Page 1 of 1

Kahin fard se anjuman ban gaya hun

Posted: Sun Jul 09, 2006 7:37 am
by Shafeeq
Kahin fard se anjuman ban gaya hun
Kahin anjuman mein akela mila hun

Ujaalon ka andaz pehchanta hun
Andheron mein pal kar nikhar sa gaya hun

Zamane se keh do idhar se na guzre
Main zulfon ki chhaon mein susta raha hun

Wahin aayee hai mujh ko lene ko manzil
Jahan thak ke main raah mein gir pada hun

Ufuq se pare door hadde nazar tak
Na ho khatm jo main wohi raasta hun

Zaman-o-makan ki hadon se guzar kar
Khuda jane aakar kahan main ruka hun

Shafeeq aisi kaisi hain anjaan raahen
Jahan se chala tha wahin aagaya hun


Shafeeq Ahmed
Post Box: 174
G.P.O.
Hyderabad - 500 001
INDIA

daad qubool keejiye

Posted: Sat Jul 15, 2006 8:45 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Shafeeq SaaHib,

Tasleemaat,

Aapki yeh ghazal pasand aayi, jiske liye meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Khair andesh,
Nazir.