Page 1 of 1

tarHi Ghazal kya qiyamat KHaiz manzar koocha e qaatil ka hai

Posted: Fri Jun 30, 2006 1:53 pm
by khozema husaini
moazziz KHawaateen o hazraat
assalaam alaikum
diye gaye misra e tarah per apni mAmooli si koshish aap ki nazr kar raha hoon aur ummeed karta hoon keh aap sab apni garanqadr aara se nawaaz kar shukriyah ada karne ka moqa denge
shukriyah
Husaini

Posted: Fri Jun 30, 2006 4:46 pm
by farhan
As salamu aalaikum

Janab Husainii

aap ki ghazal paRh kar bahut lutf aayaa... kiya hi khoob ashaar hain....misra-e-taraH per aap nay achchi girah lagayii hai...mujhay sari hi ghazal pasand aayii.....

dilii daad hazir hai..Qabool farmayeeN..

farhan

Posted: Fri Jun 30, 2006 4:48 pm
by farhan


Aankh say beh kay jo nikla hai voh ik aansoo nahin..
yeh hikaayat Hijr ki hai yeh fasaana dil ka hai..

yeh shair bhi khoob hai...is shair per khususiii daad daynay kya liye phir say hazir huwa hooN.....

qabool farmayeeN....

farhan

Posted: Sat Jul 01, 2006 4:03 pm
by khozema husaini
janab farhan saheb
aadaab
aap ki daad o tahseen ka men tah e dil se shukriyah ada karta hoon qubool farmayen
husaini