majbooree-e-Haalaat idh`ar bh`ee hai, udh`ar bh`ee!
Posted: Fri Jun 16, 2006 4:43 am
yaaraan-e-bazm: aadaab!
ek Ghazal le kar aayaa hooN. zameen (radee+qaafiyah), beHr aur zabaan sab hee seedh`e saadeh haiN. apnee raaYe se nawaaziYe. shukriyah!
is Ghzal kee radeef :i'dhar bh`ee hai, udh'ar bh`ee: hai jo lambee hai aur is liHaaz^ se mushkil hai keh maZ^moon-aafreenee par baRee paabandee lagaa rahee hai. :idh`ar: aur :udh`ar: se do muKhtalif ikaa,iyoN kaa taSawwur waabastah hai. yeh do maqaamaat bh`ee ho sakte haiN, do shaKhSiyaat bh`ee aur do kaifiyyaat bh`ee. lekin jab radeef ko qaafiyoN (Haalaat, jaZbaat, barsaat, baat) se milaa,iYe to maZ^aameen aur bh`ee diqqat-t^alab ho jaate haiN. aisee Haalat meN sab se aasaan yehee hotaa hai keh :saamne kee baat: lee jaaYe. ya'nee :idh`ar: se apnee jaanib ishaarah ho aur :udh`ar: se meHboob kee jaanib! so aap dekh`eN ge keh maiN ne bh`ee yehee kiyaa hai! aap bh`ee fikr kareN. kyaa a'jab keh aap kisee aur t^araH zameen kaa Haq adaa kar sakeN!
aisee zameenoN meN ek mas,alah acar-pazeeree (=acar paidaa karnaa) kaa bh`ee hotaa hai. ash,a'ar to jaise-taise ho jaate haiN lekin be-acar aur be-lut^f! so yeh to koyee achh`ee baat naheeN hai! Khair, ab aap Ghazal dekh`eN aur apnee be-laag tanqeed likh`eN. maiN muntaz^ir hooN.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
========================
GHAZAL
majbooree-e-Haalaat idh`ar bh`ee hai, udh`ar bh`ee
ik shorish-e-jaZbaat idh`ar bh`ee hai, udh`ar bh`ee!
yaadoN kee yeh baaraat idh`ar bh`ee hai, udh`ar bh`ee
be abr kee barsaat idh`ar bh`ee hai udh`ar bh`ee!
mil baiThne kee koyee banaataa naheeN Soorat
kehne ko magar baat idh`ar bh`ee hai , udh`ar bh`ee!
duzdeedah naz^ar, soz-e-durooN, aah-e-pareshaaN
yeh i'shq kee sauGhaat idh`ar bh`ee hai, udh`ar bh`ee!
yaadoN kaa sar-e-shaam dabe paa,ooN yeh aanaa
ham-raNg-e-mulaaqaat idh`ar bh`ee hai, udh`ar bh`ee!
Dar Dar ke qadam rakh`te haiN ham koochah-e-Gham meN
ikraam-e-riwaayaat idh`ar bh`ee hai, udh`ar bh`ee!
teree hee a't^aa, teraa karam, teree i'naayat
ai gardish-e-Haalaat! idh`ar bh`ee hai, udh`ar bh`ee!
ham kaise kaheeN, kyaa kaheN aur kis ko bataaYeN?
"Sarwar" jo yeh ik baat idh`ar bh`ee hai, udh`ar bh`ee!
-------------------------------
shorish = haNgaamah, uth`al-puth`al
shorish-e-jaZbaat = jaZbaat meN halchal
duzdeedah = chor (thief) kee see
duzdeedah naz^ar = kisee ko naz^ar bachaa kar yaa kan-aNkhiyoN se dekh`naa
soz = jalan, aag
durooN = andaroonee, dil kee
soz-e-durooN = dil kee jalan
sauGhaat = tuHfah
sar = shuroo' hone kee jagah
sar-e-shaam = shaam hote hee
ham-raNg = ek hee raNg kee (=similar)
koochah = galee
ikraam = i'zzat, paas, Khayaal
a't^aa = dee huyee cheez, tuHfah
gardish = gh`oomnaa
gardish-e-Haalaat = Haalaat kaa badalnaa, zamaaneh kaa ulaT-ph`er
==============