Page 1 of 1
Is Maah ke Shaayer Meer Taqi Meer
Posted: Fri Jun 02, 2006 3:58 pm
by zmufti
Ghazal
Posted: Fri Jun 02, 2006 4:01 pm
by zmufti
ghazal
Posted: Fri Jun 02, 2006 4:03 pm
by zmufti
ghazal
Posted: Tue Jun 06, 2006 8:45 am
by zmufti
Shukriyah
Posted: Wed Jun 07, 2006 8:57 am
by Abdullah Nazir
MuHtaramah
Zmufti SaaHibah,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapke is maah ke intikhab ke kyaa kahne. Meer-e-shoAaraa Meer Taqi :Meer: kii shaaeri kii hi qiyaadat meiN to aaj tak ghazaliyaat kaa qaafilah rawaaN dawaaN hei.
Agar ghazal ki TibaaAat ke waqt khud se koii ghalaTi hou to aasaani se us kaa iqraar houjaataa hei lekin jab kisi doosri site se naql ki jaati hei to is bharose per ke jo kuch wahaaN likhkhaa houaa hei wo bilkul SaHeeH hougaa.
Pahli ghazal ke doosre sheAr ke doosre misreA meiN "khaana-e-maTbooA" ko "khaana maTbooA" likhkhaa hei.
Teesre sheAr ke doosre misre meiN bajaaye "kay" ke "keh" likhkhaa hei.
Chauthe sheAr ke pahle miSreA meiN "intihaa" ko "tanhaa" likhkhaa hei.
Ghazal No.2.
MaTleA ke pahle miSreA meiN lafz "kay" ziyaadah hougayaa hei jiski koii Zaroorat nahiN hei.
Doosre sheAr kaa pahlaa miSraA yooN hounaa chaahiye:
Mere tagh'ee'r-e-Haal per mat jaa.
Mere ko aap ne meer kardiya hei aur tagh'ee'r bhi ghalaT likhkhaa houaa hei.
Teesre sheAr ke pahle miSreA meiN "nah aanaa thaa" ko aap ne likhkhaa hei "nah aataa thaa".
Ghazal No.3.
MaTleA ke doosre miSreA meiN jahaaN aap ne "phir" likhkhaa hei mere paas jo Meer kaa deewan hei us meiN "ab" likhkhaa houaa hei. Mere paas ke deewaan meiN bhi ghalaTi housakti hei.
Aapke paas jo sheAr No.2 hei wo mere paas ke deewan meiN sheAr No.6 hei.
Aapke paas sheAr No.5 ke doosre miSreA meiN "Taayer-e-sidrah" meiN "sidrah" vaaZeH nahiN hei aur mere paas ke deewan meiN "sidrah" ko TibaaAat ki ghalaTi ki vajh se "sadd-e-reh" kardiyaa gayaa hei !!!
Ghazal No.4.
MaTleA ke pahle miSreA meiN "barang-e-boo-e-gul" ko aap ne ghalaTi se "barang-e-baroo-e-gul" kardiyaa hei.
Chauthe sheAr ke pahle miSreA meiN lafz "kee" ziyaadah hougayaa hei.
chaTe sheAr ke pahle miSreA meiN "mizaaj ooper" ko aap ne ghalaTi se "mizaaj aur per" kardiyaa hei.
MaqTeA ke pahle miSreA meiN "jaane" ki bajaaye "jaaneN" hounaa chaahiye.
In baataoN se meraa maqSad yeh hei ke hamaare paas se naql karne waalaoN ko bhii ghalaT ashAar nah pahuncheN.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Posted: Wed Jun 07, 2006 2:22 pm
by zmufti
Mohtaram Nazir saheb
Tasleemaat
yeh ghazlieN maiN ne type nahiN kiiN balk internet se hi haasil ki haiN chooN k meray paas Meer saheb ka deewaan maujood nahiN is liye ghalatioN ka ilm na thaa
aap ne kamal mehrbaani se nishandahi farmadi hai maiN Inshallah jald hi isse durust kardoN gi
shukria
Wasalaam
zmufti
Posted: Sun Jun 18, 2006 10:28 am
by zmufti
نعت
ہے حرف خاصہ دل زرہ حسن قبول کا
يعني خيال سر ميں نعت رسول کا
رہ پيروي ميں اس کي کہ گام نحست ميں
ظاہر اثر ہے مقصد دل کے وصول کا
وہ مقتدائے خلق جہاں اب نہيں ہوا
پہلے ہي تھا امام نفس و عقول کا
سرمہ کيا ہے وضع پے چشم اہل قدس
احمد کي رہ گزار کي خاک اور دھول کا
ہے متحد نبي و علي و وصي کي ذات
ياں حرف معتبر نہيں ہر بو الفضول کا
دھو منہ ہزار پاني سے سو بار پڑھ درود
تب نام لے تو اس چمنستاں کے پھول کا
حاصل ہے مير دوستي اہل بيت اگر
تو غم ہے کيا نجات کے اپني حصول کا
Posted: Tue Jun 20, 2006 10:35 am
by zmufti
Posted: Tue Jun 20, 2006 10:30 pm
by Hashmat Usmani
Khuda-e-SuKhan Meer Jii kii ek mashhoor-e-zamaana Ghazal pesh kartaa huN jise film "Mirza Ghaalib" meN hoo_ba_hoo aur "ik maHel ho sapnoN kaa" meN thoRii tarmeem ke saath musta'mil huii thii. mulaaHiozah farmaaiye:
patta pattaa, booTaa booTaa Haal hamaaraa jaane hai
jaane na jaane gul hii na jaane baaGH to saaraa jaane hai
chaarah-garii beemaarii-e-dil kii rasm-e-shahr-e-Husn nahiiN hai
varna, dil_bar-e-naa_daaN bhii is dard kaa chaarah jaane hai
mahr o vafaa o lutf o 'inaayat ek se vaaqif in meN nahiiN
aur to sab kuchh tanz o kanaayah ramz o ishaarah jaane hai
lagne na de bas ho to uske gauhar-e-gosh ke baale tak
usko falak chashm-e-mai-o-Khor ki titlee ka taaraa jaane hai
aage us mutakabbir ke ham Khuda Khuda kia karte haiN
kab maujood Khuda ko woh maGHroor Khud_aaraa jaane hai
'aashiq saa to saada koi aur na hoga duniya meN
jee ke ziyaaN ko 'ishq mein uske apnaa waaraa jaane hai
kia hii shikaar_farebii par maGhroor hai woh sayyad bachaa
taa'ir uRte hawa meN saare apni usaaraa jaane hai
kyaa kyaa fitne sar par uske laataa hai ma'shuuq apnaa
jis be_dil, be_taab-o-tavaaN ko 'ishq kaa maaraa jaane hai
'aashiq to murda hai hamesha jee uThta hai dekhe use
yaar ke aa jaane ko yak_a_yak 'umr do baaraa jaane hai
raKhnoN se deewaar-e-chaman ke muNh ko le hai chhipaa, ya'nii
un suraaKhoN ke Tuk rahne ko sau ka nazaaraa jaane hai
tashna-e-KhuN hai apna kitna, "Meer!" bhi naadaaN, talKhii_kash
dam_daar aab-e-tai'Gh ko uske aab-e-gawaaraa jaane hai
Posted: Thu Jun 22, 2006 2:24 pm
by zmufti
Posted: Thu Jun 22, 2006 2:25 pm
by zmufti
Posted: Thu Jun 22, 2006 2:29 pm
by zmufti
Posted: Mon Jun 26, 2006 3:34 pm
by zmufti
Posted: Mon Jun 26, 2006 3:38 pm
by zmufti
Posted: Mon Jun 26, 2006 3:40 pm
by zmufti