"yeh raah khushgawaar hai"tarhi ghazal
Posted: Fri May 26, 2006 2:00 pm
salaamun alaikum
dosto
aik aur tarhi ghazal aapke hawaale kar rahe hai.n.
gar qubool uftad zahe....
arz kiya hai..........
nayki ki raah per chalo,yeh raah purbahaar hai
zaahir mei.n khaardaar hai,baatin mei.n khushgawaar hai
too bandagi khuda ki kar,darna hai gar khuda se dar
logo.n se too kabhie nah dar,gar haq se tujhko pyaar hai
islaam raahe amn hai,dahshat ki raah yeh nahi.n
dahshat ki raah jo chaley,usper khuda ki maar hai
^aqle saleem hai jahaa.n,karte nahi.n woh lab bayaa.n
"yeh kya jagah hai dosto,yeh kaunsa dayaar hai"
aa bandagi sikhaawoo.n mai.n, bandah tujhe banaawoo.n mai.n
haamid jahaa.n mei.n chaar soo,ahmed(s.a.w.)ki yeh pukaar hai
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah[/b]