Page 1 of 1

ek ghazal

Posted: Wed May 17, 2006 12:46 pm
by Shafeeq
ek tau haiN jism ki raanaiyaaN
aur us par aap ki angDaiyaN

doosroN par maiN nahiN karta nazar
naapta huN apni hi gehraiyaaN

dekh kar meri nazar ki vus’ateiN
khiNch gayi haiN arz ki pehnaiyaaN

haadiSoN ko le ke aayiiN tau nahiN
de rahi haiN dastakeN purwaiyaaN

ik tamanna thhi sau woh bhi luT gayi
ab tau maiN huN aur miri tanhaiyaaN

zulmateiN itni huiN mujh se qareeb
door qadmoN se huiN parchhaiyaaN

gardishoN ko baandhh rakhti haiN Shafeeq
unki zulfoN ki woh kham-aaraiyaaN

Bahut khoob, waah waah

Posted: Sat May 20, 2006 1:15 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Shafeeq SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal paRhkar khushi houi jiske liye meri dill daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

ek tau haiN jism ki raanaiyaaN
aur us par aap ki angDaiyaN


achcha maTlaA hei, waah waah.

doosroN par maiN nahiN karta nazar
naapta huN apni hi gehraiyaaN


achcha sheAr hei, waah waah. aap ne apni ghraayiaoN kaa zikr kiyaa hei aur naapne ki munaasibat se doosre shoAaraa lambaayi isteAmaal karte heiN.

dekh kar meri nazar ki vus’ateiN
khiNch gayi haiN arz ki pehnaiyaaN


Bahujt khoob, waah waah.l

haadiSoN ko le ke aayiiN tau nahiN
de rahi haiN dastakeN purwaiyaaN


"HaadicaoN" aur "purvaayiyaoN" ke alfaaz se mafhoom kaa taAayyun mushkil hourahaa hei mere liye. SheAr waise achchaa hei. waah waah.

ik tamanna thhi sau woh bhi luT gayi
ab tau maiN huN aur miri tanhaiyaaN


Waah waah, bahut khoob.

zulmateiN itni huiN mujh se qareeb
door qadmoN se huiN parchhaiyaaN


achcha hei.

gardishoN ko baandhh rakhti haiN Shafeeq
unki zulfoN ki woh kham-aaraiyaaN


achcha maqTaA hei, waah waah.


Aapka MukhliS,
Nazir.