Page 1 of 1

Posted: Wed May 24, 2006 9:14 am
by hassan_bashir
Sara jii aadab arz hai!

aakhir-kaar aap ne Ghazal keh hii daalii. :grin:

mazaaq.bar.taraf, hamesha kii tarah aap ka yeh kalaam bhii pasaNd aaYa tamaam hii ash'aar khuub haiN par she'r #5 bohat bhaaYa.

is kaamyaab takhleeq par merii jaanib se dilee daad qubuul keejiYe. :rose

ShukriYa !



~ Hassan ~

Bahut khoob, waah waah

Posted: Wed May 24, 2006 5:01 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
Saara SaaHibah,
- -- -
PurkhulooS Tasleemaat,

Is baar aapki TaraHi ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Ghazal:

1. kahiN peh zehn kahiN kaa khayaal houtaa hei
yehi to naghma-e-dil kaa kamaal houtaa hei

2. kaTi hei umr hamaari khuli faZaa meiN magar
"ab aek saans bhi lenaa muHaal houtaa hei"

3. ye bijliyon ki garaj aur siyaah tanhaa raat
bataauN kyaa jo mire dil kaa Haal houtaa hei

4. tiri wafaa ke yahaN phool ab khileN nah khileN
jafaa ki dhoop meiN bhi iHtimaal houtaa hei

5. miri kalaayi meiN jab chooRiyaaN khanakti heiN
nazar se unki AyaaN ek sawaal houtaa hei

6. kabhi jo aapke tewar zaraa badalte heiN
khabar kise hei jo Saara kaa Haal houtaa hei


Saare ashAar achche heiN, waah waah, bahut khoob.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Wed May 24, 2006 6:26 pm
by tahira Masood
waah sara sis kamaal ker diyaa!


ghazal k pesh kerne kaa andaaz tau beHad khoobsurat hai

ghazal apnee jagah bohat khoob hai

daad qabuul fermaaiN

wassalam

Re: "ab aek saans bhi lenaa muHaal houtaa hei"....

Posted: Wed Jun 07, 2006 4:24 pm
by haamidbaaqri
sara_j wrote:DostoN salaam,

aek koshish pesh hei ummeed ke pasand fermayenge.
Image
Ghazal:

1. kahiN peh zehn kahiN kaa khayaal houtaa hei
yehi to naghma-e-dil kaa kamaal houtaa hei

2. kaTi hei umr hamaari khuli faZaa meiN magar
"ab aek saans bhi lenaa muHaal houtaa hei"

3. ye bijliyon ki garaj aur siyaah tanhaa raat
bataauN kyaa jo mire dil kaa Haal houtaa hei

4. tiri wafaa ke yahaN phool ab khileN nah khileN
jafaa ki dhoop meiN bhi iHtimaal houtaa hei

5. miri kalaayi meiN jab chooRiyaaN khanakti heiN
nazar se unki AyaaN ek sawaal houtaa hei

6. kabhi jo aapke tewar zaraa badalte heiN
khabar kise hei jo Saara kaa Haal houtaa hei
salaamun alaikum
hamaari azeez behen sara

bahut khoobsoorat ghazal hai

presentation bhi laajawaab hai

masha allah bahut accha likhrahi hai.n aap

allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyaadah

aapka bhai
haamid

Re: "ab aek saans bhi lenaa muHaal houtaa hei"....

Posted: Fri Aug 11, 2006 12:17 pm
by Anmol
sara_j wrote:1. kahiN peh zehn kahiN kaa khayaal houtaa hei
yehi to naghma-e-dil kaa kamaal houtaa hei

2. kaTi hei umr hamaari khuli faZaa meiN magar
"ab aek saans bhi lenaa muHaal houtaa hei"
Dear Sara,

Bohot pyaari ghazal kahi hai. Meri jaanib se DheroN daad pesh hai.

:-)

Re: "ab aek saans bhi lenaa muHaal houtaa hei"....

Posted: Sat Oct 14, 2006 12:48 pm
by Shummu
3. ye bijliyon ki garaj aur siyaah tanhaa raat
bataauN kyaa jo mire dil kaa Haal houtaa hei
wah..!
4. tiri wafaa ke yahaN phool ab khileN nah khileN
jafaa ki dhoop meiN bhi iHtimaal houtaa hei
iHtimaal=?

6. kabhi jo aapke tewar zaraa badalte heiN
khabar kise hei jo Saara kaa Haal houtaa hei
wah bahut khoob..!

Daad pesh hai Sara jee... :-)

Shumaila

Re: "ab aek saans bhi lenaa muHaal houtaa hei"....

Posted: Wed Nov 29, 2006 2:58 pm
by muhammad_19k



Salam Sara Ji,


bila shubaa aap ki ye ghazal khoobsoorat khayalat oar dilkash izhaar ka majmooa hei. laikin iss shair ki khasoosi tareef na karnaa shaid naa insaafi ho.

kabhi jo aapke tewar zaraa badalte heiN
khabar kise hei jo Saara kaa Haal houtaa hei


bohat saada se alfaaz meiN ye bay saakta izhaar. oar bin kahe bhi aik daastaN ke har paRhne walaa apni apni soach ke ta-eeN iss khayal ki latafat meiN ghaotaa zan hotaa chala ja-aye. bohat khoob saara ji.

Allah taala aapko aise lateef khayalaat se nawaztaa rahe.