ghazal zakhm e ulfat zeenat e dil hai zara samjha karo
Posted: Fri May 05, 2006 2:31 pm
haazreen e mehfil
asalam alaikum
aap ki KHidmat men ghazal pesh hai aap ki aara ka muntazir rahoonga
shukriyah
Husaini
ghazal
zakhm e ulfat zeenat e dil hai zara samjha karo
jaan e man yeh ishq ka hai falsafah samjha karo
tum ko ruswa kar nah de yuN sab se hansna bolana
ja chuka bachpan zara achchha bura samjha karo
lab kushaai men hamari aapki touheen hai
waqifulasraar ho to mudduAa samjha karo
khelna dil se hamre ik tamasha to nahiN
lag bhi sakti hai kisi ki badduAa samjha karo
rind o zaahid aa gaye is moR tak to saath saath
ab badal jayega inka raastah samjha karo
lag nah jaye daaGH koi daman e bedaaGH par
qurb meN achchha hai thoRa faaSlah samjha karo
giryah e shaam o sahar ke saikRoN asbaab heN
kyuN bahate hen yeh durr e bebaha samjha karo
KHouf e ruswaai se lab par lag gaii mohr e sukoot tum nigaah e shoq ki har ilteja samjha karo
qadr hojati hai kam milne se aise baar baar
aur us par zhar hai shikwah gilah samjha karo
yeh takabbur aur itna zaAm aaKHir kisliye
hai bohat kamzor nafsi silsilah samjha karo
likh rahe ho kyuN Husaini is qadar GHazleN Tweel
zabT e qaari ki hai koi inteha samjha karo