Page 1 of 1

Guzarish 19 ke liye Ghazal pesh-e-khidmat hai.

Posted: Fri Jun 30, 2006 8:21 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram sathiyo Ghazal pesh-e-khidmat hai.


mulaHezah farmaeye.


Ghazal


mah vishooN se dostee achchee naheeN

"apne dil se dushmanee achchee naheeN"


rog ban jae'e nah teree har ada

mere dil se dil lagee achchee naheeN


luT nah jae'e zindagee ka karwaaN

reh´zanooN se dostee achchee naheeN


nishtar-e-Gham se huwa hooN jaaN baHaq

yeh balae'e a'ashqee achchee naheeN


Dobne ko hai safinah beHr meN

na khuda yeh be hisee achchee naheeN


ham nah kehte the Hareem-e-naz meN

pat´tharooN kee bandagee achchee naheeN


chooR de yeh eZ^t^erabee kefiyat

aarzo-e-jaaN kanee achchee naheeN


ham peh kab ho gee teree naz^r-e-karam

a'ashikooN se be rukhee achchee naheeN


dekh paooN nah maiN suraj kee t^araf

is qadar bhee raoshnee achchee naheeN


tooR de band-e-lab-e-iz^haar aaj

pat´tharooN see khaamshee achchee naheeN


kaon samjhae'e muz^affar ko yeh bat

ghar jala kar raoshnee achchee naheeN


muz^affar aHmad muz^affar





.

Bahut khoob, waah waah

Posted: Sun Jul 02, 2006 7:35 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Muzaffar Ahmed Muzaffar SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Guzaris No.19 me miSreA per aapki TaraHi ghazal bahut hee surAat ke saath pahunch gayi hei silkash ashAar ke saath jiske liye maiN aapko dili daad aur mubaarakbaad pesh kartaa hooN.

MULAAHIZAAT:

mah vishooN se dostee achchee naheeN
"apne dil se dushmanee achchee naheeN"


KhoobSoorat gireh ke saath achchaa maTlaA hei, bahut khoob waah waah.l

rog ban jae'e nah teree har ada
mere dil se dil lagee achchee naheeN


Bahut khoob, waah waah.

luT nah jae'e zindagee ka karwaaN
reh´zanooN se dostee achchee naheeN


Waah waah.

nishtar-e-Gham se huwa hooN jaaN baHaq
yeh balae'e a'ashqee achchee naheeN


Waah waah, kyaa kehne.

Dobne ko hai safinah beHr meN
na khuda yeh be hisee achchee naheeN


Waah waah.l

ham nah kehte the Hareem-e-naz meN
pat´tharooN kee bandagee achchee naheeN


Waah waah.

chooR de yeh eZ^t^erabee kefiyat
aarzo-e-jaaN kanee achchee naheeN


Waah waah.l

ham peh kab ho gee teree naz^r-e-karam
a'ashikooN se be rukhee achchee naheeN


Waah waah.

dekh paooN nah maiN suraj kee t^araf
is qadar bhee raoshnee achchee naheeN


Is sheAr meiN lafz "nah" ko aap ne "naa" ke vazn per baandhaa hei. Iski micaaleN asaatizah ke paas shaaz o naadir milti heiN aur aajkal yeh isteAmaal matrook hei.
Pahle miSreA ko yooN kardeejiye:
dekh paaooNgaa nah sooraj kee taraf

tooR de band-e-lab-e-iz^haar aaj
pat´tharooN see khaamshee achchee naheeN

Kyaa kehne, bahut khoob, waah waah.

kaon samjhae'e muz^affar ko yeh bat
ghar jala kar raoshnee achchee naheeN


Achcha maqTaA hei, waah waah.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Sat Jul 08, 2006 4:50 pm
by zmufti
Muzaffar bhai
ghazal ke liye daad qabool kijye
regards
zmufti

Posted: Sat Jul 15, 2006 10:39 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmah Zarqa mufti behen!

Ghazal ko pasand farmane ke liye aap ka be Had mamnoon hoN.
khuda aap ko salamat rakhe aameen

wassalam
muz^affar

bahut khoob

Posted: Tue Jul 25, 2006 6:20 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
mohtaram muzaffar saahib

aapki ghazal hame.n bahut pasand aayee.

hamaari dilee daad aur mubarakbaad qubool farmaaye.n

allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyaadah

aapka mukhlis
haamidbaaqri

Posted: Fri Aug 11, 2006 12:12 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Sara SaHebah aadab!
agar aap yooN hee Ghazal ko pasand farmatee raheeN gee to aor kiya chaiye. maiN aap ka be Had mamnoon hooN.
khuda aap ko khush aor aabaad rakhe.
wassalam
muzaffar