Page 1 of 1

ek ghazal

Posted: Wed May 17, 2006 12:48 pm
by Shafeeq
jab mohabbat ki ibtidaa karna
tum mujhe yaad kar liya karna

unki zulfoN ke pech waa karna
gardish-e-waqt ko rihaa karna

tere band-e-qabaa ka khulna hai
uThhte sooraj ka saamna karna

faaslah kuchh tau hum meiN tum meiN rahe
ajnabi ki taraH milaa karna

zindagi zaKhm hi sahee lekiN
haNste haNste ise sahaa karna

maut jis ko qadam qadam aaye
maatam us zindagi ka kya karna

aql ko dil ke darmiyaaN rakhna
jab bhi apnoN se mashwara karna

uski khushbu bhi kuchh uRa laana
karam itna bas ai saba karna

baat jab bhi Khuloos ki nikle
zikr apne Shafeeq ka karna


Re: ek ghazal

Posted: Fri May 19, 2006 5:57 pm
by tahira Masood
Shafeeq wrote:
maut jis ko qadam qadam aaye
maatam us zindagi ka kya karna

aql ko dil ke darmiyaaN rakhna
jab bhi apnoN se mashwara karna

uski khushbu bhi kuchh uRa laana
karam itna bas ai saba karna

baat jab bhi Khuloos ki nikle
zikr apne Shafeeq ka karna

Mashallah bohat khoob kalaam hai

yeh ahsaar khaaS taur per pasand aaey
bohat a'alaa haiN

dilee daad qabuul fermaaeiN

Bahut khoob, waah waah

Posted: Sat May 20, 2006 5:53 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Shafeeq SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

jab mohabbat ki ibtidaa karna
tum mujhe yaad kar liya karna


MeHboobah se khiTaab karne meiN anokhaa pan hei. waise mafhoom bilkul vaaZeh hei. waah.

unki zulfoN ke pech waa karna
gardish-e-waqt ko rihaa karna


Bahut khoob, waah waah.

tere band-e-qabaa ka khulna hai
uThhte sooraj ka saamna karna


Tashaabuh paidaa karne kaa achchaa tajribah hei. Waah waah.

faaslah kuchh tau hum meiN tum meiN rahe
ajnabi ki taraH milaa karna


achchaa sheAr hei. Waah waah.

zindagi zaKhm hi sahee lekiN
haNste haNste ise sahaa karna


khoob hei.

maut jis ko qadam qadam aaye
maatam us zindagi ka kya karna


achchaa sheAr hei. waah waah.

aql ko dil ke darmiyaaN rakhna
jab bhi apnoN se mashwara karna


Pahle miSreA ke aakhiri rukn meiN "rakhna" se gurez karnaa chaahiye thaa kiyunke doosre miSreA ki radeef "karna" hei. aapke doosre shaeAr meiN bhi yehi baat hei.
Achchaa sheAr hei, waah waah. Iqbal ne alag andaaz meiN kahaa hei:
Achchaa hei dil ke saath rahe paasbaan-e-Aql
lekin kabhi kabhi ise tanhaa bhi chouRde.


uski khushbu bhi kuchh uRa laana
karam itna bas ai saba karna


achcha sheAr hei, waah waah.

baat jab bhi Khuloos ki nikle
zikr apne Shafeeq ka karna


achcha maqTaA hei, Shafeeq SaaHib. Bahut khoob.


Aapka MukhliS,
Nazir.