Page 1 of 1

TARAHI GHAZAL - -- - (GUZ.18) by: ABDULLAH NAZIR.

Posted: Sun Jun 11, 2006 1:09 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-sukhan,

PurkhulooS Tasleemaat,

Guzarish 18 ke TaraHi miSreA per apni ghazal pesh karte houe khushi meHsoos karrahaa hooN aur ummeed kartaa hooN ke aap apni giraaNqadr aaraa se navaazkar mujhe shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.

GHAZAL roman meiN:

raah-e-ulfat meiN gilah kiyuN dooriy-e-manzil kaa hei
her qadam per saath jab tak ishtiyaaq-e-dil kaa hei

MaiN agar deewaanah hooN, tum koii Lailaa to nahiN
Kaam aise meiN bhalaa kyaa parda-e-meHmil kaa hei

Khinch gayieeN abroo-e-jaanaaN mujhko tanhaa dekhkar
"kyaa qiyaamat-khez manzar koocha-e-qaatil kaa hei"

dast-e-amvaaj-e-balaa baRhne lagaa hei door tak
ab kahaaN pahlaa saa nazm-e-muAtabar saaHil kaa hei

Husn-e-taAmeer-e-adab ke naam per takhreeb kiyuN
Haaye kyaa anjaam-e-veHshatnaak is meHfil kaa hei

Tere banne yaa bigaRne ki mujhe kiyuN fikr hou
Hei agar kuch gham to apni saAy-e-laaHaaSil kaa hei

Zindagi ki gutthiyaaN houN yaa tiri zulfaoN ke kham
Kyaa kahooN uqdah-kushaayi kaam kis mushkil kaa hei

Is kamaal-e-fun kaa dunyaa meiN nahiN miltaa javaab
Pairahan khaaki her ik taSveer-e-aab o gil kaa hei

Zarrah zarrah shaahid-e-takhleeq-e-Nazir hei yahaaN
Ham se hee qaayim bharam insaaN ke mustaqbil kaa hei.
=======


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Mon Jun 12, 2006 8:34 am
by jawaid badauni


Moharmee wa mokarramee Nazir SaHib
Aadaab

Aapkee taraheee Ghazal dekhi aur der tak har sher ko baar baar paRhta raha. Kya kahna SaHib. Har sher se aap ki kohna mashqee zahir hoti hai. Zubaan bhi bohat achchee istaimal ki gaii hai halaNkeh kum Urdu jan ne waloNke liye kuch saqeel Saabit ho saktee hai.

Meri daad aur mubarakbaad qubool farmaiiye.


Nacheez,

Jawaid Badauni

BeHad shukriyah

Posted: Mon Jun 12, 2006 12:39 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat, :lol:

Aap aek Hassaas shaayer heiN aur ashAar kii nabZ per haath rakh kar unki narm o garm kaifiyyaat se waaqif houjaate heiN.

Aise meiN to maiN Meer Taqi Meer kaa yeh sheAr paRhne ke bhi qaabil nahiN rahaa:

"Rahi n'guftah mire lab peh daastaaN meri
nah is diyaar meiN samjhaa koii zubaaN meri"


Ghazal ki pazeeraayi ke liye maiN aapka tah-e-dil se shukriyah adaa kartaa hooN aur ummeed kartaa hooN ke aapki duAayeN saath raheeN to mizaaj-e-ghazal maAmool per aajaayegaa.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Mon Jun 12, 2006 2:40 pm
by zmufti
Mohtaram Abdullah Nazir saheb
Tasleemaat
Mushairey maiN aap ki ghazal buhat pasand aayii
mujh nacheez ki janib se daad qabool kijye
wasalaam
zmufti

Posted: Tue Jun 13, 2006 7:00 am
by hassan_bashir
janaab Ustaad-e-mohtaram: Aadab!

hamesha kii tarah yeh kalaam bhii khuub rahaa hazraat, tamaam hii ash'aar aap kii kohna mashqii ka subuut de rahe heiN. :lol:

is umdah kalaam par nachiiz kii jaanib se dilii daad-o-mubaarak baad qubuul farmaaiiYe. :rose

Dua'aoN meiN yaad rakhiYe ga!

~ Hassan ~

Re: TARAHI GHAZAL - -- - (GUZ.18) by: ABDULLAH NAZIR.

Posted: Wed Jun 14, 2006 6:20 am
by haamidbaaqri
WEBMASTER wrote:
MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-sukhan,

PurkhulooS Tasleemaat,

Guzarish 18 ke TaraHi miSreA per apni ghazal pesh karte houe khushi meHsoos karrahaa hooN aur ummeed kartaa hooN ke aap apni giraaNqadr aaraa se navaazkar mujhe shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.

GHAZAL roman meiN:

raah-e-ulfat meiN gilah kiyuN dooriy-e-manzil kaa hei
her qadam per saath jab tak ishtiyaaq-e-dil kaa hei

MaiN agar deewaanah hooN, tum koii Lailaa to nahiN
Kaam aise meiN bhalaa kyaa parda-e-meHmil kaa hei

Khinch gayieeN abroo-e-jaanaaN mujhko tanhaa dekhkar
"kyaa qiyaamat-khez manzar koocha-e-qaatil kaa hei"

dast-e-amvaaj-e-balaa baRhne lagaa hei door tak
ab kahaaN pahlaa saa nazm-e-muAtabar saaHil kaa hei

Husn-e-taAmeer-e-adab ke naam per takhreeb kiyuN
Haaye kyaa anjaam-e-veHshatnaak is meHfil kaa hei

Tere banne yaa bigaRne ki mujhe kiyuN fikr hou
Hei agar kuch gham to apni saAy-e-laaHaaSil kaa hei

Zindagi ki gutthiyaaN houN yaa tiri zulfaoN ke kham
Kyaa kahooN uqdah-kushaayi kaam kis mushkil kaa hei

Is kamaal-e-fun kaa dunyaa meiN nahiN miltaa javaab
Pairahan khaaki her ik taSveer-e-aab o gil kaa hei

Zarrah zarrah shaahid-e-takhleeq-e-Nazir hei yahaaN
Ham se hee qaayim bharam insaaN ke mustaqbil kaa hei.
=======


Aapka MukhliS,
Nazir.

mohtaram abdullah nazir saahib
salaamun alaikum

bahut umdah ghazal hai aapki mohtaram ...kya kehne......


lafzo.n ka chunaao tau koyee aap se seekhe.

bahut khoob masha allah


bahutkuch seekhna hai hame.n aap se.

allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyaadah

aapka mukhlis
haamidbaaqri

Bahut bahut shukriyah

Posted: Fri Jun 16, 2006 4:21 am
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
Zmufti SaaHibah,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aap ne meri TaraHi ghazal ki pazeerayi farmaayi jiske liye maiN aapkaa beHad shukrguzaar hooN.

Ummeed keh isi TaraH se aapki HauSlah afzaayi jaari rahegi meri mashq-e-sukhan ke liye.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Wed Jun 28, 2006 4:07 pm
by khozema husaini
motram nazir saheb
aadaab o tasleemaat
aap ki tarhi ghazal ka lutf Haasil hua har sher bohat Khoob hai meri jaanib se dili daad Haazir hai qubool farmayeN
Husaini

Posted: Wed Jun 28, 2006 4:08 pm
by khozema husaini
mohtram nazir saheb
aadaab o tasleemaat
aap ki tarhi ghazal ka lutf Haasil hua har sher bohat Khoob hai meri jaanib se dili daad Haazir hai qubool farmayeN
Husaini