TARAHI MISRA - -- - (GUZ.18) by: ABDULLAH NAZIR.
Posted: Wed May 31, 2006 2:55 am
MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-Sukhan,
Purkhuloos Tasleemaat, :rose
TARAHI MISR'A GUZARISH NO.18 KE LIYE:
Kulliyaat-e-yaas se aek taraHi misraA paish karrahaa hooN:
kyaa qiyaamat khez manzar koocha-e-qaatil kaa hei.
radeef: ka hei
qawaafi = (dil, manzil, qaatil, meHmil, mushkil, meHfil, aab o gil, baaTil, saaHil) waghairah..
Yeh beHr-e-ramal MeHzoof hei.
Iska vazn hei:
Faa'ilaa'tun…..faa'ilaa'tun…..faa'ilaa'tun…..faa'ilun
=/0//0/0…../0//0/0…../0//0/0…../0//0
= 2122…..2122…..2122…..212
Ijaazut: Ghair qaafiyah band miSreA ke aakhiri rukn ko faa'ilun kii bajaaye faa'ilaat isteAmaal karsakte heiN.
Ummeed ke aap sab TabAaazmayi farmaakar khaaksaar ko shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.
Aapka Mukhlis,
Nazir.