Page 1 of 1
"yeh jo duniya hai"aik aur tarhi kalaam pesh hai
Posted: Thu Jun 15, 2006 6:34 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto
aik adna kaavish aap ke hawaale kar rahe hai.n.
gar qubool uftad zahe ..........
ar kiya hai.......
yeh jo duniya hai isay daare fana kehte hai.n
woh hai.n naadaa.n jo fana ko bhi baqa kehte hai.n.
khud ko khaadim jo samajhta hai har ek insaa.n ka
aisay insaan ko hum raa'hnuma kehte hai.n
jiski zeenat hai zamaane mei.n libaase taqwa
usko islaam mei.n raazi baraza kehte hai.n
zulm momin nahi.n karta hai kisee insaa.n per
"yeh agar sach hai tau zaalim isay kya kehte hai.n"
hame.n har lamha koyee dekh raha hai haamid
isee ehsaas ko hum khoufe khuda kehte hai.n
nateejye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
Bahut khoob, waah waah
Posted: Wed Jun 28, 2006 7:40 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Apni maSroofiyat kaa kyaa uzr pesh karuN jab ke meri hee nazar se aapki yeh ghazal chook gayi. Aaj "Kalam-e-sukhanwar" ki fehrist dekh rahaa thaa tou yeh dekhkar Hairaan rehgayaa ke aapki ghazal per kisi kaa bhi tabSirah nahiN hei. BaharHaal maiN muAafi kaa khwastgaar hooN.
Aapki ghazal bahut pasand aayi jo aapke apne khaaS rang meiN hei, jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Posted: Tue Jul 04, 2006 4:55 am
by Ibn-e-siddique
Hamid saHib
salaam arz hai
taraHi misre per aap ki ye ghazal hameN pasand aayee
meri jaanib se daad qubool farmaaiN
amjad
Re: "yeh jo duniya hai"aik aur tarhi kalaam pesh h
Posted: Tue Jul 04, 2006 7:08 pm
by tahira Masood
haamidbaaqri wrote:salaamun alaikum
dosto
aik adna kaavish aap ke hawaale kar rahe hai.n.
gar qubool uftad zahe ..........
ar kiya hai.......
yeh jo duniya hai isay daare fana kehte hai.n
woh hai.n naadaa.n jo fana ko bhi baqa kehte hai.n.
khud ko khaadim jo samajhta hai har ek insaa.n ka
aisay insaan ko hum raa'hnuma kehte hai.n
jiski zeenat hai zamaane mei.n libaase taqwa
usko islaam mei.n raazi baraza kehte hai.n
zulm momin nahi.n karta hai kisee insaa.n per
"yeh agar sach hai tau zaalim isay kya kehte hai.n"
hame.n har lamha koyee dekh raha hai haamid
isee ehsaas ko hum khoufe khuda kehte hai.n
nateejye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
moHteram
salaam
hamesha se aapki mucbat shaaire eki meN maddah rehi hoN
aaj bhee es kaamiyaab ghazal poer dilee daa-o-mubarakbaad qabuule fermaaiN
Allah Ta'ala aap k yeh sachay jazabaat qabuul fermaay.aameen
wassalam
Re: "yeh jo duniya hai"aik aur tarhi kalaam pesh h
Posted: Fri Jul 14, 2006 5:24 am
by haamidbaaqri
tahira Masood wrote:haamidbaaqri wrote:salaamun alaikum
dosto
aik adna kaavish aap ke hawaale kar rahe hai.n.
gar qubool uftad zahe ..........
ar kiya hai.......
yeh jo duniya hai isay daare fana kehte hai.n
woh hai.n naadaa.n jo fana ko bhi baqa kehte hai.n.
khud ko khaadim jo samajhta hai har ek insaa.n ka
aisay insaan ko hum raa'hnuma kehte hai.n
jiski zeenat hai zamaane mei.n libaase taqwa
usko islaam mei.n raazi baraza kehte hai.n
zulm momin nahi.n karta hai kisee insaa.n per
"yeh agar sach hai tau zaalim isay kya kehte hai.n"
hame.n har lamha koyee dekh raha hai haamid
isee ehsaas ko hum khoufe khuda kehte hai.n
nateejye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
moHteram
salaam
hamesha se aapki mucbat shaaire eki meN maddah rehi hoN
aaj bhee es kaamiyaab ghazal poer dilee daa-o-mubarakbaad qabuule fermaaiN
Allah Ta'ala aap k yeh sachay jazabaat qabuul fermaay.aameen
wassalam
wa alaikumussalaam
mohtaramah tahira masood saahebah
al hamdulillah allah(sbhnwt) ne hame.n is qaabil samjha keh koyee m'ominah hamaari shaayeri ke baare mei.n aisa sauche
aapki mukhlisaanah daad aur duao.n ke hum behad shukrguzaar hai.n
jawaab mei.n taakheer ki hum muaafi chaahte hai.n.
allah(sbhnwt)aap per apni rehmato.n ki baarish kare .aameen
mukhlis
haamidbaaqri