Page 1 of 1

Ghazal : Wohi ikhtiyaar ki jang thee..

Posted: Tue May 30, 2006 5:12 pm
by Munawwar
Yaaraan-e-bazm

Ek mushkil behr aur zameen meN ghazal kehne ki koshish kee hai. Nateejah pesh hai, apne khayaalaat se ise nawaaziye.
Pesh hai:

Wohi ikhtiyaar ki jang thee, wohi gham rakeeb-e-sukoon thaa

wohi ikhtiyaar ki jang thee, wohi gham rakeeb-e-sukoon thaa.
kabhi neeNd thee miri aaNkho meN, kabhi ashk they, kabhi khoon thaa

meri jild Soorat-e-reg thee, mira jism qaamat-e-koh thaa
meri rooH shaukat-e-dasht thee, maiN ghuroor-e-ahl-e-junoon thaa

wo nishaathaa-e-wiSaal kyaa! wo khumaar-e-i'shq-o-jamaal kyaa!
jo huaa tha shab, tha kamaal kyaa! wo karishmah thaa ke faSoon thaa!

wo jo thaa Munawwar-e-bekhirad, wo junooN ki raah ka raahbar!
ye kamaal hai ke wo ghamzadah bhi kiseeke dil ka sukoon thaa
------------------------------------------------------------------------------

Shukriyah
Munawwar

Bahut khoob

Posted: Wed May 31, 2006 5:22 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Munawwar SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aek mushkil Zameen meiN aapki ghazal nazar navaaz houi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Nazir.