Page 1 of 1

"sab se dhani hai"tarhi kalaam peshe khidmat hai

Posted: Thu May 11, 2006 4:17 pm
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto

aik tarhi kalaam aapki hawaale kar rahe hai.n.

garqubool uftad zahe......

arz kiya hai.....

ek baat humse ahmede mursal ne kahi hai
jo yaad rakhe mout wohi sab se dhanee hai

woh hota hai be hosh jise aankh lagi hai
yeh neend haqeeqat mei.n ajal ki hi kadee hai

kis shakhs ki batlaao ajal sar se tali hai
insaan ko panje mei.n liye mout khadee hai

ho band ajal aate hi ^aamaal ka daftar
sun mout teri tujh pe qiyaamat ki ghadee hai

jab tujhko yaqee.n hai keh fana hona hai ek din
duniya ki hawas phir kyu.n tere dil mei.n basee hai?

hargiz nah milegee tujhe yu.n muft mei.n jannat
mehnat se mushaqqat se har ek baat banee hai

rouze pe bulaa leejiye aye saaqiye kausar
"ek yaad tumhaari so mere dil se lagee hai"

yak tarfah rawaa.n qaafilaye zeest hai haamid
ek pul ki tarah mout tere aage khadee hai

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah



Bahut khoob

Posted: Thu Jun 01, 2006 1:09 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki is khoobSoorat ghazal per kal hi nazar paRi. Aapke khaaS rang meiN Doobi houi, ieemaan ko taazah karne waali yeh takhleeq laayiq-e-Sad daad o teHseen hei.

aek kaamyaab kaawish per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Re: Bahut khoob

Posted: Fri Jun 02, 2006 5:59 am
by haamidbaaqri
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki is khoobSoorat ghazal per kal hi nazar paRi. Aapke khaaS rang meiN Doobi houi, ieemaan ko taazah karne waali yeh takhleeq laayiq-e-Sad daad o teHseen hei.

aek kaamyaab kaawish per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.

salaamun alaikum
mohtaram abdullah nazir saahib

aapki musalsal hauslah afzaaye hai jo rang laarahi hai mohtaram.

bahut bahut shukriya aapka

allah(sbhnwt) aapke dono jahaa.n sanwaar de .aameen

aapka mukhlis
haamidbaaqri