Page 1 of 1

Dar ho kar dewaar maiN rehna achha lagta hay

Posted: Thu Jun 22, 2006 11:57 am
by ahm4me
Azeezan e Bazm
Taslimat

Aik ghazal le kar aap ki bazm main hazir hua hooN, umeed hay pasand aaygi, aap ki aaraa aur taacurrat ka shidat se intizar rahay ga.

Mukhlis
Muhammad Ahmed

GHAZAL


1.
Dar ho kar dewaar maiN rehna achha lagta hay
YoN hi teray pyar miaN rehna accha lagta hay

2.
YoN us ne inkar kia ke jaisay us ko bhi
Na keh ker iqrar miaN rehna accha lagta hay

3.
Band gali ke aakhir maiN so rastay khultay haiN
rastoN ko dewaar maiN rehna accha lagta hay

4.
Lamha bhar ko bad-e-saba aaNgan mehkati hay
Khushboo ko raftar maiN rehna achha lagta hay

5.
Dil ki kahani sab ko sunana aur nehaN rakhna
razoN ka ash'aar miaN rehna accha lagta hay

6.
Harf o maa'ni ke jangal miaN titli ban jana
LafzoN ke asraar miaN rehna accha lagta hay

7.
Dil ka haal na pooCHHo :Ahmed: dil dewana hay
Us ko to aazaar miaN rehna accha lagta hay

Posted: Tue Jun 27, 2006 11:32 am
by munir-armaan-nasimi
Bahut Khoob Mohammed Ahmad Saheb. Daad Qubool karein. Ghazal bahut pyari hai.... khaas kar ye sher....

Harf o maa'ni ke jangal miaN titli ban jana
LafzoN ke asraar miaN rehna accha lagta hay


Allah kare zor-e-qalam aur ziyada.

aap ka mukhlis,

armaan

Posted: Tue Jul 04, 2006 7:14 pm
by tahira Masood
moHteram

tasleemat

daad qabuul fermeeiN

regards

Posted: Mon Jul 24, 2006 7:28 am
by ahm4me
munir-armaan-nasimi wrote:Bahut Khoob Mohammed Ahmad Saheb. Daad Qubool karein. Ghazal bahut pyari hai.... khaas kar ye sher....

Harf o maa'ni ke jangal miaN titli ban jana
LafzoN ke asraar miaN rehna accha lagta hay


Allah kare zor-e-qalam aur ziyada.

aap ka mukhlis,

armaan
Janab Munir Arman Nasimi Sahib
Adab

Ghazal ki is qadar pazeerai per dil be had shaad hua, Aap ne jis khuloos aur muhabbat se meri adna kawish ko saraha us ke liay main aap ka be had mamnoon hoon. Umeed hay aainda bhi hosla afzaai farmatay rahain ge.

Mukhlis,
Muhammad Ahmed.

Posted: Mon Jul 24, 2006 7:32 am
by ahm4me
tahira Masood wrote:moHteram

tasleemat

daad qabuul fermeeiN

regards
Bohat Shukria Tahira

Aap ki pazeerai ka

Main had mamnoon hoon

Mukhlis,
Muhammad Ahmed.