Page 1 of 1

Munfaird qawafee meN meri taza Ghazal

Posted: Mon Jun 12, 2006 11:41 am
by jawaid badauni

hum haiN pastee meN azal se kisee khaaRee ki tarah
aap ooNche haiN Himalay ki pahaRee ki tarah

bewafa kal jo hameN kahte they Khood unka lahoo
hai safaid aaj kisee bewah ki saaRee ki tarah

pyaar, iqraar.e wafa, dil ki lagee, mehr.o.Khuloos
sub yeh dhokey haiN miyaN SheiKh ki daaRhee ki tarah

tunz majboor ki majbooree peh Lillaah nah kar
dil peh lag jata hai akcer yeh kulhaaRee ki tarah

“chund taSveer.e bootaaN chund HaseenoN ke Khutoot”
ghar meN samaan bikhera hai kabaRee ki tarah

Jaane kab paayeNge hum ishq ki manzil “Jawaid”
Raah purKhaar nazar aati hai jhaaRee ki tarah

Re: Munfaird qawafee meN meri taza Ghazal

Posted: Mon Jun 12, 2006 12:28 pm
by tahira Masood
jawaid badauni wrote:
hum haiN pastee meN azal se kisee khaaRee ki tarah
aap ooNche haiN Himalay ki pahaRee ki tarah

bewafa kal jo hameN kahte they Khood unka lahoo
hai safaid aaj kisee bewah ki saaRee ki tarah

pyaar, iqraar.e wafa, dil ki lagee, mehr.o.Khuloos
sub yeh dhokey haiN miyaN SheiKh ki daaRhee ki tarah

tunz majboor ki majbooree peh Lillaah nah kar
dil peh lag jata hai akcer yeh kulhaaRee ki tarah

“chund taSveer.e bootaaN chund HaseenoN ke Khutoot”
ghar meN samaan bikhera hai kabaRee ki tarah

Jaane kab paayeNge hum ishq ki manzil “Jawaid”
Raah purKhaar nazar aati hai jhaaRee ki tarah
moHteram Jawid Saheb

salaam

waqa'ee yeh aik bohat munfarid aur nehaayat mushkil qaafiya hai

aap ne bohat meHant aur khoobSurati se ese nazm k paraaiy meN sanjoyaa hai

daad k qaabi hai qabuul fermaaiye

wassalam

Posted: Mon Jun 12, 2006 11:22 pm
by jawaid badauni

Mohtarmah Tahira Masood SaHibah,
Aadaab.o.tasleemaat

Kabhi kabhi hi maiN aisee koshisheN karta hooN. Aapne Ghazal ko pasaNd farmaya, yeh amr mere liye baaIS.e faKhr.o.masarrat hai. Shukriya.

Aapka MuKhliS,

Jawaid Badauni

Bahut khoob, waah waah

Posted: Tue Jun 13, 2006 2:03 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki munfarid ghazal bahut hi mushkil qaafiyhaoN ke saath nazar navaaz houi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Bahut hi meHnat ke saath aap ne qaafiyaoN ko nibhaane meiN kaamyaabi HaaSil kii hei jo her ke bus kii baat nahiN.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Tue Jun 13, 2006 4:54 am
by Raji
MuHtaram janab-e-Jawaid Badauni SaaHib:

aadaab-o-tasleemaat,

aap kee yeh munfarid radeef peh mabni Ghazal hameN bhi pasand aayii. meree jaanib se bhi daad qubool keejiye.

wassalam

Zahida Raees :Raji:

Re: Bahut khoob, waah waah

Posted: Tue Jun 13, 2006 1:06 pm
by jawaid badauni
WEBMASTER wrote:
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki munfarid ghazal bahut hi mushkil qaafiyhaoN ke saath nazar navaaz houi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Bahut hi meHnat ke saath aap ne qaafiyaoN ko nibhaane meiN kaamyaabi HaaSil kii hei jo her ke bus kii baat nahiN.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Mohtarmee Abdullah Nazir Sahib,
Aadaab

Mujhe Khooshi hai Ghazal aap ko pasaNd aaii. kabhi kabhi rawish se haTker kahne ko dil chaahta hai.

Himmat afzaaii ke liye behud mamnoon hoon.

MuKhlis
Jawaid Badauni

Posted: Tue Jun 13, 2006 1:08 pm
by jawaid badauni
Raji wrote:MuHtaram janab-e-Jawaid Badauni SaaHib:

aadaab-o-tasleemaat,

aap kee yeh munfarid radeef peh mabni Ghazal hameN bhi pasand aayii. meree jaanib se bhi daad qubool keejiye.

wassalam

Zahida Raees :Raji:

Mohtarmah Raji SaHibah,
Aadaab

Ghazal ki pazeeraaii ke liye aap ka mamnoon hoon. Kise aur chaupal meN bhi aap ne himmat afzaaii farmaai hai wahaN bhi aap ka shukriya adaa kar chuka hooN.

Khoosh RaheN!

Mukhlis
Jawaid

Posted: Tue Jun 13, 2006 7:48 pm
by hassan_bashir
mohtaram Javed saaHib aadab arz hai !

Vahh Vahh Vahh !!!!!!!!!!!!!!!!

bohat khuub janaab bohat khuuuub, kyaa Ghazal ki Ghazal kahii hai hazrat, Vahhh!

itanii mushakil zameen ko bhii aapne baRii khubii se she'roN ke saaN.che meiN dhaale hai, yaqeenan! yeh aap kii kohna-mashqi ka subuut hai.

is behtareen kalaam par miree jaanib se dilee daad-o-mubaarak baad qubuul keejiYe. :rose
Dua'oN meiN yaad rakhiYe ga!


note: aap se eik guzaarish hai ke is kalaam ko Mehfil-e-sukhan meiN bhii zaruur post keejiYe ga. :lol:

~ Hassan ~

Posted: Wed Jun 14, 2006 5:28 am
by jawaid badauni
hassan_bashir wrote:mohtaram Javed saaHib aadab arz hai !

Vahh Vahh Vahh !!!!!!!!!!!!!!!!

bohat khuub janaab bohat khuuuub, kyaa Ghazal ki Ghazal kahii hai hazrat, Vahhh!

itanii mushakil zameen ko bhii aapne baRii khubii se she'roN ke saaN.che meiN dhaale hai, yaqeenan! yeh aap kii kohna-mashqi ka subuut hai.

is behtareen kalaam par miree jaanib se dilee daad-o-mubaarak baad qubuul keejiYe. :rose
Dua'oN meiN yaad rakhiYe ga!


note: aap se eik guzaarish hai ke is kalaam ko Mehfil-e-sukhan meiN bhii zaruur post keejiYe ga. :lol:

~ Hassan ~

Mohtarmee wa Mohibbee Hassan SaHab,
Aadaab

Aapki purKhuloos daad ke liye aap ka behud mamnoon hooN. Ummid hai aaindah bhi aap se mulaqaat rahegee aur aap isee tarah himmat afzaaii farmate raheNge.

MuKhlis
Jawaid