Page 1 of 1
17waaN terHi mushaairah
Posted: Wed May 24, 2006 6:15 pm
by tahira Masood
Qar'een-e-karaam
slaame-e-khuloos
aik Haqeer si koshish aap sabkee baSaaratoN ki naz'r
raaey se zaroor nawaaziye gaa.
wassalam
tiray mareez kaa jeena wabaal hotaa hai
tiray firaaq meN her dam niDhaal hotaa hai
guzer hi jaata thaa din bhee tiray baGhair kabhi
"ab aik saaNs bhee lainaa muHaal hotaa hai"
qadam jehaN paReN tiray wahiN miree manzil
jehaaN qayaam ho mairaa ma'aal hotaa hai
shumaar kerti hoN kuch es teraH firaaq k pal
jo lamHa lamHa guzaaroN tau sal hotaa hai
tiree hi zaat se takmeel-e-zaat mairee huee
tiray hi dam se tau yeh dil nehaal hotaa hai
go meH'v rehti hoN miaN kaardaar-e-hastee meN
magar hameshah hi tairaa khayaal hotaa hai
hai josjh-o-jazbah-o-shiddat bhee Theek apni jagah
Haseen sab se magar a'Atdaal hotaa hai
jawaab DhoND'ne baiTee jo zindagi ka kabhee
hanuuz saamne phir ikk sawaal hotaa hai
kabhee Khayaal jo furqat kaa dil meN aa jaaey
tau haath meN wahee bheega rumaal hotaa hai
Posted: Wed May 24, 2006 6:37 pm
by zmufti
buhat khoob
Tahira jee
aap ki ghazal buhat pasand aayii
Sabhi asha'ar ache haiN
meri jani se daad qabool kijye
khush rahiye
zmufti
Bahut khoob, waah waah
Posted: Fri May 26, 2006 6:30 pm
by Abdullah Nazir
MuHtaramah
Taahirah Masood SaaHibah,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki TaraHi ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
MULAAHIZAAT:
tiray mareez kaa jeena wabaal hotaa hai
tiray firaaq meN her dam niDhaal hotaa hai
achchaa maTlaTlaA hei, waah waah.
guzer hi jaata thaa din bhee tiray baGhair kabhi
"ab aik saaNs bhee lainaa muHaal hotaa hai"
achchi gireh hei.waa.
qadam jehaN paReN tiray wahiN miree manzil
jehaaN qayaam ho mairaa ma'aal hotaa hai
achcha sheAr hei, waah waah.
shumaar kerti hoN kuch es teraH firaaq k pal
jo lamHa lamHa guzaaroN tau sal hotaa hai
achcha sheAr hei waah waah.
tiree hi zaat se takmeel-e-zaat mairee huee
tiray hi dam se tau yeh dil nehaal hotaa hai
Bahut achcha sheAr hei, waah waah.
go meH'v rehti hoN miaN kaardaar-e-hastee meN
magar hameshah hi tairaa khayaal hotaa hai
Pahle miSreA meiN "kaardaar-e-hastee" ko "kaarzaar-e-hastee" banaaleejiye jo SaHeeH hei.
Achchaa sheAr hei, waah waah.
hai josjh-o-jazbah-o-shiddat bhee Theek apni jagah
Haseen sab se magar a'Atdaal hotaa hai
Achcha sheAr hei, waah waah.
jawaab DhoND'ne baiTee jo zindagi ka kabhee
hanuuz saamne phir ikk sawaal hotaa hai
Pahle miSreA meiN lafz "jo" ki bajaaye "thee" karleejiye jo doosre miSreA meiN "hanuuz" ki munaasibat se behtar hei.
kabhee Khayaal jo furqat kaa dil meN aa jaaey
tau haath meN wahee bheega rumaal hotaa hai
Doosre miSreA meiN "wahee" ki bajaye "mire" kerleejiye.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Posted: Mon May 29, 2006 1:07 am
by tahira Masood
zmufti wrote:buhat khoob
Tahira jee
aap ki ghazal buhat pasand aayii
Sabhi asha'ar ache haiN
meri jani se daad qabool kijye
khush rahiye
zmufti
Zraqa jee
slaam-e-khloos
es pazeeraaii kaa dil se shukeriyah, yeh aap ka Husn-e-nazar hai
sadaa khush rehiN :rose
wassalam
Posted: Mon May 29, 2006 1:43 pm
by tahira Masood
moHteram Mukarram Abdullah Nazir saheb
tasleemaat
aap ne jis tafseel se es per apni qeemti raaey se nawaaza hai meN es per tah-e-dilse mamnoon hon
ummeed kerti ho keh aayndah bhee esi terha HuaSlah afzaaee fermaate raheN ge
wassalam
Re: 17waaN terHi mushaairah
Posted: Mon May 29, 2006 1:49 pm
by tahira Masood
sara_j wrote:Tahira ji,
adaab .
bohat din baad aapki takhleeq dekhi aur jhoom uThi,
wahi piyara sa andaaz aur khoobsurat mazameen.
sabhi ashaar bohat pasand aaye.
daad aur mubarakbaad qubool keejiye.
sara
tahira Masood wrote:
tiray mareez kaa jeena wabaal hotaa hai
tiray firaaq meN her dam niDhaal hotaa hai
guzer hi jaata thaa din bhee tiray baGhair kabhi
"ab aik saaNs bhee lainaa muHaal hotaa hai"
qadam jehaN paReN tiray wahiN miree manzil
jehaaN qayaam ho mairaa ma'aal hotaa hai
shumaar kerti hoN kuch es teraH firaaq k pal
jo lamHa lamHa guzaaroN tau sal hotaa hai
tiree hi zaat se takmeel-e-zaat mairee huee
tiray hi dam se tau yeh dil nehaal hotaa hai
go meH'v rehti hoN miaN kaardaar-e-hastee meN
magar hameshah hi tairaa khayaal hotaa hai
hai josjh-o-jazbah-o-shiddat bhee Theek apni jagah
Haseen sab se magar a'Atdaal hotaa hai
jawaab DhoND'ne baiTee jo zindagi ka kabhee
hanuuz saamne phir ikk sawaal hotaa hai
kabhee Khayaal jo furqat kaa dil meN aa jaaey
tau haath meN wahee bheega rumaal hotaa hai
geeeeeeeee thanks
oh so nice of you
:rose
aap jaise chaahne waaloN ki karam ferma'ee hai
wernah....