Page 1 of 1

ghazal manoos heN kuchh aise GHamon ke acar se hum

Posted: Mon May 08, 2006 4:55 pm
by khozema husaini
haazreen e mehfil

assalam alaikum
aap ki KHidmat ghazal ke chand ashAar pesh kar raha hoon aur aap ki garaNqadr aara ka muntazir rahoonga
shukriyah
Husaini
ghazal
manoos heN kuchh aise GHamoN ke acar se hum
mar jayenge KHushi ki zara si KHabar se hum

shehroN men dasht se hai ziyadah darindagi
is KHouf se nikalte nahiN apne ghar se hum

koh e baland sar kiye gir kar hazaar baar
uTThhe nahiN giraye gaye jab nazar se hum

marGHoob hai unheN jo bohat dil ka toRna
layenge roz aik naya dil kidhar se hum

sar tere dar pe rakh ke gunahgaar ho gaye
yeh bojh ab utarenge kis tarah sar se hum

jane laga deN kab miri KHuddariyoN ke daam
rehte heN door isliye har ahl e zar se hum

aane do un ki samt se patthar hazaar baar
bhejenge baar baar unheN gul idhar se hum

deta nahiN tu Husn ko kyuN jazbah e wafaa
poochheNge yeh sawaal shah e beHr o bar se hum

zaahir Husaini naam se hota hai Saaf Saaf
rakhte heN uns Fatemah zehra(SA) ke ghar se hum

husaini KhanDwi

Bahut khoob, waah waah

Posted: Wed Jun 21, 2006 8:22 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Khozemah Husaini SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki yeh ghazal meri nazar se kaise chook gayi patah nahiN.

Saare ashAad bahut hii dilkash heiN jinke liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Sat Jun 24, 2006 3:33 pm
by khozema husaini
mohtaram nazir saheb
daad aur houslah afzaaii ka bohat bohat shukriyah
Husaini

Posted: Sun Jun 25, 2006 5:31 pm
by Raji
Janab-e-Hhusaini KhanDwi SaaHeb:

Aap kee Ghazal par aaj hee naZar paRee hai.

tamaam hee ashaar bohat dilkash heN. meree jaanib se dilee daad aur
mubarakbaad qubool keejiye.

Ghraphic presentation bhi bohat Khoob hai :)

Posted: Wed Jun 28, 2006 3:46 pm
by khozema husaini
mohtarmah raji sahebah
aadaab
aap ki daad aur hoSlah afzaaii ka bohat bohat shukriyah
Husaini