Page 1 of 1
Ghalat ho gaheN sab kitaabooN kee baateN
Posted: Mon May 22, 2006 10:47 am
by Raji
suKhanwaran-e-bazm:
Aadaab-o-tasleemaat,
apnii ek taaza tuk-bandee ke saath HaaZir hoovii hooN. is peh choNkeh shaa'oorii meHnat naheN hoovii hai isliye jo hai jaisa hai kee bunyaad par aap kee a'dalat meN pesh hai.
apnee aaraa aur rehnumayii se zaroro navaziye gaa.
mamnoon-o-taalib-e-dua'a
Zahida Raees :Raji:
Second version:
Ghazal:
1. chaleeN zindagi ke niSabooN kee baateN
Ghalat ho gaheN sab kitaabooN kee baateN
2. ghaRee do ghaRee thee gulabooN kee baateN
raheN umr bhar phir azaabooN kee baateN
3. suneN tum ne saare HisaabooN kee baateN
chipee reh gaheN be-HisaabooN kee baateN
4. bohat soch kar yeh kaha thaa kisee ne!
karo har kisee se nah KhwabooN kee baateN
5. vohii ek takraar thee zindagi meN
sawalooN kee baateN jawabooN kee baateN
6. hameN "aagahii", "zindagi" se milee hai
sikh~aaho nah ham ko kitabooN kee baateN
7. Ghazal meN miri, mil nah paaheNgii tum ko
:shababooN: kee baateN, :sharabooN: kee baateN
8. ghareebana dil kee hai saadaa mizaaji
kareN ham bhala kyaa nawaabooN kee baateN
9. Hayaa, be-Hayaayii, meN kyaa farq samjheN
naheeN jaante jo :HijaabooN: kee baateN
10. gunahooN kee lazzat se manoos the jo
kahaN kar sake voh cawaabooN kee baateN
11. HaqaHiq ka chehrah juda saa lage gaa
bayaaN gar hooN :Raji: naqaabaoN kii baateN
Zahida Raees :Raji:
Bahut khoob, waah waah
Posted: Mon May 22, 2006 5:33 pm
by Abdullah Nazir
MuHtaramah
Raaji SaaHibah,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
MULAAHIZAAT:
1. chaleeN zindagi ke niSabooN kee baateN
Ghalat ho gaheN sab kitaabooN kee baateN
Bahut achchaa maTlaA hei, waah waah.
2. ghaRee do ghaRee thee gulabooN kee baateN
raheN umr bhar phir azaabooN kee baateN
Yeh Husn-e-maTlaA bhi bahut khoob hei, waah waah.
3. suneN tum ne saare HisaabooN kee baateN
chipee reh gaheN be-HisaabooN kee baateN
Theek hei.
4. bohat soch kar yeh kaha thaa kisee ne!
karo har kisee se nah KhwabooN kee baateN
Waah waah, bahut khoob.
5. vohii ek takraar thee zindagi meN
sawalooN kee baateN jawabooN kee baateN
Yeh sheAr bhi khoob hei, waah waah.
6. hameN "aagayii", "zindagi" se milee hai
sikh~aaho nah ham ko kitabooN kee baateN
Pahle misre meiN "aagahii" ko aap ne ghalaT likhdiyaa hei. Durust farmaaleejiye.
Yeh sheAr bhi bahut achchaa hei, waah waah.
7. Ghazal meN meri, mil nah paaheNgii tum ko
shababooN kee baateN, sharabooN kee baateN
sheAr Hasb-e-Haal hei. Achchaa hei. "Meri" ko "miri" banaadeejiye.
8. ghareebana dil kee hai saadaa mizaaji
kareN ham bhala kyaa nawaabooN kee baateN
achcha sheAr hei, waah waah.
9. Hayaa be-Hayaayii meN tafreeq kyaa hai?
naheeN jaante jo HijaabooN kee baateN
Agar pahlaa miSraA yooN houtaa to ziyaadah vaZaaHut houjaati thii:
Hayaa, be-Hayaayii, meiN kyaa farq samjheN
Yaa phir doosre sheAr meiN lafz "jo" ko "tum" banaana hougaa.
achchaa sheAr hei, waah waah.
10. gunahooN kee lazzat se manoos the jo
kahaN kar sake voh cawaabooN kee baateN
achchaa sheAr hei, waah waah.
11. HaqaHiq ka chehrah juda saa lage gaa
utarne do :Raaji: naqabooN kee baateN
MaqTeA meiN radeef ne aapke khayaal ko muntashir kardiyaa hei. Utarne do :Raaji: naqaabaoN ke baateN
Meri nazar meiN doosra miSraA yooN ho to ibhaam door houjaayegaa:
bayaaN houN jo :Raji: naqaabaoN kii baateN
Achcha maqTaA hei. Waah waah.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Posted: Tue May 23, 2006 9:31 am
by Raji
moHtaram Janab-e-Abdullah Nazir SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemaat,
meree is tukbandii par tafseelii nighah d'aalne ke liye dil kee gherahiyooN se aap kee mamnoon hoN.
daad aur Ghazal kee pasandeedgi ke liye bohat shukriyah.
maiN ne aap ke bataYe gaye nuktooN kee roshnii meN Ghazal ko dobarah murattab kiyaa hai.
maqta' ke Hawale se aap kee baat bilkul durust hai keh mere miSrah-e-caanii meN ibhaam maujood hai.
maiN agar aap ke mashvare " bayaaN houN jo :Raji: naqaabaoN kii baateN " kee jaga " bayaaN gar hooN :Raji: naqaabaoN kii baateN " kar dooN tu kyaa yeh durust ho gaa?
11. HaqaHiq ka chehrah juda saa lage gaa
bayaaN gar hooN :Raji: naqaabaoN kii baateN
Aap ka ek baar ph~ir shukriyah adaa kartee hooN.
mamnoon-o-taalib-e-dua'a
Zahida Raees :Raji:
Bilkul durust hei
Posted: Tue May 23, 2006 10:13 am
by Abdullah Nazir
MuHtaramah
Raaji SaaHibah,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapke javaab ke liye beHad shukrguzaar hooN.
MaqTeA ke baare meiN, meri raaye thii ke aapka doosraa miSraA yooN hou to behtar hei:
bayaaN houN jo :Raji: naqaabaoN ki baaten
Aap ne isi mafhoom ko doosri ibaarat meiN bayaan karnaa chaaha jo meri apni raaye se bhi ziyaadah behtar hei yaAni:
bayaaN gar houN :Raji: naqaabaoN ki baateN.
11. HaqaHiq ka chehrah juda saa lage gaa
bayaaN gar hooN :Raji: naqaabaoN kii baateN
Jee haaN is TaraH se aapke maqTeA meiN kisi qism kaa ibhaam baaqi nahiN reh gayaa hei.
Aapka MukhliS,
Nazir.
bohat shukriyah.
Posted: Tue May 23, 2006 11:56 am
by Raji
moHtaram janab-e-Abdullah Nazir SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemaat,
Khat ke jawab ke liye ek baar phir aap kaa shukriyah adaa kartee hooN.
is umeed ke saath keh aahindah bhi youNhii rehnumayii karte raheNge.
mamnoon-o-taalib-e-dua'a
Zahida Raees :Raji:
Re: Ghalat ho gaheN sab kitaabooN kee baateN
Posted: Tue Jun 06, 2006 7:48 am
by Raji
sara_j wrote:dear raji,
waah! bohat hi dilkash zameen mein khoobsurat ghazal kahi hei
dili daad aur mubarakbaad qubool keejiye.
sara
Azeezah Sara Sis:
Aadaab,
taKheer se Khat ka jawaab likhne ke liye ma'azrat Khwaa hooN.
Ghazal kee pasandeedgi aur daad ke liye dil kee gehrahiyouN se aap kee mamnoon hooN.
wassalaam
Zahida Raees :Raji: