Page 1 of 1
TARAHI GHAZAL - -- - (GUZ.19) by: ABDULLAH NAZIR.
Posted: Fri Jul 07, 2006 1:42 pm
by Abdullah Nazir
MuHtaramaat o MuHtarameen
arbaab-e-meHfil aur aHbaab-e-sjukhan,
PurkhulooS Tasleemaat, :rose
Guzarish No.19 ke miSreA per apni TaraHi ghazal pesh karne kee saAadat HaaSil karrahaa hooN. Aapki giraaNqadr aaraa kaa intezaar rahegaa.
GHAZAL roman meiN:
bemuHaabaa barhami achee nahiN
apne dil se dushmani achchee nahiN
sarvo-qad kee sarkashi achchee nahiN
ham se Tarz-e-bartari achchee nahiN
ishq meiN begaanagi achchee nahiN
aa'ou mil baiTheN ghaRi achchee nahiN
gham nahiN achchaa khushi achchee nahiN
tum nahiN tou zindagi achchee nahiN
nishtar-e-mizhgaaN se kardo faislah
saaAataoN kee jaaNkani achchee nahiN
deeda-e-khooN-bastah kaa rakh le bharam
jaariHaanah be-rukhi achchee nahiN
ZabT-e-farT-e-karb-e-jaaN laazim sahi
Marg aasaa khaamushi achchee nahiN
MaiN kahaaN jaaoongaa koo-e-yaar se
Dar badar aawaaragi achchee nahiN
Zindagi bhar saath denaa hei to de
mausamaoN kee dousti achchee nahiN
rishta-e-ulfat hei ik rabT-e-baham
be-sabab kee badZani achchee nahiN
kaun kab TooTegaa :Nazir: kyaa khabar
aayeeneh se hamsari achchee nahiN.
=======
Aapka MukhliS,
Nazir.
Posted: Sat Jul 08, 2006 6:46 am
by jawaid badauni
Mohtarmee Abdulla nazir SaHib,
Aadaab
Nihayat moorassah Ghazal se nawazah hai
aap ne. Daad qubool farmaaiiyega. Chund ashAAr
Khusoosan bohat acche lage:
sarvo-qad kee sarkashi achchee nahiN
ham se Tarz-e-bartari achchee nahiN
Tarze bartaree ka jawaab nahiN.
Waah Waah. Kya achcha sher hai.
nishtar-e-mizhgaaN se kardo faislah
saaAataoN kee jaaNkani achchee nahiN
"Nishtare mizhgaaN" ka jawab nahin tha tou
"saaAatoN ki jaaNkanee" ka bhi jawaab nahiN.
Laajawaab sher hai.
deeda-e-khooN-bastah kaa rakh le bharam
jaariHaanah be-rukhi achchee nahiN
YahaN bhi aap ke dou fiqrey bohat pasand aaye:
"deeda-e-KhooN-basta" aur "jaarihaanah be-rooKhee."
Waah waah. Yeh zubaan aap hi istaimal kar sakte haiN.
Zindagi bhar saath denaa hei to de
mausamaoN kee dousti achchee nahiN
Kya kahna is mausamee dosti ka.
Kya taghazzul hai. Subhaan Allah.
kaun kab TooTegaa :Nazir: kyaa khabar
aayeeneh se dousti achchee nahiN.
Achcha maqta' hai. magar aap ne roman
meN "dostee" likha hai jab keh Urdu version
meN "hamsaree". Mere Khyaal se "hamsaree" hi ziyadah
munasib hai. Dekh lijiyega.
Mukammal Ghazal per meri daad aur mubarakbaad qubool kijiyega.
MuKhliS
Jawaid
=======
Posted: Sat Jul 08, 2006 8:11 am
by farhan
AS SALAMU AALAIKUM WA RAHMATULLAHI WA BARAKATUHU,
Ustaad-e-MoHtaram Janab Abdullah Nazir Saheb,
mujhay aap ki yeh ghazal bahut pasand aayii hai. her shair lajawaab hai.aap ki ghazleeN paRh kar main bahut mustafeed hota rehta hoon. aap ki ghazleeN bhi mayray liye nisaab ka darja rakhti haiN...
ek khubsoorat ghazal per mayri janib say daad Hazir hai.Qabool kar kay shukriya ka mouQa eenayat farmayeaga...
faQt
Talib-e-dua
farhan
Posted: Mon Jul 10, 2006 6:08 pm
by zmufti
Mohtaram Nazir saheb
Tasleemaat
Mushairey maiN aap ki ghazal buhat pasand aayyii
aap ne kaafi mukhtalif kawafii ka intikhaab kiyya hai aur mazameen bhee khoob haiN
mujh nacheez ki jaanib se daad qabool kijye
wasalaam
zmufti
Bahut bahut shukriyah
Posted: Tue Jul 18, 2006 4:15 pm
by Abdullah Nazir
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapke tafSeeli TabSireh meiN apni TaraHi ghazal kee pazeerayi ke liye aapka tah-e-=dil se shukrguzaar hooN. Ummeed karta hooN ke aayindah beeh aap isi TaraH se meri HauSlah afzaayi farmaate rahenge.
Aapka MukhliS,
Nazir.
waah waah bahut khoob
Posted: Tue Jul 25, 2006 6:14 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikaum
mohtaram abdullah nazir saahib
ustadaanah kalaam
bahut kuch seekhna hai hame.n aapse
is behtareen kalaam per hamaari dilee daad aur mubarakbaad qubool farmaaye.n
tifle maktab
haamidbaaqri