Page 1 of 1

Ek ghazal: Shaam palkon ki nahiN,....

Posted: Sat Jun 24, 2006 10:26 am
by Shafeeq
Ehl-e-bazm,
Mohabbat-o-aqeedat

She'ri zauq rakhne wale mere ek aur dost Abdur Rahman sahib ki madad se aaj phir aap ki adabi mehfil mein ek ghazal ke saath shareek horaha hoon.
Mulahiza farmaiye.


Shaam palkon ki nahiN,zulf ka saaya bhi nahiN
Badh chalo aur ke ye shehr-e-tamanna bhi nahiN

Ab main aawara khayalon ko kahan lejauN
Dasht-e-tanhai ke aage koi sehra bhai nahiN

Paun badhte hain to ye soch ke ruk jaata huN
Uski khamosh nigahoN ne pukara bhi nahiN

Kis andhere mein pahunch kar ye khayal aaya hai
Tere aariz ki tajalli ka ujala bhai nahiN

Is taraf sham'a umeedon ki bujhi jaati hai
Us taraf se koi jeene ka ishara bhi nahiN

Apni hi zaat mein har shakhs giraftar hai aaj
Koi aawaz baghawat ki uthata bhi nahiN

Ae Shafeeq, aap ise shehr-e-nigaran na kaheN
Lab-o-rukhsar se mehka koi koocha bhi nahiN

Shafeeq Ahmed
P.O.Box: 174
G.P.O.
Hyderabad-500 001
INDIA



Posted: Mon Jun 26, 2006 8:27 am
by Ibn-e-siddique
shafeeq saHib

salaam arz hai

aap ki pesh.karda ghazal hameN pasand aayee

hamaari jaanib se daad qubool farmaaiN

shukria

amjad

Bahut khoob, waah waah

Posted: Tue Jun 27, 2006 4:02 am
by Abdullah Nazir

MuHtaram
Shafeeq SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

Shaam palkon ki nahiN,zulf ka saaya bhi nahiN
Badh chalo aur ke ye shehr-e-tamanna bhi nahiN


achcha maTlaA hei, bahut khoob.

Ab main aawara khayalon ko kahan lejauN
Dasht-e-tanhai ke aage koi sehra bhai nahiN


Waah waah, bahut khoob.

Paun badhte hain to ye soch ke ruk jaata huN
Uski khamosh nigahoN ne pukara bhi nahiN


Waah waah, bahut khoob.

Kis andhere mein pahunch kar ye khayal aaya hai
Tere aariz ki tajalli ka ujala bhi nahiN


Bahut khoob.

Is taraf sham'a umeedon ki bujhi jaati hai
Us taraf se koi jeene ka ishara bhi nahiN


Bahut khoob, waah waah.

Apni hi zaat mein har shakhs giraftar hai aaj
Koi aawaz baghawat ki uthata bhi nahiN


"Baghaawat ki aawaaz" se aapki muraad "Haq ki aawaaz" hei. Bahut khoob, waah waah.

Ae Shafeeq, aap ise shehr-e-nigaran na kaheN
Lab-o-rukhsar se mehka koi koocha bhi nahiN


achcha maqTaA hei, waah waah.


Aapka MukhliS,
Nazir.