Page 1 of 1

......Dena chahiye Ghazal

Posted: Sat Jun 17, 2006 6:29 am
by zmufti
Ahl-e-bazm
aadaab
aik sada si ghazal pesh-e-khidmat hai
umeed hai aap apni araa se agah farmaayieN ge
regards
zmufti

1. har chak ab jigar ka sila dena chaahiye
pur khaar hasratoN ko jala dena chahiye

2. jab ishq ka nisaab hi tabdeel ho gayya
to naam bhee wafa ka mitta dena chaahiye

3. Har shakhs hai ghulaam yahaN apne nafs ka
ikhlaas ki rawish ko bhula dena chahiye

4. barbaad ho chukka hai mirre dil ka yeh chaman
khawboN ki titliyoN ko ura dena chahiye

5. Manoos ho chuke haiN andheroN se is qadar
taaroN ko, aur qamar ko bhuja dena chahiye

6. is dais maiN thikane ke din beet hi gaye
mousam hai hijratoN ka bata dena chaahiye

7. pindaar ki shikast ne adhora sa kar diyya
apni ana ke but ko gira dena chahiye

8. aawaaz ab zameer ki sunta nahiN koi
ehsaas ki chubhan ko sula dena chahiye

9. eeman ka tarazoo gunahoN se lad chukka
ab hashr hi khuda ko utha dena chahiye

10. ham boojh zindagi ka uthaayieN ge kab talak
Ab daar pe jabeeN ko jhuka dena chahiye

aapki ghazal nazar nahiN aarahi hei

Posted: Sat Jun 17, 2006 11:27 am
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
Zmufti SaaHibah,

PurkhulooS Tasleemaat,

Urdu meiN aapki ghazal mujhe nazar nahiN aarahi hei. Shayad wo us site ke zariyeA bheji gayi hei jo Saudi-Arabia meiN blocked hei.

Kam se kam agar ghazal roman meiN houti to paRhne meiN aasani houjaati taak ke apnaa TabSirah pesh karsakuN. Shukriyah.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Sat Jun 17, 2006 2:15 pm
by zmufti
Mohtaram Nazir Saheb
Tasleemaat
aap ke hukm ke mutabiq ghazal roman maiN laga di hai aur urdu file bhee attach kar di hai
wasalaam
zmufti

Bahut khoob,

Posted: Sat Jun 17, 2006 3:23 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
Zmufti SaaHibah,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki taazah ghazal pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

har chak ab jigar ka sila dena chaahiye
pur khaar hasratoN ko jala dena chahiye


Aapke maTleA ko samajhne meiN diqqat pesh aayi. BaharHal achchaa matlaA hei. Waah waah.

2. jab ishq ka nisaab hi tabdeel ho gayya
to naam bhee wafa ka mitta dena chaahiye


Achchaa sheAr hei lekin is meiN bahut ziyaadah talkhi hei.

3. Har shakhs hai ghulaam yahaN apne nafs ka
ikhlaas ki rawish ko bhula dena chahiye


Is sheAr meiN bhi bahut talkhi hei.

4. barbaad ho chukka hai mirre dil ka yeh chaman
khawboN ki titliyoN ko ura dena chahiye


Achcha sheAr hei, waah waah.

5. Manoos ho chuke haiN andheroN se is qadar
taaroN ko, aur qamar ko bhuja dena chahiye


sheAr achcha hei lekin mazmoon ghair fiTri hei.

6. is dais maiN thikane ke din beet hi gaye
mousam hai hijratoN ka bata dena chaahiye


achcha khayaal hei, waah waah.

7. pindaar ki shikast ne nidhaal kar diyya
apni ana ke but ko gira dena chahiye


Pahlaa miSraA lafz "nidhaal" ki vajh se be-beHr hourahaa hei. Usko "paamaal" banaadeejiye.
Achcha sheAr hei, waah waah.

8. aawaaz ab zameer ki sunta nahiN koi
ehsaas ki chubhan ko sula dena chahiye


Achcha sheAr hei, waah waah.

9. eeman ka tarazoo gunahoN se lad chukka
ab hashr hi khuda ko utha dena chahiye


Achcha sheAr hei mafhoom ke liHaaz se.

10. ham boojh zindagi ka uthaayieN ge kab talak
Ab daar pe jabeeN ko jhuka dena chahiye


Mafhoom ke liHaaz se achcha sheAr hei.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Sun Jun 18, 2006 7:03 am
by zmufti
Mohtaram Nazir Saheb
Tasleemaat
Ghazal per tabsarey k liye mashkoor hoN
aap ne jis misrey ko bahr se khaarij qaraar diyya hai
pehlay us ko is tarah kaha thaa

Pindaar ki shikast ne adhora sa kar diyya

agar yeh durust ho to badal loN warna aap ki tajweez ke mutabiq edit karloN gi
wasalaam
zmufti

jee Theek hei

Posted: Sun Jun 18, 2006 7:38 am
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
Zmufti SaaHibah,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapka mandarja-e-zeil miSraA bilkul durust hei>

Pindaar ki shikast ne adhora sa kar diyya


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Sun Jun 18, 2006 8:46 am
by zmufti
Mohtaram Nazir Saheb
Tasleemaat
aap ka buhat shukria
wasalaam
zmufti