Page 1 of 1

ek tarahi Ghazal

Posted: Wed Jun 21, 2006 3:36 am
by Daanish
arbaab-e-zauq-o-ahl-e-bazm
bohat dinoN ke ba'ad bazm meiN haazir hua huN ek ma'amooli shayri kaavish lekar. ek arsa-e-daraaz se shayari mujh se rooTh baiThi hai.
Urduduniya ke mushaira meiN Ustad 'Sauda' ka misr'a "agar yeh sach hai tau zaalim isay kya kehte haiN" bataur-e-misr'a-e-taraH diya gaya thha. digar sho'ra ke saath Khaaksaar ne bhi tab'a aazmaaii ki. tazmeen ka shayr na ho saka, baharhaal mulaheza farmaiye aur apni aara se nawaziye.


zulm ko ahl-e-hawas jor-o-jafaa kehte haiN
ahl-e-ishq unke sitam ko bhi adaa kehte haiN

rasan-o-daar hai woh manzil-e-maqsood jise
ahl-e-ulfat ki wafaaoN ka sila kehte haiN

tashnagi dasht ki sairaab hameeN karte haiN
nauk-e-har_Khaar se hum aabla_paa kehte haiN

ashwah-o-Ghamzah-o-duzdeedah_nigaahi unki
ek markaz pe jo aajaayeN haya kehte haiN

Khushbu-e-zulf ka lekar jo payaam aata hai
log qaasid ko tere baad-e-sabaa kehte haiN

surKhi-e-Khoon-e-jigar hai jo hamare nazdeek
tire haathoN meiN jo aaye tau hinaa kehte haiN

shikwa-e-zulm pe Daanish ke woh haNs kar bole
ho bhalaa aap ka jo hum ko bura kehte haiN

Bahut khoob, waah waah.

Posted: Wed Jun 21, 2006 7:44 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Daanish SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal beHad pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

zulm ko ahl-e-hawas jor-o-jafaa kehte haiN
ahl-e-ishq unke sitam ko bhi adaa kehte haiN


Pahle miSreA ne chaunkaadiyaa ke zulm ko ahl-e-hawas hii kiyuN jaur o jafaa kahte heiN lekin pooraa sheAr paRhne ke baAd aapka mafhoom samajh meiN aagayaa. Bahut khoob, waah waah.

rasan-o-daar hai woh manzil-e-maqsood jise
ahl-e-ulfat ki wafaaoN ka sila kehte haiN


Achcha sheAr hei, waah waah.

tashnagi dasht ki sairaab hameeN karte haiN
sar-e-har_Khaar se yeh aabla_paa kehte haiN


Waah waah, bahut khoob. Aabla paa Haq bajaanib heiN.

ashwah-o-Ghamzah-o-duzdeedah_nigaahi unki
ek markaz pe jo aajaayeN haya kehte haiN


Bahut khoobSoorat mumaacilat pesh kii hei aap ne Hayaa kii. Waah waah, bahut khoob.

Khushbu-e-zulf ka lekar jo payaam aata hai
log qaasid ko tere baad-e-sabaa kehte haiN


Waah waah, bahut khoob.

surKhi-e-Khoon-e-jigar hai jo hamare nazdeek
tire haathoN meiN usay rang-e-hinaa kehte haiN


Bahut Haseen taghazzul hei is meiN, waah waah.

shikwa-e-zulm pe Daanish ke woh haNs kar bole
ho bhalaa aap ka jo hum ko bura kehte haiN


MaqTeA meiN mukaalimah bahut dilkash hwi, waah waah.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Fri Jul 21, 2006 5:14 am
by Raji
MuHtaram Daanish SaaHib,
Aadaab,

taKheer se likhne ke liye ma'azrat Khwah hoN.
aap kee yeh taraHee Ghazal mujhe bhi bohat pasand aYii hai. tamam hee ashaar ache heN. meree jaanib se daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

wassalam

Zahida Raees :Raji:

Posted: Tue Aug 08, 2006 1:27 pm
by Daanish
Mukarrami-o-Mohtarami Abdullah Nazir SaHeb,
aadaab
taKheer ke liye aap mu'af farmaaiye. kai roz se haazir-e-bazm na ho saka. Ghazal pasand farmaane ke liye aap ka bohat bohat shukriyah.

ijaazat
Khaaksaar
Daanish

Posted: Tue Aug 08, 2006 1:29 pm
by Daanish
Mohtarma Zahida Raees SaHeba
Ghazal ki pazeeraayi ke liye bohat bohat shukriyah.
taKheer ke liye mazerat_khwah huN.
shukriyah
muKlis
Daanish