"haq ke parastaaro.n ka"taza tarhi ghazal pesh hai
Posted: Mon Jun 12, 2006 7:17 am
salaamun alaikum
dosto
aik aur tarhi ghazal aapke hawaale kar rahe hai.n.
gar qubool uftad zahe.........
arz kiya hai.......
haami hota hai khuda haq ke parastaaro.n ka
haal behaal hai baatil ke tarafdaaro.n ka
aksariyyat hai siyaasat mei.n daghaabaazo.n ki
haq ada yeh nah kare.nge kabhie haqdaaro.n ka
nah daro cheen lo haq apna har ek ghaasib se
inquilaabi bano mu'nh todh do ghaddaro.n ka
jo munaafiq hai.n qiyaamat mei.n yahi bolay.nge
"koyee pursaa.n nah hua hum se gunahgaaro.n ka"
zulm se ladna hai jab tumko jahaa.n mei.n haamid
khauf kyu.n khaate ho duniya ke sitamgaaro.n ka
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah