Page 1 of 1

naz^ar milee, bazm-e-shauq jaagee!

Posted: Mon May 29, 2006 4:59 am
by Sarwar A. Raz
yaaraan-e-meHfil : aadaab-o-tasleemaat!

ek Ghazal le kar HaaZ^ir ho rahaa hooN. ab Ghazal-goyee kam ho gayee hai aur jab kuch` kehtaa hooN to us meN :kyaa kahooN?: aur :kaise kahooN?: ke saath` :kyoN kahooN?: kaa u'nSar bh`ee shaamil hotaa jaa rahaa hai. yaa yooN kahiYe keh yeh teesraa u'nSar pehle kee ba-nisbat baRh` gayaa hai. Khair! yeh to ek jumlah-e-mo'tariZ^ah th`aa. ab aap Ghazal dekh`iYe aur apnee raaYe se aagaah farmaa,iYe. shukriyah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

==========================
Ghazal

naz^ar milee, bazm-e-shauq jaagee, payaam andar payaam niklaa
magar woh ik lamHah-e-gurezaaN nah SubH aayaa nah shaam niklaa!

"baRe takalluf se aayaa saaGhar, baRe tajammul se jaam niklaa" (*)
hamaaraa Zauq-e-mai-e-wafaa hee, rah-e-muHabbat meN Khaam niklaa!

wafaa hai kyaa? dostee hai kaisee? hamaaree taqdeer hai to yeh hai
kiyaa jo saayeh peh apne takyah to woh bh`ee meHshar-Khiraam niklaa!

kabh`ee yaqeeN par gumaaN kaa dh`okaa, kabh`ee gumaaN par yaqeeN kee tuhmat
hameN Khush aayee yeh saadah-lauHee, hamaaraa har t^araH kaam niklaa!

maiN aablah-paa, dareedah-daaman, kh`aRaa th`aa SeHraaYe-justujoo meN
magar daleel-e-safar yeh meraa Khud-aagahee kaa qiyaam niklaa!

nah aah-e-larzaaN, nah ashk-e-sozaaN, badan dareedah, nah sar Khameedah
tiree galee se Z^aroor guZraa magar ba-Sad iHtiraam niklaa!

ik ek Harf-e-umeed-o-Hasrat Ghazal kee Soorat meN Dh`al gayaa hai
miraa saleeqah dam-e-judaayee Khilaaf-e-dastoor-e-a'am niklaa!

hazaar sochaa, hazaar samjh`aa, magar Zaraa kuch` nah kaam aayaa
qadam qadam manzil-e-Khirad meN miraa junooN se hee kaam niklaa!

gumaaN yeh th`aa bazm-e-beKhudee meN behak nah jaaYe kaheeN peh "Sarwar"!
magar tiraa nashshah-e-Khudee to Hareef-e-meenaa-o-jaam niklaa!


(*) Shad Azimabadi

Posted: Mon May 29, 2006 6:43 pm
by Munawwar
Janaab Sarwar Saahab,

Waah! Waah! kyaa ghazal kahee hai aapne..
"baRe takalluf se aayaa saaGhar, baRe tajammul se jaam niklaa" (*)
hamaaraa Zauq-e-mai-e-wafaa hee, rah-e-muHabbat meN Khaam niklaa!

wafaa hai kyaa? dostee hai kaisee? hamaaree taqdeer hai to yeh hai
kiyaa jo saayeh peh apne takyah to woh bh`ee meHshar-Khiraam niklaa!

nah aah-e-larzaaN, nah ashk-e-sozaaN, badan dareedah, nah sar Khameedah
tiree galee se Z^aroor guZraa magar ba-Sad iHtiraam niklaa!

ik ek Harf-e-umeed-o-Hasrat Ghazal kee Soorat meN Dh`al gayaa hai
miraa saleeqah dam-e-judaayee Khilaaf-e-dastoor-e-a'am niklaa!

ik ek Harf-e-umeed-o-Hasrat Ghazal kee Soorat meN Dh`al gayaa hai
miraa saleeqah dam-e-judaayee Khilaaf-e-dastoor-e-a'am niklaa!
Waah! Laajawaab! Benazeer! Bahut khoob!
Aaindah agar aap ko ye sawaal sataaYe ke "ghazal likhooN to kyoN likhooN?" ham jaise chaahne waaloN ko yaad kar leejiye, jo ke aapkee ghazal kaa bharpoor lutf uThaayaa karte haiN.

Itnee khoobsoorat ghazal paRhne kaa mauqa' dene kaa shukriyah!

Bhaswar

Posted: Tue May 30, 2006 12:03 pm
by Raji

Ghazal

naz^ar milee, bazm-e-shauq jaagee, payaam andar payaam niklaa
magar woh ik lamHah-e-gurezaaN nah SubH aayaa nah shaam niklaa!

"baRe takalluf se aayaa saaGhar, baRe tajammul se jaam niklaa" (*)
hamaaraa Zauq-e-mai-e-wafaa hee, rah-e-muHabbat meN Khaam niklaa!

wafaa hai kyaa? dostee hai kaisee? hamaaree taqdeer hai to yeh hai
kiyaa jo saayeh peh apne takyah to woh bh`ee meHshar-Khiraam niklaa!

kabh`ee yaqeeN par gumaaN kaa dh`okaa, kabh`ee gumaaN par yaqeeN kee tuhmat
hameN Khush aayee yeh saadah-lauHee, hamaaraa har t^araH kaam niklaa!

maiN aablah-paa, dareedah-daaman, kh`aRaa th`aa SeHraaYe-justujoo meN
magar daleel-e-safar yeh meraa Khud-aagahee kaa qiyaam niklaa!

nah aah-e-larzaaN, nah ashk-e-sozaaN, badan dareedah, nah sar Khameedah
tiree galee se Z^aroor guZraa magar ba-Sad iHtiraam niklaa!

ik ek Harf-e-umeed-o-Hasrat Ghazal kee Soorat meN Dh`al gayaa hai
miraa saleeqah dam-e-judaayee Khilaaf-e-dastoor-e-a'am niklaa!

hazaar sochaa, hazaar samjh`aa, magar Zaraa kuch` nah kaam aayaa
qadam qadam manzil-e-Khirad meN miraa junooN se hee kaam niklaa!

gumaaN yeh th`aa bazm-e-beKhudee meN behak nah jaaYe kaheeN peh "Sarwar"!
magar tiraa nashshah-e-Khudee to Hareef-e-meenaa-o-jaam niklaa!


moHtaram janab-e-Sarwar A. Raz "Sarwar" SaaHeb:

Aadaab-o-tasleemaat,

aap kee is Ghazal meN bhi vohii acar angeezii maujood hai jo is se qabl kee aap kee taKhleeqaat meN maujood rahii heN. jiskee vajah se is Ghazal ke har ek she'r ko baar baar paRhne aur daad dene ko jee chaaye.
tamaam hee ashaar laajawaab aur ek se baRh kar ek heN. matla'a ke Hawaale se bohat see Khayalaat meree zehn meN uske matlab ke Hawale se aaye lekin maiN yeh chahooNgii keh aap hee is kee vaZaHat farmaadeejiye keh Haqeeqatan is meN kyaa matlab posheedah hai. aap kee bohat mamnoon hooNgii.

ek behtreen Ghazal kee peshkash par dilee daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

mamnoon-o-taalib-e-dua'a

Zahida Raees :Raji
:

Bahut khoob, waah waah.

Posted: Tue May 30, 2006 2:30 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Sarwar A. Raz :Sarwar: SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal bahut pasand aayi jo aapki mahaarat-e-fan ki aayieenahdar hei. Merii dili daad aur mubaarkabaad qubool farmaayiye is bahut hi kaamyaab takhleeq-e-sukhan per.

MULAAHIZAAT:

naz^ar milee, bazm-e-shauq jaagee, payaam andar payaam niklaa
magar woh ik lamHah-e-gurezaaN nah SubH aayaa nah shaam niklaa!


Bahut khoob, waah waah. Hasrat-e-lamHa-e-gurezaaN kaa zikr hee to hei jis per is khoobSoorat maTleA ki bunyaad rakhkhi gayi hei.

"baRe takalluf se aayaa saaGhar, baRe tajammul se jaam niklaa" (*)
hamaaraa Zauq-e-mai-e-wafaa hee, rah-e-muHabbat meN Khaam niklaa!


MarHoom Shaad Azeemaabaadi ke pahle miSreA per aapkaa miSraA jo is Husn-e-maTaA ki saakht hei, intihaayi dilkash hei. Waah waah, kyaa kehne.

wafaa hai kyaa? dostee hai kaisee? hamaaree taqdeer hai to yeh hai
kiyaa jo saayeh peh apne takyah to woh bh`ee meHshar-Khiraam niklaa!


Is sheAr se mujhe bahut kuch seekhne ko milaa hei. Aapkaa pahle miSreA meiN ye sawaal karnaa (wafaa kyaa cheez hei, dostee kaisi hei?) Aur phir doosre miSreA meiN javaab denaa ke apne saayeh per bharousah kiyaa to wo bhi meHshar khiraam niklaa yaAni mujh se gurezaaN houkar meri ummeedaoN per paani pher diyaa hei. Bahut khooh, waah waah.

kabh`ee yaqeeN par gumaaN kaa dh`okaa, kabh`ee gumaaN par yaqeeN kee tuhmat
hameN Khush aayee yeh saadah-lauHee, hamaaraa har t^araH kaam niklaa!


Bahut khoob taghazzul hei aur Haalat-e-taHayyur meiN bhi kaam nikalnaa nah Sirf sheAr ki kaamyaabi balkeh aapki kaamyaabi ki Taraf bhi ishaarah karrahaa hei. Waah Waah kyaa kehne.

maiN aablah-paa, dareedah-daaman, kh`aRaa th`aa SeHraaYe-justujoo meN
magar daleel-e-safar yeh meraa Khud-aagahee kaa qiyaam niklaa!


Aap keh rahe heiN ke maiN aablah-paa aur dareedah daaman SeHraay-e-justajoo meiN khaRaa thaa yaAni qiyaam-pazeer thaa magar yeh meraa khud-aagahi kaa qiyaam dalel-e-safar niklaa.
Khastah haali meiN SeHraaye justajoo mein khaRaa hounaa jo meri khud-agahi kaa qiyaam thaa meraa daleel-e-safar niklaa.
Bahut hi gehre maAani kaa sheAr hei jisko maiN baar baar paRhkar naye naye maAani talaash kartaa rahungaa.

nah aah-e-larzaaN, nah ashk-e-sozaaN, badan dareedah, nah sar Khameedah
tiree galee se Z^aroor guZraa magar ba-Sad iHtiraam niklaa!


Ihtiraam ki bahut hi achchi Soorat kaa izhaar hei. Waah waah.

ik ek Harf-e-umeed-o-Hasrat Ghazal kee Soorat meN Dh`al gayaa hai
miraa saleeqah dam-e-judaayee Khilaaf-e-dastoor-e-a'am niklaa!


Bahut khoob, waah waah. Is sheAr se to Ghaalib o Meer ki rooHeN khush hougaie houngi.

hazaar sochaa, hazaar samjh`aa, magar Zaraa kuch` nah kaam aayaa
qadam qadam manzil-e-Khirad meN miraa junooN se hee kaam niklaa!


Pahle miSreA meiN "zaraa kuch nah kaam aayaa" yaAni (maiN iN haazaar souchaa aur hazaar samjhaa lekin koii tadbeer nah sujhaayi di)
Doosre miSreA meiN, (manzil-e-khirad meiN qadam qadam per) yaAni jaise ke maiN is muqaam per bhi gaamzan thaa aur her qadam per meraa deewaanagi se hee kaam niklaa.
Yeh sheAr bhi bahut gehre maAani rakhtaa hei jisko maiN kayie baar paRhkar uske beHr-e-kalaam se maAani ke gauhar talaash kartaa rahoongaa.

gumaaN yeh th`aa bazm-e-beKhudee meN behak nah jaaYe kaheeN peh "Sarwar"!
magar tiraa nashshah-e-Khudee to Hareef-e-meenaa-o-jaam niklaa!


Waah waah, bahut khoob maqTaA hei. JahaaN is gumaaN ki kamzouri kaa zikr hei ke Sarwar bazm-e-bekhudee meiN kisi jagah per behak jaayegaa, waheeN is baat ko taqviaat pahunchaanaa keh uskaa nashshah-e-khudee (Sarwar kaa nushsha-e-khudee) Hareef-e-meenaa o jaam niklaa. Kyaa kehne Sarwar SaaHib, aap se bahut kuch seekhne ko milaa hei. Shukriyah.


Aapka MukhliS,
Nazir,


Posted: Wed May 31, 2006 6:31 am
by Sarwar A. Raz
Munawwar wrote:Janaab Sarwar Saahab,

Waah! Waah! kyaa ghazal kahee hai aapne..
"baRe takalluf se aayaa saaGhar, baRe tajammul se jaam niklaa" (*)
hamaaraa Zauq-e-mai-e-wafaa hee, rah-e-muHabbat meN Khaam niklaa!

wafaa hai kyaa? dostee hai kaisee? hamaaree taqdeer hai to yeh hai
kiyaa jo saayeh peh apne takyah to woh bh`ee meHshar-Khiraam niklaa!

nah aah-e-larzaaN, nah ashk-e-sozaaN, badan dareedah, nah sar Khameedah
tiree galee se Z^aroor guZraa magar ba-Sad iHtiraam niklaa!

ik ek Harf-e-umeed-o-Hasrat Ghazal kee Soorat meN Dh`al gayaa hai
miraa saleeqah dam-e-judaayee Khilaaf-e-dastoor-e-a'am niklaa!

ik ek Harf-e-umeed-o-Hasrat Ghazal kee Soorat meN Dh`al gayaa hai
miraa saleeqah dam-e-judaayee Khilaaf-e-dastoor-e-a'am niklaa!
Waah! Laajawaab! Benazeer! Bahut khoob!
Aaindah agar aap ko ye sawaal sataaYe ke "ghazal likhooN to kyoN likhooN?" ham jaise chaahne waaloN ko yaad kar leejiye, jo ke aapkee ghazal kaa bharpoor lutf uThaayaa karte haiN.

Itnee khoobsoorat ghazal paRhne kaa mauqa' dene kaa shukriyah!

Bhaswar
a'zeezam Munawwar SaaHeb: aadaab!

Ghazal kee pasandeedagee ke liYe mamnoon hooN. :kyoN kahooN: waalee baat kaa jawaab kaheeN aur de chukaa hooN! dekh`iYe aap is Ghazal kee zabaan se Khush huwe aur ek doosree meHfil meN meree :mushkil zabaan: par dost mujh` ko aaRe haath'oN le rahe haiN!

aur raawee sab chain boltaa hai!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Posted: Wed May 31, 2006 6:41 am
by Sarwar A. Raz
Raji wrote:

Ghazal

naz^ar milee, bazm-e-shauq jaagee, payaam andar payaam niklaa
magar woh ik lamHah-e-gurezaaN nah SubH aayaa nah shaam niklaa!

"baRe takalluf se aayaa saaGhar, baRe tajammul se jaam niklaa" (*)
hamaaraa Zauq-e-mai-e-wafaa hee, rah-e-muHabbat meN Khaam niklaa!

wafaa hai kyaa? dostee hai kaisee? hamaaree taqdeer hai to yeh hai
kiyaa jo saayeh peh apne takyah to woh bh`ee meHshar-Khiraam niklaa!

kabh`ee yaqeeN par gumaaN kaa dh`okaa, kabh`ee gumaaN par yaqeeN kee tuhmat
hameN Khush aayee yeh saadah-lauHee, hamaaraa har t^araH kaam niklaa!

maiN aablah-paa, dareedah-daaman, kh`aRaa th`aa SeHraaYe-justujoo meN
magar daleel-e-safar yeh meraa Khud-aagahee kaa qiyaam niklaa!

nah aah-e-larzaaN, nah ashk-e-sozaaN, badan dareedah, nah sar Khameedah
tiree galee se Z^aroor guZraa magar ba-Sad iHtiraam niklaa!

ik ek Harf-e-umeed-o-Hasrat Ghazal kee Soorat meN Dh`al gayaa hai
miraa saleeqah dam-e-judaayee Khilaaf-e-dastoor-e-a'am niklaa!

hazaar sochaa, hazaar samjh`aa, magar Zaraa kuch` nah kaam aayaa
qadam qadam manzil-e-Khirad meN miraa junooN se hee kaam niklaa!

gumaaN yeh th`aa bazm-e-beKhudee meN behak nah jaaYe kaheeN peh "Sarwar"!
magar tiraa nashshah-e-Khudee to Hareef-e-meenaa-o-jaam niklaa!


moHtaram janab-e-Sarwar A. Raz "Sarwar" SaaHeb:

Aadaab-o-tasleemaat,

aap kee is Ghazal meN bhi vohii acar angeezii maujood hai jo is se qabl kee aap kee taKhleeqaat meN maujood rahii heN. jiskee vajah se is Ghazal ke har ek she'r ko baar baar paRhne aur daad dene ko jee chaaye.
tamaam hee ashaar laajawaab aur ek se baRh kar ek heN. matla'a ke Hawaale se bohat see Khayalaat meree zehn meN uske matlab ke Hawale se aaye lekin maiN yeh chahooNgii keh aap hee is kee vaZaHat farmaadeejiye keh Haqeeqatan is meN kyaa matlab posheedah hai. aap kee bohat mamnoon hooNgii.

ek behtreen Ghazal kee peshkash par dilee daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

mamnoon-o-taalib-e-dua'a

Zahida Raees :Raji
:
a'zeezah Zahida: salaam!

Ghazal par daad ke liYe siwaaYe :shukriyah: ke aur kyaa keh saktaa hooN? aap ko pasand aayee aur mere :paise wuSool ho gaYe:!

aap ne mat^le' kaa mat^lab pooch`aa hai. kehte waqt mujh` ko Khayaal bh`ee naheeN aayaa keh is meN koyee ishkaal hai. lekin ph`ir bh`ee tashreeH kartaa hooN:

naz^ar milee, bazm-e-shauq jaagee, payaam andar payaam niklaa
magar woh ik lamHah-e-gurezaaN nah SubH aayaa nah shaam niklaa!

aap shaayad :lamHah-e-gurezaaN: kee wajh se taZabZub meN paR gayeeN! yeh to wohee lamHah-e-gurezaaN hai jo i'shqiyah shaa,i'ree meN hazaarhaa martabah bayaan ho chukaa hai. ya'nee woh lamHah jab yak-sooyee aur yagaanagat se do dil aapas meN baat kar sakte haiN. goyaa yeh :hijr: kee Z^id huwaa. so ab ma'nee Saaf ho gaYe keh yeh Khush-aa,ind lamHah kabh`ee bh`ee to haath` nah aayaa HaalaaN.k naz^ar se naz^ar bh`ee milee, dil meN bazm-e-shauq bh`ee jaagee aur aaNkh`oN aaNkh`oN meN jo payaam-o-salaam huwe woh bh`ee :payaam-andar-payaam: kaa Hukm rakh`te th`e!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Posted: Wed May 31, 2006 12:45 pm
by Sarwar A. Raz
muHtaramee Nazir SaaHeb: aadaab!

aaj kal jumlah kaam itne ho gaYe haiN keh jawaab meN bejaa taaKheer huyee. ma'Zirat-Khwaah hooN. aap ne jis tafSeel se meree Ghazal par tabSirah kiyaa hai woh aap kaa hee HiSSah hai. maiN is i'zzat-afzaayee ke liYe aap kaa dilee mamnoon hooN. she'r-goyee apnee jagah lekin she'r-fehmee kee bh`ee apnee ahamiyyat hai. aap ke in tabSiroN se nah jaane kitne dost mustafeed hote hoN ge. shukriyah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"