Page 1 of 1
"basaa dena chaahiye"tarhi ghazal peshe khidmat ha
Posted: Fri May 19, 2006 5:30 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto
aik aur adna kaavish peshe khidmat hai
umeed hai pasand farmaaye.nge
arz kiya hai....
khulde baree.n ki raah dikhaa dena chaahiye
islam ka payaam sunaa dena chaahiye
jistar'ha hai khuda ki munazzam yeh kaayenaat
ustar'ha ka samaaj banaa dena chaahiye
insaan jee sakay jahaa.n amno sukoon se
dunyaa mei.n aise shahr basaa dena chaahiye
zulmo sitam ghareeb pe jo karte hai.n ameer
un bhediyo.n ka khoon bahaa dena chaahiye
jinke nifaaq se hai pareshaa.n mu^aashera
aise munaafiqo.n ko mitaa dena chaahiye
haamid woh sang dil hai.n jo yeh baat kehte hai.n
"shaakho.n se panchiyo.n ko udaa dena chaahiye"
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
Posted: Fri May 19, 2006 6:00 pm
by tahira Masood
waaaaaaah subHaan Allah bohat hi a'alaa aur munfarid
jazaakomullaho AHsanil Jazaa
bahut bahut shukriya
Posted: Sat May 20, 2006 12:55 pm
by haamidbaaqri
tahira Masood wrote:waaaaaaah subHaan Allah bohat hi a'alaa aur munfarid
jazaakomullaho AHsanil Jazaa
mohtaramah tahira masood saahebah
salaamun alaikum
aapki purkhuloos daad aur duao.n keliye hum aapke behad mamnoono mashkoor hai.n.
allah(sbhnwt)aap per apni rehmato.n ki baarish kare.aameen.
mukhlis
haamidbaaqri
Bahut khoob, waah waah
Posted: Sat May 20, 2006 2:16 pm
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aap ne apne makhSooS andaaz meiN bahut achchi ghazal kahi hei jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
MULAAHIZAAT:
khulde baree.n ki raah dikhaa dena chaahiye
islam ka payaam sunaa dena chaahiye
achcha maTlaA hei. waah waah.
jistar'ha hai khuda ki munazzam yeh kaayenaat
ustar'ha ka samaaj banaa dena chaahiye
achcha sheAr hei, waah waah.
insaan jee sakay jahaa.n amno sukoon se
aise shahar jahaa.n mei.n basaa dena chaahiye
Doosre meiSreA meiN "shehr" ko aap ne "shehar" kahaa hei jiski vajh se miSraA be-BeHr hougayaa hei. Isko yooN kiyaa jaasaktaa hei:
dunyaa meiN aise shehr basaadenaa chaahiye
Mafhoom ke liHaaz se achchaa sheAr hei, waah waah.
zulmo sitam ghareeb pe jo karte hai.n ameer
un bhediyo.n ka khoon bahaa dena chaahiye
Bahut ziyaadah jazbaati sheAr hougayaa hei.
jinke nifaaq se hai pareshaa.n mu^aashera
aise munaafiqo.n ko mitaa dena chaahiye
Theek sheAr achchaa hei. Bahut khoob.
haamid woh sang dil hai.n jo yeh baat kehte hai.n
"shaakho.n se panchiyo.n ko udaa dena chaahiye"
Achcha maqTaA hei. Bahut khoob.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Re: Bahut khoob, waah waah
Posted: Mon May 22, 2006 6:52 am
by haamidbaaqri
WEBMASTER wrote:

mohtaram abdullah nazir saaib
salaamun alaikum
aapki hauslah afzaayee aur muklisaanah daad ke behad shukrguzaar hai.n.
us misre ko humne edit kardiya hai.hum samajh nahi.n paarahe hai.n keh yeh ghalati humse kaise hogayee.ghalati ki nishaandahi keliye hum aapke behad mamnoono mashkoor hai.n.ab woh sher waaqayee khoobsoorat hogaya hai.jazakallah
umeed hai aayindah bhi aap hamaari rehnumaayee farmaate rahe.nge
allah(sbhnwt)aap per apni rehmato.n ki baarish kare.aameen
aapka mukhlis
haamidbaaqri