Page 1 of 1

Bayshaq Na Mere Saath Safar Ikhtiyaar Kar(Noshi Gilaani)

Posted: Tue Jan 25, 2005 12:29 pm
by Shummu
Bayshaq Na Mere Saath Safar Ikhtiyaar Kar
Ae Mere Bad-Gumaan, Mera Aetbaar Kar

Woh Khud Tou Titliyoun Ko Liye Ghoomta Raha
Aur Mujh Ko Khat Mein Likhta Raha, Intezaar Kar

Ab Unn Kay Qafilay Tou Kahien Dour Ja Chukey
Jin Ki Talab Mein Aaye Thay Sehra Guzaar Kar

Mein Ney Tou Tere Hijar Ka Dukh Jhail Hi Liya
Ab Tu Bhi Khud Ko Waqf-e-Raah-e-Intezaar Kar

Kab Ho Saki Hai Inn Ki Samandar Se Doosti
Mitti Kay Inn Gharondoun Pe Kam Inhesaar Kar

Fursat Miley Tou Dekh Mere Dil Kay Aainey
Aankhoun Se Apney Kaaghazi Parday Utaar Kar


Poet: Noshi Gilani

Posted: Tue Jan 25, 2005 7:36 pm
by rahmed25682
Aadaab Shummu..

wah kia baat hay ... shukria kay aap nay NOSHI GILANI kee itny achhy ghazal share kee ..

Khush rahain aur achhy achhy cheezain share karty rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed

Posted: Wed Jan 26, 2005 10:53 pm
by Hashmat Usmani
Shummu wrote:Ab Unn Kay Qafilay Tou Kahien Dour Ja Chukey
Jin Ki Talab Mein Aaye Thay Sehra Guzaar Kar

Mein Ney Tou Tere Hijar Ka Dukh Jhail Hi Liya
Ab Tu Bhi Khud Ko Waqf-e-Raah-e-Intezaar Kar
waah waah waah shummu...bahot Khoob...kia namak_paare nikaal kar laayii haiN. shukria.

aur bhi laaiye zara to lutf mazeed aaye. :D

Hashmat

Posted: Fri Jan 28, 2005 5:36 pm
by Shummu
aap sab ka bahut bahut shukriya :)