Page 1 of 1

Ek Ghazal - Ghazal ke Aashiqon ke Naam !

Posted: Mon Jun 26, 2006 9:05 am
by munir-armaan-nasimi
Dosto,

Phir se haazir hoon apni ek Ghazala ke saath. Ummed hai aap apni qeemati aara' se nawaz kar shukriya ada karne ka mauqa denge.

aap sab ka

munir armaan nasimi



Aapki is ghazal meiN BeHr ki baAZ ghalatiyaaaN heiN. MaiN ne roman meiN unko SaHeeH kardiyaa hei. Aap chaaheN to urdu kee file ko SaHeeH Haalat meiN pesh karsakte heiN:

Ghazal:
tamam shehr hi dushman hei kyaa kiyaa jaaye
wafaa ke naam se badzan hei kyaa kiyaa jaaye

mujhee se pooch rahaa hei yeh meraa hamsaayah
tumhaara ghar miraa aangan hei kyaa kiyaa jaaye

Giraadiyaa thaa mire ghar ko pichli baarish ne
Keh phir se ghaat meiN saawan hei kyaa kiyaa jaaye

paRhaayi jaati hei maktab meiN ab ghalaT taareekh
fasaadi haath meiN bachpan hei kyaa kiyaa jaayhe

houe jo bachche baRe, uRgaye parindaoN se
bahut hee soona saa aangan hei kyaa kiyaa jaaye

Jo sach ko kuchlaa gayaa bewah ki khushi ki TaraH
sitam ke haath meiN kangan hei kyaa kiyaa jaaye

Haveli dil ki hei :Arman: sooni sooni see
Udaas rooH kaa aangan hei kyaa kiyaa jaaye


Aapka MukhliS,
Nazir.


aapki ghazal

Posted: Wed Jun 28, 2006 3:04 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Munir Armaan Nasimi SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal mein kuch beHr ki khaamiyaaN reh gayi theeN jinko maiN ne durust karke roman meiN likhdiyaa hei.

Ummeed ke aap apni urdu ki file ko Theek karke bhejdenge. Shukriyah.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Thu Jun 29, 2006 11:29 am
by munir-armaan-nasimi
Qaabil-e-Sad Ihteraam Nazir Bhai,

Aap ki mohabbaton ka qarzdaar hoon. Be-shaak main urdu main bhi is ghazal ko sahi kar loonga.

Aap ka bhai,

armaan