Page 1 of 1

Khawhish e tark e talluq ki namoo kaise huvi

Posted: Mon Jun 19, 2006 9:41 am
by Mahtab Qadr
Aik Taza Ghazal Pesh e KHidmat hai. Aapki raye aur tabsiroN ka muntazir
Mahtab Qadr

Bahut khoob, waah waah

Posted: Tue Jun 20, 2006 3:56 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Mahtab Qadr SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal bahut hii khoobSoorat hei. Saare ashAar apne mafhoom ke liHaaz se qaabil-e-daad o teHseen heiN.

Is kaamyaab kaavish per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmayhiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Tue Jun 20, 2006 6:08 am
by Raji
mohtaram janab-e-Mehtab Qadr SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemaat,

aap kee Ghazal bilashubah bohat dilkash hai. tamaam hee ashaar apnii jagah bohat ache heN.
meree jaanib se ek kaamyaab taKhleeq par dherooN daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

mamnoon-o-taalibe--dua'a

Zahida Raees :Raji:

Posted: Tue Jun 20, 2006 7:28 am
by Mahtab Qadr
Mohatramee Abdullah Nazir sahib salaam o aadaab
Aap ki hausla afzai mere lye bayes e sharaf o imtiaaz hai. mai bahut mamnoon hoN aapka.
shukria
Mahtab Qadr

Posted: Tue Jun 20, 2006 7:32 am
by Mahtab Qadr
Zaheda Raji sahiba salaam o aadaab

Aap ki adabi sarfarazee mere lye bayes e masarrat o itmenaan hai. mai bahut mashkoor hoN aapka.
shukria
Mahtab Qadr

Posted: Tue Jun 20, 2006 12:33 pm
by jawaid badauni
Mahtab Qadr Sahib,
Aadaab

"Muddat ke bAAd aap ko dekha Khooshee hoii."Waise to maiN Khood dou maheney Gaaiib rahaa magar aap tou bohat pahle se Gaaiib haiN. Chaaliye, 'der aayad durust aayad." BaRee Hasen Ghazal se nawazah hai aaj aap ne. Jisqadar Khubsurat kalam hai utni hi Khusurat kitabat. Zindabad.

Ummid hai ab nacheez se aap ki mulaqaat hoti rahegee. BadauN meN is baar khaSa taweel qayam rahaa jis dauran Ehsan SaHib se bhi mulaqaateN hoti rahtee theeN.

Khulooskaar,

Jawaid
Muscat

Posted: Wed Jun 21, 2006 7:03 am
by Mahtab Qadr
Jawaid Badauni Sahib
Adaaab o Tasleemat
"Muddat ke bAAd aap ko dekha Khooshee hoii." " phir shamma jal gai jo parhi thi bujhi huvi":)
Chaliye is se ye to pata chala ke aapbhi ghaib the, ab laut ke donoN hi agaye haiN to yaqeenan mulaqateiN raheiNgi
Aap ki ghazal ki pazeerai ki , aur kitabat ko bhi sarahaa , bahut mamnoon hoN aapka. shukria
Mahtab Qadr

Posted: Sat Sep 16, 2006 9:12 am
by Shummu
wah wah wahhhhhhhhhh baRi hi munfarid ghazal kahi hai aapne..kam ashaar magar sab jaandaar...ye kamaal aap hi kar sakte hain Mahtaab sahab....bahut khoob...sabhi sher apni jagah hain...dili daad pesh hai itni khoobsurat takhleeq pe... :)

BHAI BAHUT KHOOB

Posted: Sat Sep 16, 2006 11:23 am
by Ehsan Raza
JANA SABHI SHER BAHUT ACHE HAI N
MATALA AOR MAQTA MUJE ZIYADAH ACHHA LAGA HAMEN BHI IS FUN SE NAWAZ DEN TAKEY HUM BHI KUCH KITABAT KARNA SEEK JAYEN
GHZAL CHOTEE HO LEKIN ACCHI HO AAPNE IS RAWAAYE KO BAR QARAR RAKKHA HAI
EHSAN BADAUNI

Posted: Sat Sep 16, 2006 11:44 am
by Mahtab Qadr
shummu ji aapki behad khuloos bhari daad ne dil ko khushi bakhshi , aap salamat raheiN aur yoNhi dostoN ko daad se nawazte raheiN aur khushiaN bant te aur samieNt te raheiN. aameen
shukria
Mahtab

Posted: Sat Sep 16, 2006 11:46 am
by Mahtab Qadr
Dr.Ehsan sahib aap ki daad ne hausla baksha , bhai urdu inpage software Jeddah se le laiN ya kisi se copy le laiN aur istemal kareiN aap bhi isi tarah ki images bana sakeiNge
shukria
Mahtab