Page 1 of 5
Ain
Posted: Sun Jul 02, 2006 4:17 pm
by Abdullah Nazir
ishq meiN tum ne mujhe khaanumaaN-barbaad kiyaa
aur kahte hou ke din raat mujhe yaad kiyaa.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Jul 02, 2006 7:02 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
A'ada koi hai bhee Hadood-e-naz^ar tak?
kise de rahe ho tum itnee SadaeeN?
Abdul Hameed Adam.
Posted: Mon Jul 03, 2006 9:29 am
by zmufti
ishq me.n hamane ye kamaa_ii kii
dil diyaa Gam se aashanaa_ii kii
Ain
Posted: Tue Jul 04, 2006 12:31 am
by Abdullah Nazir
"ishq ne Ghalib nikamma kardiyaa
Warnah ham bhee aadamee thay kaam ke."
Shaayer: Ghalib.
Nazir.
Posted: Wed Jul 05, 2006 12:56 pm
by hassan_bashir
ishq voh saaNp k jis ka naheeN maNtar ko'ii
is ka kaaTaa hu'a mushkil hai k paanii maaNge!
Posted: Wed Jul 05, 2006 4:18 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
ishq jab tak nah kar chuke barbad
aadmee kaam ka naheeN hota.
jigar
Ain
Posted: Thu Jul 06, 2006 1:59 am
by Abdullah Nazir
uqda-haay-e-gham-e-hastee meiN hei ghalTaaN Nazir
kaisee mushshaaTagaiy-e-zulf-e-pareshaaN SaaHib
Shaayer: Abdullah Nazir
Nazir.
Posted: Fri Jul 07, 2006 2:55 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
e'eesh-e-duniya kee justujo nah kar
yeh dafinah mila neheeN karta.
Muneer Neyazi
Ain
Posted: Sat Jul 08, 2006 6:14 am
by Abdullah Nazir
ArSa-e-AHd-e-guzishtah kee Hikaayat kyaa hei
daaman-e-shauq thaa aur waadiy-e-purkhaar kee raat.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Jul 09, 2006 7:29 am
by zmufti
ishq me.n jii ko sabr-o-taab kahaa.N
us se aa.Nkhe.n lagii.n to Khvaab kahaa.N
Ain
Posted: Sun Jul 09, 2006 5:30 pm
by Abdullah Nazir
umr bhar koii HaseeN raat moyassar nah hoee
raas aaye nah mujhe waAdah o paimaaN tere
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
"Ain"
Posted: Fri Jul 14, 2006 7:12 am
by Abdullah Nazir
umr bhar oos ne miri baat nah maani hergiz
shamA-e-ummeed shab-e-hijr meiN raushan hei abhi.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sat Jul 15, 2006 2:57 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
u'rooj-e-aadam-e-khakee se anjum sehme jate haiN
keh yeh TuTa huwa tara mah-e-kamil nah ban jae.
Iqbal
"Ain"
Posted: Sun Jul 16, 2006 3:16 am
by Abdullah Nazir
Ajab andaaz-e-sarmasti hei ham khaanah-badoushaoN kaa
jahaaN bhee khaimah zan houte heiN usko ghar samajhte heiN.
Shaayer: Abdullah Nazir
Nazir.
Ain
Posted: Sun Jul 23, 2006 2:44 am
by Abdullah Nazir
Adoo se khauf nahiN, doustaoN se Dartaa hooN
keh be-sabab nah kahiN mujh peh koii waar kareN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.