Page 1 of 3
bekhudi
Posted: Sun May 07, 2006 7:09 pm
by Abdullah Nazir
"MaiN baaz aisi khudi se aayaa agar nateejah yeh hei khudi kaa
tha ik zamaanah keh dushmani bhi adaay-e-barham thi dousti ki."
Shaayer: Seemaab Akbaraabaadi
Nazir.
deewaanagi
Posted: Tue May 09, 2006 12:48 pm
by Abdullah Nazir
dasht gardi meiN balaay-e-aablah paayi sahi
kam se kam yeh to houaa, deewaanagi baaqi rahi.
Shaayher: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed May 10, 2006 10:56 pm
by ummassad
dil yeh paagal dil mera kyun bujhjaiya deewaangi
is dashat main eak sahair thaa vo kiya huwa deewaangi
JunooN
Posted: Thu May 11, 2006 7:28 pm
by Abdullah Nazir
KahaaN talaash karuN usko kis jagah DhooNDooN
Junoon-e-aagahi sar per sawaar hei kab se.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
junooN
Posted: Mon May 15, 2006 12:22 pm
by Abdullah Nazir
"mujhko aataa hei junooN is peh ke yaaro jiskaa
maiN hooN deewaanah wo samjhaa nahiN majnooN apnaa".
Shaayer: Jur'at.
Nazir.
junooN
Posted: Fri May 19, 2006 4:39 am
by Abdullah Nazir
Junoon-e-shauq meiN jo kuch maiN kehgayaa samjho
khilaaf-e-Aql sahi ArZ-e-mudduAa samjho.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
bekhudi
Posted: Sun May 21, 2006 11:40 am
by Abdullah Nazir
bekhudi ne tire kooche meiN kiyaa jab ruswaa
baat kartaa hooN sanbhalkar ke tujhe ranj nah ho
Shaayer: Abdullah Nazir
Nazir.
Posted: Sun May 21, 2006 1:13 pm
by hassan_bashir
kuChh to hote haiN muhabbat meiN junuuN ke aasaar,
aur kuChh log bhii diivaana bana dete haiN!
deewaanagi
Posted: Sun May 21, 2006 11:55 pm
by Abdullah Nazir
[u"khaTaa muAaf wodeewanagi kaa Aalam thaa
jise HuZoor samajhte heiN aastaaN se gurez".[/u]
Shaayer: Qamar Jalaalavi
Nazir.
Posted: Mon May 22, 2006 7:41 am
by hassan_bashir
gar kiyaa naaseh ne ham ko qaid aChha yuuN sahii
ye junuun-e-ishq ke aNdaaz chhuT jaayeNge kyaa?
Posted: Mon May 22, 2006 12:31 pm
by hassan_bashir
mere junuuN ko zulf ke saaye se duur rakh,
raste meiN ChhaaoN paa ke musaafir Thhehar na jaaye!
Posted: Tue May 23, 2006 8:28 am
by hassan_bashir
"kaisaa maanoos-e-junooN ho gayaa "Sarwar", dekh`o
chain kaa us se karo Zikr tau, gh`abraataa hai!"
junoon
Posted: Tue May 23, 2006 8:52 am
by Abdullah Nazir
Dasht-e-junooN meiN kashmakash-e-zindagee nah pooch
kartaa hooN rouz rouz maiN kiyuN khudkushi nah pooch.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue May 23, 2006 6:56 pm
by hassan_bashir
mujhe junuuN nahiiN 'Ghaalib' vale baqaul-e-huzuur,
firaaq-e-yaar meiN taskiin ho to kyuN.kar ho ?!
deewaanagi
Posted: Tue May 23, 2006 11:14 pm
by Abdullah Nazir
Dasht gardi meiN balaay-e-aablah paayi sahi
kam se kam to yeh houaa deewaanagi baaqi rahi
Shaayer: Abdullah Nazir
Nazir.