Page 1 of 1
Bahut khoob, waah waah
Posted: Sun May 07, 2006 4:35 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami i
Muzaffar Ahmed Muzaffar SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Guzarish 17 ke miSreA per Aapki TaraHi ghazal bahut pasand aayi, jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
MULAAHIZAAT:
wahee huwa jo moHabbat meN Haal hota hai
"ab aek saaNs bhee lena muHaal hota hai"
Bahut hi khoobsoorat gireh ke miSreA ke saath aapka maTlah Bahut khoob hei. Waah waah.
shab-e-wiSaal guzartee hai aek pal meN magar
firaaq ka aek lamHah bhee saal hota hai.
teree talash meN guzra hooN us muqam se bhee
jahaaN se laoT ke aana moHaal hota hai.
Bahut khoob, waah waah.
woh pochte haiN keh koche se kab uThooN ga maiN
wo poochte heiN uThoongaa kab unke kooche se
wo poochte heiN uThoongaa kab unke kooche se
nah jaane kiyuN yehi unkaa sawaal houtaa hei.
yaa phir jaisaa bhi aap munaasib samjheN.
nah dekho aankh uThaakar kisi bhi rehrao ko.[/
muzaffar is se jahaaN paemaal hota hai.
Achcha maqTaA hei. Waah waah.
Aapka MukhliS,
Nazir.
shukria
Posted: Sun May 07, 2006 4:55 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram janab Abdulallah Nazir SaHeb aadaab!
Ghazal guzarish 17 ko pasand farmane aor us par apna qematee
waqt de kar itna mufeed tabSira likhne par aap ka be Had mamnoon
aor aHsaan mand hooN.
khuda aap ko daraaz-e-umr se nawaze aor zindagee kee tamaam
khushiyaaN aap ke daman meN bhar de.(aamen)
ijazat dijiye.
mukhliS
muzaffar
Re: Ghazal guzarish 17
Posted: Sun May 07, 2006 4:57 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
sara_j wrote:mohtaram muzaffar sahib,
adaab arz hei.
ghazal ke sabhi ashaar bohat khoob hain,
daad qubool keejiye.
sara
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:wahee huwa jo moHabbat meN Haal hota hai
"ab aek saaNs bhee lena muHaal hota hai"
shab-e-wiSaal guzartee hai aek pal meN magar
firaaq ka aek lamHah bhee saal hota hai.
teree talash meN guzra hooN us muqam se bhee
jahaaN se laoT ke aana moHaal hota hai.
woh pochte haiN keh koche se kab uThooN ga maiN
on ke khat^ meN yahee akcar sawaal hota hai.
milao nah kisee rehro se aaNkh rah chalte
muzaffar is se jahaaN paemaal hota hai.
shukria
moHtarmah sara SaHeba aadaab!
aap ne Ghazal ko pasand farma kar mera HoSlah baRha diya hai.
is inayat ke liye aap ka shukrguzaar hooN.
khuda Hafiz
aap ka mukhliS
muzaffar
Re: Ghazal guzarish 17
Posted: Wed Jun 07, 2006 4:39 pm
by haamidbaaqri
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:wahee huwa jo moHabbat meN Haal hota hai
"ab aek saaNs bhee lena muHaal hota hai"
shab-e-wiSaal guzartee hai aek pal meN magar
firaaq ka aek lamHah bhee saal hota hai.
teree talash meN guzra hooN us muqam se bhee
jahaaN se laoT ke aana moHaal hota hai.
woh pochte haiN keh koche se kab uThooN ga maiN
on ke khat^ meN yahee akcar sawaal hota hai.
milao nah kisee rehro se aaNkh rah chalte
muzaffar is se jahaaN paemaal hota hai.
shukria
salaamun alaikum
mohtaram muzaffar saahib
masha allah
bahut acchee ghazal hai
khaaskar keh matla behtareen girah lagaayee hai aapne
hamaari dilee daad qubool farmaaye.n
aapka mukhlis
haamidbaaqri
Re: Ghazal guzarish 17
Posted: Sat Jun 10, 2006 6:48 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
haamidbaaqri wrote:Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:wahee huwa jo moHabbat meN Haal hota hai
"ab aek saaNs bhee lena muHaal hota hai"
shab-e-wiSaal guzartee hai aek pal meN magar
firaaq ka aek lamHah bhee saal hota hai.
teree talash meN guzra hooN us muqam se bhee
jahaaN se laoT ke aana moHaal hota hai.
woh pochte haiN keh koche se kab uThooN ga maiN
on ke khat^ meN yahee akcar sawaal hota hai.
milao nah kisee rehro se aaNkh rah chalte
muzaffar is se jahaaN paemaal hota hai.
shukria
salaamun alaikum
mohtaram muzaffar saahib
masha allah
bahut acchee ghazal hai
khaaskar keh matla behtareen girah lagaayee hai aapne
hamaari dilee daad qubool farmaaye.n
aapka mukhlis
haamidbaaqri
moHtaram Hamid baqri SaHeb
aadaab!
kese mizaaj haiN. Ghazal ko pasand farmane ka be Had shukriyah, bas chand she'er ho gae'e the so pesh kar diye haiN. aap ko pasand aae. aap kee muHabbat hai.
khuda aap ko salamat rakhe.
ijazat dijiye.
wassalam
muz^affar aHmad muz^affar[/color][/size][/color][/size]