish pesh karne ki s'aadat haasil kar raha huN:

hum ne aisa na koi deeda-e-beena dekhaa
husn-e-kaamil ko yahaN jis ne sar-a-paa dekhaa

ehl-e-beenish ne azal se ye tamaasha dekhaa
eik qatre ko sameTe hu'e dariya dekhaa

zindagi naqsh-e-kaf-e-paa ke siwa kuchh bhi nahiN
is ko ik nuqta-e-mauhoom meiN Dhhalta dekhaa

ik jhhalak dekhluN gar jalwa-e-kaamil ki tire
ho ke sarshaar pukaruN, usay dekhaa, dekhaa

kitne nagufta fasanoN ko suna hai hum ne
kitne na_deeda nazaaroN ka tamaasha dekhaa

ehl-e-dil ka hai yeh faizaan-e-nazar ai Daanish
hum ne har zarre ko aaina-e-sehra dekhaa

Bahut khoob, waah waah

Posted: Mon May 01, 2006 4:05 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Daanish SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

MarHoom Jigar Muradabadi ke miSreA per aapki kaavish bahut pasand aayi. Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

hum ne aisa na koi deeda-e-beena dekhaa
husn-e-kaamil ko yahaN jis ne sar-a-paa dekhaa


Bahut hi achchaa maTlaA hei. Shaayeranh Husn-e-bayaan ke saath Haqeeqat per mabni hei. Lafz "yahaaN" se aapki muraad is dunya meiN hei. Waah waah, bahut khoob. Sarapaa ko TukRe karke likhne ki Zaroorat nahiN.

ehl-e-beenish ne azal se ye tamaasha dekhaa
eik qatre ko sameTe hu'e dariya dekhaa


Jee haaN yeh Husn-e-maTlaA bhi bahut achchaa hei. Ahl-e-beenish ne hameshah aek ik qaTre mein simTaa houa daryaa dekhaa hei. Kyaa kehne, bahut khoob.

zindagi naqsh-e-kaf-e-paa ke siwa kuchh bhi nahiN
is ko ik nuqta-e-mauhoom meiN Dhhalta dekhaa


achcha sheAr hei. Falsifiyaanah andaaz kaa. Dunya ki nazar to yaheeN tak pahunch sakti hei ke dunyavi zindagi khatm houte houte aek nuqta-e-mauhoom meiN Dhal jaati hei. Warnah dekhne waalaoN ne kyaa kehiye ke kyaa kyaa dekhaa. Bahut khoob, achcha sheAr hei.

ik jhhalak dekhluN gar jalwa-e-kaamil ki tire
ho ke sarshaar pukaruN, usay dekhaa, dekhaa


Achchaa sheAr hei. Doosre miSreA meiN zaroori nahiN ke "usay" ko "tujhe" kaheN. Bahut khoob, waah waah.

kitne nagufta fasanoN ko suna hai hum ne
kitne na_deeda nazaaroN ka tamaasha dekhaa


Is sheAr meiN taSavvuf bhi hei aur aek paheli bhi. Agar koii pooche ke aap ne naguftah afsaanaoN ko kaise sunaa to keh sakte heiN ke wo doosraoN ke liye naaguftah thay aur waise hi agar poochaa jaaye ke aap ne naa-deedah nazaraoN ko kaise dekhaa to keh sakte heiN keh wo doosraoN ke liye naadeedah thay. Aur andaaz-e-taSavvuf yeh hei ke maiN ne naagufta fasaanaoN ko rooHani Taur per sunaa aur nadeedah nazaroN ko rooHani Taur per dekhaa hei.
BaharHaal bahut achcha SheAr hei, kyaa kehne.

ehl-e-dil ka hai yeh faizaan-e-nazar ai Daanish
hum ne har zarre ko aaina-e-sehra dekhaa


Dekhne meiN yeh maqTaA mushkil maAloom houtaa hei keh her zarre meiN aaienah-e-SeHraa dekhaa se kyaa muraad hei? Lekin ghaaliban mafhoom yeh hei ke her zarree meiN SeHraa ki wusAat dekhi hei.
Bahut khoob, waah waah.

Is bahut hi kaamyaab ghazal per dobaarah dili daad pesh kartaa hooN.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Tue May 02, 2006 12:39 pm
by Daanish
Mohtaram Nazir Saheb
aadaab
yuN tau kisi bhi shayar ki takhleeq agar pazeeraii se nawaazi jaati hai tau fitri taur par use khushi mehsoos hoti hai lekin aap jaisa fan ka naqqaad, shayr ka mufassir aur m'aroozi nuqta-e-nazar ka haamil shakhs, agar daad-o-tahseen se nawaze tau tabiyat masroor ho jaati hai. shukriyah.
khaaksaar
Daanish

???

Posted: Fri May 12, 2006 4:51 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Danish SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Bahut dinaoN se nah aapki nah aapke doust Shafeeq SaaHib ki koii Taazah ghazal dekhne ko mili. Ummeed ke aap dounoN ko thouRaa bahut waqt-e-faraagh milegaa taakeh ham aapke kalaam se mustafeed housakeN.


Aapka MukhliS,
Nazir.