Page 1 of 1

Tarhee ghazal: wo mausam-e-gul, waadi-e-gulzaar wohee hai

Posted: Thu May 11, 2006 5:30 pm
by Munawwar
DostoN,
wo ghazal pesh karne kee ijaazat chaahtaa huN jo maiN ne urduduniya ke tarHee mushaaire meN darj kee hai. Misra-e-tarHa hai :

"ik yaad tumhaaree so mire dil se lagee hai"

Pesh hai:

Wo mausam-e-gul, waadi-e-gulzaar wohee hai

wo mausam-e-gul, waadi-e-gulzaar wohee hai
is manzar-e-kaamil meN bas ik teri kamee hai

ik hijr ki hai raat jo aaNkhoN se lagee hai
ik wasl ki khwaahish hai jo ashkoN meN Dhalee hai

lafzoN meN wo zeenat nahiN jo tujh meN bahut hai
ta'reef se kotaahi-e-ta'reef baRee hai

maayoos naheeN hooN ke huN ummeed pe zindah
ummeed ke bar aane ki ummeed baRee hai

ham ahl-e-junooN ko na naseeHat ki sazaa de!
baatoN se to behtar ye tiree sangzanee hai

tasveer tumhaaree koi hotee to jalaataa!
"ik yaad tumhaaree, so mire dil se lagee hai"

ik a'rsah huaa hai hameN ab khaamah giraaye
us khaaliq-e-sad Harf, pe ab barf jamee hai

bas, chain naheeN aur yeh saaNseN bhi haiN bojhal
baaqee to "Munawwar" ki tabeey'at bhi bhalee hai
-------------------------------------------------------------------------

Aapkee aaraa ka muntazir huN,
Bhaswar Dasgupta "Munawwar"