Page 1 of 1
TARAHI GHAZAL - -- - (GUZ.17) by: ABDULLAH NAZIR.
Posted: Mon May 08, 2006 8:10 am
by Abdullah Nazir
MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-sukhan
PurkhulooS Tasleemaat, :rose
Guzarish 17. ke miSreA per apni TaraHi ghazal pesh karne ki saAadat HaaSil karrahaa hooN. Ummeed ke apni giraaNqadr aaraa se mustafeed houne kaa mauqA denge.
GHAZAL roman meiN:
agar kabhi mire dil ko malaal houtaa hei
jilau meiN paikar-e-Husn o jamaal houtaa hei
gham o alam kaa dhuaaN hougayaa hei kyaa ghaalib
"ab aek saans bhi lenaa muHaal houtaa hei"
MaiN kaun hooN mujhe kyaa kaam hei zamaane se
Mire Zameer kaa mujh se sawaal houtaa hei
uThaa nah shak peh kabhi dousti kii deewaareN
yeh qahr-e-jaaN sabab-e-infiSaal houtaa hei
gawaahi deti heiN naakaamiyaoN meiN ummeedeN
keh unkaa dast-e-karam be micaal houtaa hei
usi ghaRi miri taubah qubool houti hei
jabeeN peh jab Araq-e-infiAaal houtaa hei
khulaa hei bhed yeh baAd uZ tabaahiy-e-bisyaar
muHabbataoN kaa nagar paayimaal houtaa hei
bharousah karke kisi fitnah-gar peh dekh liyaa
Ajeeb saadah-dili kaa ma'aal houtaa hei
MaiN aiesi bazm-e-sukhan se gurez kartaa hooN
jahaaN peh mashghala-e-qeel o qaal houtaa hei
junoon-e-shauq se mujhko sabaq milaa :Nazir:
khulooS-e-ahl-e-wafaa laa-zavaal houtaa hei.
=======
Aapka MukhliS,
Nazir.
Bahut bahut shukriyah
Posted: Thu May 18, 2006 12:13 pm
by Abdullah Nazir
MuHtaramah o Azeezah
Saara SaaHibah,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapke giraaNqadr tabSireh ke liye tah-e-dil se shukrguzaar hooN.
Waise aajkal to her shaayer yehi chaahtaa hei ke uski ghazal per tabSirah kiyaa jaaye aur wo khud se kisi ke kalaam per aek do saTr baTaur daad o teHseen nah sahi kam se kam HauSlah afzaayi ke liye hi kiuN nah ho likhkhe.
Baharhal apni ghazal ki pazeerayi ke liye beHad mamnoon hooN aur ummeed kartaa hooN ke aayindah bhi aap meri HauSlah afzaayi karti rahengi.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Re: TARAHI GHAZAL - -- - (GUZ.17) by: ABDULLAH NAZIR.
Posted: Wed Jun 07, 2006 4:31 pm
by haamidbaaqri
WEBMASTER wrote:
MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-sukhan
PurkhulooS Tasleemaat, :rose
Guzarish 17. ke miSreA per apni TaraHi ghazal pesh karne ki saAadat HaaSil karrahaa hooN. Ummeed ke apni giraaNqadr aaraa se mustafeed houne kaa mauqA denge.
GHAZAL roman meiN:
agar kabhi mire dil ko malaal houtaa hei
jilau meiN paikar-e-Husn o jamaal houtaa hei
gham o alam kaa dhuaaN hougayaa hei kyaa ghaalib
"ab aek saans bhi lenaa muHaal houtaa hei"
MaiN kaun hooN mujhe kyaa kaam hei zamaane se
Mire Zameer kaa mujh se sawaal houtaa hei
uThaa nah shak peh kabhi dousti kii deewaareN
yeh qahr-e-jaaN sabab-e-infiSaal houtaa hei
gawaahi deti heiN naakaamiyaoN meiN ummeedeN
keh unkaa dast-e-karam be micaal houtaa hei
usi ghaRi miri taubah qubool houti hei
jabeeN peh jab Araq-e-infiAaal houtaa hei
khulaa hei bhed yeh baAd uZ tabaahiy-e-bisyaar
muHabbataoN kaa nagar paayimaal houtaa hei
bharousah karke kisi fitnah-gar peh dekh liyaa
Ajeeb saadah-dili kaa ma'aal houtaa hei
MaiN aiesi bazm-e-sukhan se gurez kartaa hooN
jahaaN peh mashghala-e-qeel o qaal houtaa hei
junoon-e-shauq se mujhko sabaq milaa :Nazir:
khulooS-e-ahl-e-wafaa laa-zavaal houtaa hei.
=======
Aapka MukhliS,
Nazir.
mohtaram abdullah nazir saahib
salaamun alaikum
"mai.n kaun hoo.n mujhe kya kaam hai zamaane se
mire zameer ka mujhse sawaal hota hai"
waah waah bahut khoob
aapki ghazal hame.n bahut acchee lagee
der se padhne kee hum muaafi chaahte hai.n.
bahrhaal ustadaanah kalaam hai tau har sher laajawaab hoga hi
aapki is munfarid kaavish per hamaari dilee daad qubool farmaaye.n
aapka mukhlis
haamidbaaqri