Ek Ghazal:Gham ki ta'beer mein umr saari gayee
Posted: Sun Jul 09, 2006 7:36 am
Ehl-e-Bazm,aadab.ek ghazal pesh-e- khidmat mein hain. Mulahiza farmayen
Gham ki tabeer mein umr saari gayee
Is tarah zindagani sanwari gayee
Zulf-o-rukhsar ka faiz jaari raha
Din bitaya gaya ,shab guzari gayee
Uski aankhon ke saaghar bhi chhalke nahin
Ek arsa hua baadakhwari gayee
Door mehfil mein hum se woh baithe rahe
Khoob izzat hamari utaari gayee
Zindagi bhar Shafeeq iska matam raha
De ke dhoka jo baad-e-bahari gayee
Shafeeq Ahmed
Post Box: 174
G.P.O.
Hyderabad - 500 001
INDIA
Gham ki tabeer mein umr saari gayee
Is tarah zindagani sanwari gayee
Zulf-o-rukhsar ka faiz jaari raha
Din bitaya gaya ,shab guzari gayee
Uski aankhon ke saaghar bhi chhalke nahin
Ek arsa hua baadakhwari gayee
Door mehfil mein hum se woh baithe rahe
Khoob izzat hamari utaari gayee
Zindagi bhar Shafeeq iska matam raha
De ke dhoka jo baad-e-bahari gayee
Shafeeq Ahmed
Post Box: 174
G.P.O.
Hyderabad - 500 001
INDIA