Page 1 of 1

Taza Ghazal "na ghamgusaar na koi mera maseeha ho

Posted: Wed May 24, 2006 9:36 am
by Mahtab Qadr
Ghazal urdu script mai mulahiza farmaiN

Posted: Sat May 27, 2006 6:31 am
by Mahtab Qadr
saara ji tasvir sinf e nazuk ki ho to ..qabil e tahseen hoti hai, ham ne sirf taarruf ke lye tasvir chaspaN ki , tareef sunne ke lye nahi,albatta itna zaroor hai ke meri tasveer se bachoN ko daraaya nahi jasakta itna mujhe maloom hai.:) kavish ko sarahne ka bahut bahut shukria halaNke vo bhi is qabil nahi ,baharhaal taaza thi islye pesh kardi.
shukria

Bahut khoob

Posted: Wed May 31, 2006 5:29 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Mahtab Qadr SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal nazar navaaz houi jo aek khaaS kaifiyyat ki Haamil hei. Is dilpazeer takhleeq per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Wed May 31, 2006 8:29 pm
by Mahtab Qadr
Abdullah bhai shukria ke aap ne ghazal par tabsira farmaaya , magar aapka andaaz bataata hai ke ghazal ....jis khas kaifiat ki hamil hai, aap us par tabsira karne se guraiz kar rahe haiN. barah e karam agar koi khami ho to nazarandaaz na kijye
shukria
Mahtab Qadr

Shukriya

Posted: Thu Jun 01, 2006 1:49 am
by Abdullah Nazir

MuHtaram Bhaayi
Mahtab Qadr SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aap ne mere mukhtaSar se tabSireh ke baare meiN apne khayaalaat kaa yooN izhaar kiyaa hei:

Abdullah bhai shukria ke aap ne ghazal par tabsira farmaaya , magar aapka andaaz bataata hai ke ghazal ....jis khas kaifiat ki hamil hai, aap us par tabsira karne se guraiz kar rahe haiN. barah e karam agar koi khami ho to nazarandaaz na kijye
shukria
Mahtab Qadr


Aapki khaaS kaifiyaat se meri muraad thee (khuda ki qadrat kii Taraf ishaaraat, us ki Azmat kaa bayaan, Hamd waghairah).
Agar ghazal ki khaamiyaoN ko apne tabSireh meiN shaamil karne kaa hee qaSd houtaa tou uske maHaasin kaa zikr bhi vaajib houtaa. MaiN ne tafSeel se gurez is liye kiyaa hei taakeh aap se hi shakhSi Taur per un baataoN ke baare meiN poochooN jinkaa mujhe ilm nahiN hei. shukriyah.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Thu Jun 01, 2006 11:32 am
by Raji
moHtaram janab-e-Mehtab Qadr SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemaat,

aap kee yeh taKhleeq aap ke deygar taKhleeqaat ke taraH se zindagi aur uskee Haaqiqat ke bohat qareeb hai.
meree jaanib se ek achii Ghazal pesh karne par daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

wassalam

Zahida Raees :Raji:

Posted: Sat Jun 03, 2006 8:38 am
by Mahtab Qadr
Zahida Raji sahiba
aapki inayatoN Ke lye mashkoor hoN.
wassalam
MahtabQadr