Page 1 of 10
lafz par ash'aar #31---dil/jigar
Posted: Mon Jun 26, 2006 5:11 am
by Hashmat Usmani
dil se terii nigaah jigar tak utar gaii
dono.n ko ik adaa me.n razaamand kar gaii
Ghaalib
Posted: Mon Jun 26, 2006 3:19 pm
by zmufti
ye dil zaraa sa dil teri yaadoN meiN kho gayaa
zarre ko aandhioN ka sahaara hai in dinoN
dil
Posted: Tue Jun 27, 2006 2:30 am
by Abdullah Nazir
YooN to lazzat-kash-e-sheereeniy-e-guftaar bhee hei
ldil magar aapki zulfaoN meiN griftaar bhee hei
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
lafz^ par shae'er.
Posted: Tue Jun 27, 2006 10:49 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
kaam aakhir aa geya khon-e-jigar
teree rahooN ko saja kar chal diye.
muz^affar aHmad muz^affar
Posted: Sun Jul 02, 2006 7:11 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
dil meN bapa ho Hashr ka t^ufan ae khuda
woh dard de keh jis kee khalish jawidaaN rahe.
Dr.Shareef aHmad Baqa. maher-e-iqbaliyat UK
dil
Posted: Mon Jul 03, 2006 3:03 am
by Abdullah Nazir
Dil o jaaN se chaman meiN thay fidaay-e-rang o boo barsouN
yehi kehtaa rahaa hei be-zabaanaoN kaa luhoo barsouN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed Jul 05, 2006 12:38 pm
by hassan_bashir
dil le ke muft kehte haiN: kuChh kaam kaa nahiiN!
ulTii shikaayateN huiiN, ehsaan to gaya!
dil
Posted: Tue Jul 18, 2006 4:04 pm
by Abdullah Nazir
dil le ke bhee tum mujh se khafaa rehte hou akcar
HaaZir hooN agar chaaho tou maiN jaan bhee de dooN
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
dil
Posted: Sun Jul 23, 2006 2:38 am
by Abdullah Nazir
Dil-e-HazeeN ko tiri yaad ka sahaaraa thaa
Wagarnah ham gham-e-furqat meiN margaye houte.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Jul 24, 2006 8:01 am
by Maha
ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chod ke jaane ke liye aa
dil
Posted: Tue Jul 25, 2006 5:58 am
by Abdullah Nazir
dil ko aaraam kahaaN hei shab-e-tanhaayi meiN
shamA houti tou patange kee TaraH jal jaataa
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Fri Jul 28, 2006 11:14 pm
by ummassad
DIL ki tanhaai ko aawaaz banalety hain
dard jeb hed se guzerta hey tuu gaalety hain
Posted: Fri Jul 28, 2006 11:21 pm
by ummassad
aashiqi saber talab aour tammana betaab
dil ka kiya rang karoun khoon.e. jager honey tek
Posted: Mon Jul 31, 2006 1:02 pm
by hassan_bashir
qaasid aayaa hai vahaaN se to zaraa tham to sahii,
baat to karane de us se dil-e-betaab mujhe!
Posted: Sat Aug 05, 2006 10:08 am
by hassan_bashir
nateeja kuchh bhi ho lekin baRaa pur-lutf jhagRaa hai
voh kehte haiN *miraa dil hai*, maiN kehtaa hooN *miraa dil hai*!